Ishaat E Islam

(fatima mahmood, karachi)

Hazrat Mohammad Sallalaho Alaihi Wassalam Nay Jis Ehad O Zamana Mai Ishaat E Islam Shuru Ki Hai Wo Bara Nazuk Or Tofan Bar Zamana Tha Mukhalfat O Anaad Ka Ye Alam Tha K Tera Baras Tak Haj K Hajoom K Mokah Par Tamaam Qabail K Pas Jatay Or Ek Ek Say Kehty Quraish Mujh Ko Paigham Ponchany Say Rokty Hain Tum Mujhy Apni Apni Hemayat Mai Lay Kar Mujhy Us Ka Mokah Dila Do K Mai Allah Ki Awaz Logon K Kanon Tak Poncha Dun Magar Quraish K Asar Say Koi Ek Bhi Razi Na Hota Tha Is K Bawajud Aftaab E Islam Ki Kirnain Kaseef Badlon Ko Cheer Cheer Kar Qaloob Par Parny Lagin Is Zamanay Mai Shora'a Ka Arab Mai Boht Asar Tha Itna K Qabeelon K Qabeelon Ko Jidher Chahty Thy Jhonk Dety Thy Is Liye Khas Tor Say Koshish Ki Jati Thi K Ye Razool E Kareem Sallalaho Alaihi Wassalam Say Na Milnay Payen. Tufail Bin Umro Dosi Mash'hoor Shaer K Mutaluk Bhi Sa'ee Ki Gaye K Wo Aap Sallalaho Alaiihi Wassalam Say Na Milnay Payen Itefaqan Ek Dafa Us Nay Aap Sallalaho Alaihi Wassalam Ko Quran E Pak Parhty Sun Lia Or Musalman Ho Gya. Ye Usii K Asar Ka Natija Tha K Is Qabeelay Mai Bhi Islam Phelnay Laga Ta Ham Qabeelay Nay Us Ki Na Suni. Tufail Ranjeeda Ho Kar Aap Sallalaho Alaihi Wassalam Ki Khidmat Mai Hazir Hua Or Arz Ki K Aap Sallalaho Alaihi Wassalam Bad'dua Kijiye Aap Sallalaho Alaihi Wassalam Nay Hath Utha Kar Dua Mangi K 'Ay Khuda! Tu In Ko Hedayat Day Is K Bad Tamaam Qabeela Musalman Ho Gya.' Umro Bin Anba Bhi Aap Sallalaho Alaihi Wassalam Ki Ba'ssat Ka Haal Sun Kar Tehqeek E Haal K Liye Aye Thy Or Bad Mai Musalman Ho Gay.

Ek Raees Zemad Bin Sa'lba Aap Sallalaho Alaihi Wassalam K Zamana E Jahiliat K Dost Thy Wo Jharr Phonk Bhi Kar Lety Thy Inhon Nay Aap Sallalaho Alaihi Wassalam Say Kaha Tumhain Junoon Ho Gya Hai Mai Tumhara Elaaj Kar Dun Aap Sallalaho Alaihi Wassalam Nay Inhain Kuch Qurani Ayaat Parh Kar Sunayen In Fiqron Nay Zemaad Par Ger Mamuli Asar Kia Dubara Seh Para Parhwaya Bilkul Mas'hoor Ho Gay Bolay Mai Nay Kahnon Ki Batain Suni Hain Jadu Garon K Manter Or Shaeron K Qasaid Sunain Hain Lekin Aesa Kalaam Mai Kabhi Nahi Suna Ye To Darya Ki Teh Yak Asar Karny Wala Hai Chunacha Inhon Nay Khud Bhi Islam Qabool Kia Or Apnay Qabeelay Ki Taraf Say Bhi Bait Li.
(Book : Rehmatul Lil Alameen, Moalif: Mohammad Haneef Sheikh)
 

fatima mahmood
About the Author: fatima mahmood Read More Articles by fatima mahmood: 4 Articles with 21941 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.