Paani Aik Naimat Hai

(sehrish, karachi)

Pani Zindagi Hai, Pani Hai To Jahan Hai Aur Ye Qudrat Ki Baish Baha Naimat Hai. Qudrat Ka Hamari Zameen Par Insan, Nabataat Aur Deegar Haiwanat, Is Sab Ka Wajood Pani Kay Dum Say Qaim Hai. Jadeed Duniya May Maholiyati Aaloodgi Kay Maslay Nay Pani Ko Bhi Mutasir Kiya Hai Jaisa Kay Logo Ko Zinda Rehnay Kay Liye Pak Saf Pani Darkaar Hota Hai Is Maqsad Kay Liye Shehron May Water Purification Ka Maqam Ub Har Us Jaga Kay Liye Zarori Samjha Ja Raha Hai Jahan Logo Ki Bari Tadaad Guzar Basar Karti Hai Ya Wo Kisi Khas Kaam May Mulazmat Kay Liye Jama Hotay Hain. Pani Ki Ehmiyat Ka Wahan Andaza Hota Hai Jahan Pani Qatra Qatra Jama Hota Hai Jaisa Kay Kaha Jata Hai ‘Qatra Qatra Dariya Banta Hai’. Mukhtasir Ye Kay Pani ALLAH Ki Di Hui Naimat Hai Aur Is Ki Qadar Wo Log Behtar Jantay Hain Jo Is Naimat Say Mehroom Hain.

Disclaimer: All material on this website is provided for your information only and may not be construed as medical advice or instruction. No action or inaction should be taken based solely on the contents of this information; instead, readers should consult appropriate health professionals on any matter relating to their health and well-being. The data information and opinions expressed here are believed to be accurate, which is gathered from different sources but might have some errors. Hamariweb.com is not responsible for errors or omissions. Doctors and Hospital officials are not necessarily required to respond or go through this page.

sehrish
About the Author: sehrish Read More Articles by sehrish: 8 Articles with 43137 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.