Badalty Huy Samaji Rawaiyee

(ume aymen, lahore)

Kuch Haqaiq Ka Chupa Rehna Hi Hamary Lie Behtar Hai.Lekiin Mera Kheyaal Hai K Jhut K Andhery Main Rehny Sy Behtar Hai K Ensaan Sach Ki Roshni Sy Apni Ankhee Kheraa Hony Dy.Is Duniyaa Main Koi Bhi Insaan Apni Zaat Main Mukammal Nh.

Tasanno,Banawat,Wazaa Har Aik Ki Shakhsiyaat Main Is Tarhaa Rach Bas Gai Hai Goyaa Yeh Us Shakhs Ki Shakhsiyaat Ka Aik Hisaa Ho Or In "Ejzaa E Shakhsiyaat" K Bagher Wo Na Mukammal Ho."Ejzaa E Shakhsiyaat"...!!! Aj Kal K Door Ko Madd -E- Nazar Rakhty Huy Agr "Tassano" Or "Wazaa" Ko Ejzaa E Shakhsiyaat Kaha Jay,To Be Jaa Na Hoga.Badalty Halaat K Pesh E Nazar Ensaan Ko Apny Rawaiyoo Main Musbat Tabdili Lani Chahiye.Dar Haqiqaat Insaan Ko Apny Mannfi Soch -O- Bichaar Ko Mehaz Tabdeel Nh Karna Chahiee Balky Puri Tarhaa Sy Is Ka Khatma Kar Dyna Chahiee .Tabdeel Shuda Aadaat Badalty Haalaat K Sath Kbhi Bhi Zahir Ho Sakti Hain Lekin Agr Kisi Cheez Ka Jaar Sy Khatma Kar Dia Jay To Wo Kbhi Kisi Bhi Mahool Main Nash O Numaa Nh Paa Sakti.  Es Lie Naraa "Khatamy" Ka Hona Chahiee "Tabdili" Ka Nh.
 

ume aymen
About the Author: ume aymen Read More Articles by ume aymen: 2 Articles with 1755 views i am a student. i think my talent is in poetry but i want to become engineer. and want to go UET. i want to open schools in Pakistan's backward areas.. View More