Eid-Mialad-Un-Nabi (Islam ki nazr mei)

(Ammad Hassan, Faisalabad)

12 Rabi-Ul-Awal Jise Hm Eid-Milad-Un-Nabi Ki Hasiet Se Manaty Hein Usy Manany Ka Hukm Na Islam Mei Hai Or Na Hi Ahadees Mei Is Ka Zikr Hai. Yeh Din Na Kabi Hazoor Akram(S.A.W) Ny Apni Zindgi Mei Manaya Or Na Hi Isky Manany Ka Hukm Diya. Yeh Tehwar Ya Din Na Hi Hazrat Abu Bakr(R.A) Ny Manaya Or Na Hi Hazrat Umar(R.A) Ny Or Na Hi Dusry Sahahba Ikram Ny. Jab Ye Din  Hazoor Akram(S.A.W) Or Na Hi Dusray Sahahba(R.A) Ny Manaya To Hum Kuon Mana Rahy Hein. Is Din Ky Manany Ka Matlab Hai Ky Hm Sachy Musalman Nahi. Agr Quran Majeed Se Jaiza Liya Jai To Pata Chalta Hai Ky Allah Tallah Ny Do Eidein Manany Ka Hukm Diya Hai To Ye Tisri Eid Kyou Hm Manain. Ye Din Manany Se Hm Muft Ka Boht Bara Gunah Apny Sr Pr Ly Rahy Hein Or Hkm Illahi Ki Khilaf Warzi Kr Rahy Hein. Is Liye Hamein In Batoon Pr Gor Karna Chahye Or Is Tarhan Ke Tehwar Ya Din Manany Se Guraiz Karna Chahye Jo Quran Or Hadees Se Sabat Na Hon. Allah Tallah Mujhe Or Ap Ko Sahi Tarhan Sunat Nabvi Or Quran Pr Amal Ki Taufiq Ata Farmaye (Ameen).

Akhir Mei Jo Is Baat Se Ikhtilaf Karta Hai To Mei Usko Challenge Karta Hon Ko Woh Quran Ki Ayat Ya Hadees Se Nabvi Se Sabat Kardy Keh Ye Din Manana Jaiz Hai.
 

Ammad Hassan
About the Author: Ammad HassanCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.