LARKI ki Paeidaish.... Zimmedaar kon....?

(junaid Ellahi, Multan)

Asslam.O.Alaikum Respected Members
Aap Jahan Kahein Bhi Hoon Jaise Bhi Hoon Aur Jis Gali Muhalle Mein Rehte Hon Aaye Din Yahi Sunte Hongey Keh Falan Aurat Ke Beti Paida Huyi Hai Aur Yeh Dusri Ya Teesri Beti Hai, Is Aurat Se Susral Wale Sakht Naraz Hain Aur Tarah Tarah Ke Taane Dete Hain. Husband Bhi Awlaad Nareena Ke Liye Dusri Shadi Ka Sochta Hai Aur Biwi Ko Bura Bhala Kehta Hai Aur Nobat Talaq Tak Bhi Pohnchte Huye Dekhi Gayi Hai.

*Kia Hamara Muashrah Bhi Kayi Sadyon Piche Ki Soch Mein Ghark Nahi?
*Kia Yah Jehalat Ki Soch Nahi?
*Jab Betiyon Ko Zindah Dar Gor Kar Dia Jata Tha. Kia Waqai Beti Ki Paidaish Par Aik Aurat Hi Qasurwar Hai?
*Kia Yeh Isi Ka Qasur Hai Jise Dhakke De Kar Ghar Se Bahir Nikal Dia Jata Hai To Mulahiza Famayain

Allah Taala Quran Pak Mein (Parah No 25 Surah Shuraa Ki Ayat No 49 Mein) Irshad Farmate Hain....

(Allah Hi Ke Liye Aasmano Aur Zameen Ki Saltanat Paida Karta Hai Jo Jise Chahe Betiyan Ata Farmaye Aur Jise Chahe Bête De.)

Aur Yeh Tamam Suratain Keh Jise Chahe Beti De Ya Jise Chahe Beta De. Ambiya(A) Mein Bhi Payi Jati Hain Aur Agar Bête Hi Inaam Hote To ALLAH Taala Ambia Ko Betiyan Ata Na Farmate. Jaisa Keh Hazrat Loot(A), Hazrat Shuaib(A), Ke Han Sirf Betiyan Thei’n. Koi Beta Na Tha Aur Hazrat Ibraheem (A) Ke Sirf Farzand The Koi Beti Huyi Hi Nahi Aur Saiyadana Ambia Habeeb Khuda Wand Hazrat Muhammad (SAW) Ko Allah Taala Ne Char Farzand Ata Farmaye Aur Char Sahebzadiyan Aur Hazrat Yahiya Aur Hazrat Isa Ke Koi Awlaad Hi Nahi Huyi.

To Yeh Sare Ka Sara Ikhtiyar Allah Taala Ke Pas Hai. Is Mein Kisi Ka Amal Dakhal Nahi Aur Na Hi Koi Musalman Hone Ke Nate Betiyan Ya Bête Par Aurat Ya Mard Ko Qasur War Thehraya Ja Sakta Hai Aur Agar Koi Aulaad Na Bhi Ho To Bhi Allah Taala Ki Ata Hai Jise Chahe Ata Farmaye Aur Jise Chahe Ata Na Farmaye. Is Mein Bhi Kisi Aurat Ya Mard Ka Qasur Nahi.

Yeh Tha Islami Falsafah Heyaat. Hamein Musalman Hone Ke Nate Is Par Pukhtah Yaqeen Hona Chahiye. Basurat Degar Kamzor Se Kamzor Tar Imaan Samjha Jaye Ga Aur Jahan Tak Science Ka Talluq Hai To Science Bhi Beti Ki Paidaish Ka Zummah Dar Aurat Ko Nahi Thehrati. Aap Medical Science Ka Mutala Karein. Aap Ko Maalum Ho Jaye Ga Keh Insane Jism Ke Khalyon Mein Loni Jasimon Ka Taaiyon Karta Hai. Yeh Jora Baaqi Joron Ki Nisbat Lambayi Mein Buhat Chota Hota Hai. Jab Nabti Khalyon Mein Takhfifi Taqseem Hoti Hai To Yeh Jora Bhi Do Mein Taqseem Hojata Hai Mada Ki Surat Mein Is Jore Ke Dono Member Aik Se Hote Hain Aur XX Lon Jasime Kehlate Hain Jabkeh Nar Ki Surat Mein Is Jore Ka Aik Member X Hota Hai Aur Dusra Member X Se Buhat Mukhtalif Hota Hai. Ise Y Lon Jasimah Kaha Jata Hai.

-Goya Larka - Jis Mein X Aur Y Mojood Ho Yani XY.
-Larki-Jis Mein Donon X Mojood Ho Yani XX.
-Ab Dekhna Yah Hai Keh Jo Lon Jaseeme Maan Ke Pas Hain Who Donon Har Surat Mein XX Hain.
-Aur Jo Lon Jaseeme Baap Ke Pas Hain Who X Aur Y Hain.
-Agar Kisi Ko Apne Baap Ki Taraf Se X Loni Jasimeh Mile To Who Larki Hogi Kiun Keh Ise Maan Ki Taraf Se Bhi X Hi Mila Hai. Chun Keh Maan Ke Pas Donon Clon Jaseeme Hain Aur Ab Yeh Donon XX Jama Ho Chuke Hain Jabkeh Baap Ki Taraf Se Y Loni Jaseeme Lene Ki Surat Mein Larka Hoga. Kiun Keh Maan Ki Taraf Se X Mila Aur Baap Ki Taraf Se Y To Is Tarah X Aur Y Jama Ho Chuke Hain.

Yaad Rahe Baap Se X Milega Yay Yeh 50% Imkan Par Munhasar Hai. Chunancha Larka Hona Ya Larki. Dar Asal Is Ka Talluq Baap Ke Nabeti Khalyon Ki Qisam Se Hai Jabkeh Maan Har Surat Mein Aik Hi Jaisse Nabeti Khalye Muhaiya Karti Hai. Is Tarah Is Baat Ki Bhi Wazahat Hojati Hai Keh Larki Ki Paidaish Ki Surat Mein Aksar Log Maan Ko Qasurwar Therate Hain Jo Keh Science Naqta Nazar Se Galat Hai.

Shariyi Nuqtah Nazar Se Bhi Larki Ki Paidaish Ki Zummah Dar Maan Nahi Kiun Keh Is Ki Zummah Dari Khud Allah Ne Apne Zummah Li Hai Aur Science Nuqtah Nazar Se Bhi Is Ki Zummah Dar Maan Nahi Kiun Keh Science Is Ka Zummah Dar Baap Ko Therati Hai To Ab Sochna Hoga Aur Ghar Ke Maahol Ko Khushgawar Bana Kar Larka Ya Larki Ise Hansi Khushi Qabul Karna Hoga.
ALLAH Aap Ko And Mujhe Hidayat De. AMEEN
 

junaid Ellahi
About the Author: junaid Ellahi Read More Articles by junaid Ellahi: 13 Articles with 59781 views I am junaid Ellahi from Multan Pakistan. I am a DAE DIPLOMA Holder.. I am Shy. BY Nature,
a True pers0n. N its My Passi0n. Inn0cent By Mistake. Well
.. View More