Islam Deen E Fitrat Hai

(fatima mahmood, karachi)

Afrenish Alim Say Lay Ker Tuloow E Islam Tak Be Shumar Mazhab Duniya Mai Aye Jin Mai Boht Si Khubiyan Or Achaiyan Thi. In Mazahib Nay Bani No Insan Ko Ebadat, Naiki Or Bhalai Ki Targeb Di. Gunahon Or Buri Baat Say Bachny Ki Hedayat Bhi Ki Duniya Or Aqebat K Mamly Mai Bhi Hat'ta Ul Maqdoor Khalq E Khuda Ki Rehnumai Ki Lekin In Mai Aksar Mazahib Sachay Or Ilhami Hony K Bawajud Chunky Namukamal Thy Or In Mai Na To Bani No Insan Ki Ijtemaye Taraqi Ka Sath Deny Ki Selahiat Thi Or Na Ye Insan Ki Rohani Tasali K Liye Is Ki Fitri Zaruraton Ko Pora Kar Sakty Thy. Is Liye Bani No Insan Rafta Rafta In Mazahib Say Hat'ti Chali Gaye Or La'mazhabi Ki Tareeki Or Gumrahi Mai Mubtala Ho Gaye.

Mazhab Say Hat Jany K Bd Bani No Insan Ki Halat Ye Ho Gaye K Khuda Or Banday Ka Talluq Khatam Ho Gya, Feroniat Or Khudsari Ka Jazba Demaghon Mai Haawi Ho Gya Moasharti Nizaam Darham Barham Ho Gya Haram Halaal Ki Tameez Mit Gaye Gunah Or Sawab Mai Farq Baki Na Raha Ikhlaq Or Bad-Ikhlaqi Ka Imtiaz Mit Gya Fasq O Fajur Or Juraim Ka Dor Shuru Ho Gya Shehwaniat Or Nafsaniat Sary Nizam Par Chah Gaye. Insaniat Par Darandagi Ny Galba Pa Lia. Qatal O Khoon, Aabru Raizi Or Barbariyat K Manazir Aam Ho Gay Garz Ye K Darindon Or Wehshiyon Sy Bhi Bad-Tar Makhlooq Ki Basti Ban Gaye.

Mashrik Say Lay Ker Maghrib Tak Shumal Say Lay Kar Junoob Tak Duniya K Ek Sirey Sy Lay Kar Dusry Sirey Tak Jab Tak Darandagi, Khudparasti Or Shehwaniat Ki Tareeki Pheli Hue Thi Or Duniya Mai Jahalat Ka Sab Say Bara Markaz Mulk Arab Bana Hua Tha To Arab Ki Sir Zameen Say Ek Hadi, Rehnuma Or Pegamber Ronuma Hua. Us Nay Quran Pak Ki Ilhami Taleem Say, Apny Buland Kirdar Say Or Shariyat E Islamia Ki Roshni Say Is Duniya Ko Phir Ek Bar Munawwar Kar Diya Jo Tareeki Or Jahalat Ki Intehaye Pasti Mai Ja Pari Thi Is Muqadus Rehnuma Or Kamil Tareen Nabi Ka Naam E Naami Mohammad Mustafa Sallalaho Alaihi Wassalam Hai. Islam Ki Sab Say Bari Or Imtiazi Khasusiat Ye Hai K Is Ny Sabka Mazhab Ki Takzeeb Nahi Ki Balky Ek Kamil Or Akmal Mazhab Chunky Duniya Mai Agya Tha Us Nay Tamam Sabka Mazahib Ki Tansekh Kar Di. Is Nay Jahan Islam Ki Buland O Bala Taleemat Say Bani No Insan Ko Ashna Kia Wahan In Tamam Sabka Mazahib Or Baniyan E Mazahib K Ehteraam Ki Bhi Hedayat Ki Garz Hazrat Mohammad Sallalaho Alaihi Wassalam Nay Gumrah Insano Ko Jis Deen E Islam Say Roshnas Kia Ek Aesa Mukamal Sucha Or Fitri Mazhab Say Jo Duniya K Har Taraqi Yafta Insan Ki Deeni Or Duniyawi Mamly Mai Suchi Rehnumaye Karta Hai Jo Ain Fitrat E Insani Or Insani Zaruraton K Mutabiq Hai Chunacha Is Deen E Haneef K Bary Mai Irshad E Bari Hai:
"Apna Rukh (Her Traf Say Mor) Ker Deen E Haneef Ki Traf (Kyunky Ye Deen) Khuda Ki Wo Fitrat Hai Jis Par Us Nay Tamam Bani No Insan Ko Paida Kia Khuda Ki Takhleq Mai (Or Us K Is Deen E Fitrat Mai Koi Rad O Badal Nahi Ho Sakta. Bas Yahi Hai Deen Thek). Lekin Aksar Log Is Say Be Khabar Hain" ( Surah Rom Ruko Number 4)

fatima mahmood
About the Author: fatima mahmood Read More Articles by fatima mahmood: 4 Articles with 21942 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.