Zindagi

(Shumaiya Amber Gill, Karachi,Pakistan)

Zindagi Ke Liye Har Insan Ka Matlab Faraq Hota He.Kisi Ke Liye Yeh Sirf Ek Haseen Khwaab He To Kisi Ke Liye Ek Karwa Sach.Kisi Ke Liye Yeh Rangon Bhari Duniya He Or Kisi Ke Liye Yeh Virangi Ke Ilawa Kuch Nahi.Koi Ise Phoolon Ki Saij Samjhta He To Kisi Ke Liye Umar Bhar Ka Dard He.

Par Sochne Or Gour Karne Wali Baat Yeh He Ke Zindagi Sab Ke Liye Ek Jaisi Kyun Nahi He,Har Kisi Ke Liye Yeh Phoolon Ki Saij Kyun Nahi He.Iska Jawab Yeh He Ke Har Insaan Ki Zindagi Isi Liye Mukhtalif Hoti He Kyunke Har Insaan Ka Ek Apna Nazriya Hota He Ise Lekar Jo Ke Use Un Faislon Tak Le Jata He Jo Ke Ya To Uski Zindagi Sanwaar Dete Hen Ya Uski Zindagi Ko Bigaar Dete Hen.

Zindagi Yun To Kisi Ke Liye Aasan Nahi Par Agar Kisi Ke Liye Yeh Zindagi Aasan Hui He To Yeh Un Logon Ke Liye Hui He Jinhon Ne Humasha Sachayi,Khudari,Mehnat,Emaandari,Watan Parasti Ka Jazba,Aur Sabse Awal Apne Rab Ke Liye Beloss Muhobat Ko Sabse Uper Rakha Aur Chahe Kitna Hi Tang Rasta Kyun Na Ho Unho Ne Apne Asoolon Par Kabhi Samjhota Nahi Kiya,Apne Rab Se Apni Muhobat Me Kabhi Kami Waqya Na Hone Di,Aur Ab Tak Jinhon Ne Sehal Pasandi Aur Khudgarzi Ka Muzahira Kiya Unhen Zindagi Ki Talkhiyan Jhelni Pari.

Isi Liye Me Apni Nojawan Nasal Se Yehi Kahungi Ke Zindagi Ko Agar Behtar Banana Chahte Ho To Kushada Raste Ka Lalach Karke Be-Imani Ko Apna Shewa Na Banao,Balke Jhoote Logon Ka Sir Neecha Karte Huwe Sirat-E-Mustaqeem Par Gamzan Raho Aur Apne Rab Se Hi Muhobat Rakho Dunya Ki Asaish-O-Araam Ka Na Socho,Kyune Tume Tumari Wafadari Or Sachayi Ke Iwaz Wo Parwardigaar Bohat Kuch Dega Jo Tumari Soch Se Balatar Hoga.
 

About the Author: Read More Articles by : 3 Articles with 4330 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.