Ak Pakistani Ki Zindagi Kia Hai .....

(Ghazan Khan, Karachi )

Ak Pakistani Ki Zindagi Kia Hai .....
Ye Sawal Kafi Dinse Mojhe Pareshan Kar Raha Tha. Kay EK Pakistani Ki Kia Hassiyat Hai.

EK Pakistani Ki Pehchan Kia Hai Our Ek Pakistani Ka Kam Kia Hai.

Mai Souchta Raha Din Raat Yahi Bat Meri Zahn Mai Ak Dard Ki Tarhn Ghoom Rahi Teh. Phir Jake Mojhe Ye Ihsas Howa Kay Mai Kia Souch Raha Mai Kis Kay Liye Souch Raha Mai Beh To Ak Pakistani Hon Our Mai Beh Wahi Karta Hon Hon Jo Har Pakistani Karta Hai Tab Mojhe Esa Laga Kay Mere Is Sawal Ka Jawab Mojhe Mil Jaye Gaa Phir Mene Apne Ap Ko Ayene Mai Dehka Mai Ye Dehk Na Chahta Tah Kay Ham Me Wo Kon Si Galti Hai Jis Ki Waja E Aj Ham Is Bad Naseeb Mode Pe Hai. Mojhe Apne Ap Face Par Ya Apne Jism Ya Apni In Ankhon Mai Jisse Mai Ayene Mai Dehkta Raha Our Mojhe Esa Lag Raha Tah Jisse Mai Kuch Pouch Raha Hon Apni Ankhon Se Our Meri Ankhe Jawab Dene Kay Liye Be Qara Ho Jesse Phir Esa Laga Kia Pata Meri Ankhye Jhoot Bol Day Itne Mai Meri Maa Ayai.

MAA.: Our Mojhse Kehnay Lagi YE Kia Beta Kia Dehk Rahe Ho Itna Apne Ap Ko Ayene Mai Nazar
Lag Jaye Gi Mere Bete Ko Apni Hi.

Main.: Mene Kaha Maa Nazar To Lag Gayai Hai Ham Sab Ko Hamere Is Country Koo.

MAA.: To Maa Ne Kaha Beta Aj Essi Baten Q Kar Rahe Ho..

Main.: Tab Mojhe Laga Mere Har Sawal Ka Jawab Mojhe Yahi Se Mile Sakta Hai Kyon Kay Maa Jo Beh Kehti Such Kehti Hai Our Dil Se Kehti Hai Our Ak Maa Ka Dil Kabeh Jhoot Nahi Bol Sakta. Tab Mene Apni Maa Se Kaha Mojhe Kuch Bateen Pareeshan Kar Rahi Hai.

MAA.: Maa Ne Kaha Esi Bateen Mat Soucha Karo Jo Tumhe Pareshan Karti Hai.

Main.: Mene Maa Se Kaha Bat Hi Kuch Essi Hai Kia Karo.

MAA.: Maa Ne Kaha Mojhe Bata Kia Pata Mai Tumhari Ye Pareshani Door Kar Don.

Main.: Tab Mene Maa Se Kaha Ham Pakistani Q Hai.

MAA.: Maa Ne Kaha Ye Hamara Country Hai Hamray Apnu Ne Apni Jane De Kar YE Azad Kia Hai Our Tab WO Ek Azad Country Mai Rehne Lagay Our Onho Ne Is Country Ko Pakistan Ka Name Diya Jis Ka Matlab Hai LA Ilaha El Allah Our Tab Se Ye On Ki Pehchan Ban Gaya Our Phir Mera Hamara Janam Howa Is Azad Country Our Har Wo Banda Jisne Pakistan Mai Janam Liya Wo Pehle Pakistani Bana Bad Mai Panjabi Sindhi Pathan Baloch Kehlane Laga Our Wo Sab Azad Hai Jo Is Waqat Pakistan Mai Hai Our Hamaray Jane Kay Bad Beh Yahan Azad Log Hi Rahe Gay Ak Azad Country Mai Our On Ki Pehchan Beh Yahi Ho Gi Jahan Beh Jaye Gay Apne Name Se Nahi Pakistan Kay Name Se Jane Jaye Gay.

Main.: Mene Maa Se Kaha Agay Ka To Choro Abeh Koi Beh Pakistani Ko Pakistani Ni Kehta Terrorists Ya Phir Dehshat Gard Ya Atang Wadi Kehta Yahi Sab Kehte Hai Donya Wale. Mene Maa Se Kaha Kia Ham Dehsat Gard Ya Atang Wadi Ya Phir Terrorists .

MAA.: Maa Ne Kaha Nahi Beta Ham Sirf Pakistani Hai Our In Sab Name Se To Hame Is Liye Bolatay Hai Q Kay Ham Har Os Insan Ki Madad Kartay Hai JO Kisi Mushkil Ya Pareshani Mai Ho.

Ham Kashmir Kay Logon Ki Madad Kar Tay Hai On Kay Haq Kay Liye Awaz Utha Tay Hai Is Liye Hame Atang Wadi Kaha Jata Hai .

Ham Iraq Afganistan Our Har Wo Country Jis Mai Be Guanah Log Shaeed Hotay Hai On Kay Liye Awaz Utha Tay Our On Kay Liye Dua Kartay Hai To Terrorists Kaha Jata Hai Hame.

Our Jab Apne Mazhab Kay Liye Lartay Hai On Logon Kay Sath Jo Hamaray Mazhab Ki Toheen Karta Hai Hamere Deen Ki Toheen Karta Hai Hamare Nabi Ki Toheen Karta Hamre Malik Jisne Hame Zindagi Di Os Pak Allah Ki Shaan Ki Toheen Karta Hai Tab On Mardodon Ko Jab Saza Dtetay Hai To Tab Hame Dehshat Gard Kaha Jata Hai Ye Kis Qanon Mai Lhika Hai Kay Apne Mazahab Kay Liye Larne Wala Apne Country Kay Liye Larne Wala Dehshat Gard Hai Ham Sirf Pakistani Hai Ak Azad Country Kay Azad Log Kisi Mai Itni Himmat Ni Kay Wo Hamari Ankhon Mai Ankhyen Dal Kar Ye Bol Sake Kay Ham Deshat Gard Ye Atang Wadi Ya Phir Terrorists.

Main.: Maa Ki Baten Sun Ne Kay Bad Mojhe Samaj Agaya Sab Our Mojhe Laga Kay Mere Sawal Ka Jawab Beh Mil Gaya Ho Shyaed.

Ap Sab Beh Pakistani Ho Mojhe Sawal Ka Jawab Mil Gaya Ap Beh Meri Maa Ki In Baton Mai Is Sawal Ka Jab Dhoond Le Shyed Ap Ko Beh Jawab Mil Jaye..

Jo KARO Dil Se KARO Jo Beh Kaho Dil Se Our Jkahoo. Our Jab Ap Ko Koi Beh Pareshani Ho TO Apni Maa Se Kaho Par Kehna Dil Kyon Maa Jo Beh Kehti Hai Dil Se Kahti Hai Is Liye Wo Bate Ki Dil Ki Har Bat Janti Hai..
Ek Pakistani Ki Zindagi Kia Hai.
Ek Pakistani Ki Kia Hassiyat Hai.
Ek Pakistani Ki Pehchan Kia Hai.
Our
Ak Pakistani KA Kam Kia Hai...

Ghazan Khan
About the Author: Ghazan Khan Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.