Tanqeed Our Islah

(Aik Banda, London)

Tamam Parhnay Waloon Ko Salam.

Pheli Bar Hamariweb K Article May Likhnay Ki Kooshish Kar Raha Hoon.

Buhat Phelay Kisi Kitab May Aik Story Parhi Thi Ya Kisi Say Suni Thi. Lakin Buhat Sabak Amooz Lagi Is Liay App Sub Say Share Karna Chahoon Ga.


Story Kuch Is Tharan Thi..... Apnay Lafzoon May....

Aik Young Larka Buhat Acha Artist Tha. Usay Tharan Tharan K Portrait Banay Ka Behad Shook Tha. Usay Apnay Kaam Say Muhabat Bhi Buhat Thi. Woo Apnay Buzurg Waliday Muhataram K Saat Raha Karta Tha. Usay Yaqeen Tha K Is Pooray Ilaqay May Mujhe Say Acha Artist Koi Nahi Hai.

Us Nay Aik Shandar Portrait 3 Months Din Raat Mehnat Kar K Mukamal Kiya. Usay Yaqeen Tha Kay Mayra Banaya Huwa Portrait Baymisal Hai. Kiyoon K Us Nay Buhat Hi Mehnat Our Shook Say Yeah Portrait Banay Tha.

Us Larkay Nay Portrait Complete Kar K Us K Neechay Likha Agar Is May Koi Ghalti Dekhain To Pencil Say Aik Goal Diyra Laga Dain. Our Us Ilakay Ki Sub Say Masroof Tareen Sharah Par Usay Laga Aya. Usay Yaqeen Tha K Maray Banay Huway Portrait May Kisi Ko Bhi Koi Ghalti Nahi Milay Gi.

After 3 Days Woo Khush Khush Us Ilaqay Ki Masroof Shahrah Par Gaya Takay Wahan Say Apna Banaya Huwa Portrait Lay Aay. Lakin Jub Woo Us Sharah Par Pohncha Our Jub Us Ki Nazar Apnay Portrait Ki Taraf Gi To. Woo Buhat Zaida Disheart Huwa Kiyoon K Us Portrait Par Jaga Jaga Pencil Say Goal Diaray Banay Huway Thay Jis Ka Matlab Yeah Tha K Is K Portrait May Ghaltiyan Hi Ghaltiyan Hain.

Yeah Young Boy Buhat Disheart Ho Kar Ghar Aya Our Apna Portrait Bhi Phar Diya. Our Apnay App Say Promise Kiya K Ainda Kabi Bhi Portrait Nahi Banaoo Ga. Jub Walid Buzurgwar Nay Apnay Lakhtay Jigar Ko Is Tarah Udas Our Gamgeen Dekha Too Usay Waja Poochi. Young Boy Nay Sari Soortay Hall Apnay Waliday Muhataram Ko Bata Di.

Waliday Muhataram Nay Usay Hosla Diya Our Tasali Bhi Di. Our Kaha K Dobara Isi Tharan Ka Behtareen Aik Portrait Banaoo. Young Boy Disheart Huwa Tha Lakin Woo Aik Saadat Mund Beta Bhi Tha Usnay Walid Sahib Ka Kha Mana Our Dobara Mehnat Our Shooq Say Portrait Bana Shoro Kardiya.

Appox, 3 Months Din Raat Mehnat Kar K Jub Portrait Mukamal Huwa Too Us Nay Walid Sahib Ko Bataya K Portrait Mukamal Hogaya Hai. Walid Sahib Nay Shabash Di Our Kaha K Is Portrait Ko Wahan Hi Laga Kar Ana Jahan Phela Portrait Lagaya Tha Our 7 Days Baad Laynay Jana + Us Portrait K Neechay Yeah Words Likhway K Is Portrait May Jahan Ghalti Dekhain Us Ki Islah Farma Dain.

Abb Yeah Saadat Mund Beta Dartay Dartay Us Portrait Ko Usi Masroof Shahrah Par Laga Kar Ajata Hai. After 7 Days Walid Sahib Betay Ko Kehtay Hain K Jaoo Our Us Portrait Ko Lay Aoo.

Abb Young Boy Buhat Ghabratay Huway Us Jaga Jata Hai Our Yeah Soochta Huwa Jata Hai K Phelay3 Days Lagaya Tha Too Jaga Jaga Loogon Nay Pencil Say Dairay Laga Diay Thay Our Abb 7 Days Baad Ja Raha Hoon Abb Too Logon Nay Us Portrait Ko Hi Mukamal Kharab Kar Diya Hoga. Jub Us Ki Nazar Us Portrait Par Parti Hai Too Usay Aik Shock.... Pochta Hai Usay Apni Ankhoon Par Yaqeen Nahi Atta Hai.

Because Us Ka Woo Portrait Bilkul Saaf Soothra Hota Hai Kisi Nay Us Par Aik Dot Bhi Nahi Lagaya Hota Hai Jaysa Us Nay Portrait Banaya Hota Hai Wesa Hi Hota Hai Us May Kisi Nay Koi Rad O Badal Nahi Kiya Hota Hai. Buhat Khush Khush Yeah Young Boy Apnay Ghar Ata Hai Our Tamam Soortay Hall Apnay Waliday Muhatram Ko Batata Hai.

Waliday Muhataram Betay Ko Khush Dekh Kar Buhat Khush Hotay Hain Our Usay Shabash Datay Hain. Our Batatay Hain Beta

"IS DUNYA MAY TANQEED KARNAY WALAY BUHAT MILAIN GAY LAKIN ISLAH KARNAY WALAY BUHAT HI KUM HOON GAY"

Too Doston App Kisi Bhi Field Say Taluq Rakhtay Hain. App Student Hain Ya Worker Hain, Profeesional Hain Ya Businessman Hain. Gurz App Kisi Bhi Field May Hain Loog App Ko Criticize Karnay Walay An Ginat Milain Gay Lakin Islah Karnay Walay Buhat Kum Milain Gay.

Agar App Criticize Karnay Waloon Ki Batoon May Agay Too App Kabhi Bhi Kamyaab Nahi Hoon Gay. Yahan To Yeah Hall Hai K Agar Bus Logon Ko Tanqeed Hi Karni Hai Kisi Ko Hosla Nahi Dayna Lakin.

Please Readers App Sub Bhi Kooshish Karain K Hum Sirf
"TANQEED BARAY TANQEED NA BANAY"

Balkay Tanqeed Baray Islah Banay.

Agar Kisi Ki Islah Waqai Karni Hai To Us Ko Achay Andaz May Us Ki Ghalti Batain Our Saat Usay Us Ki Ghalti Ki Islah Ka Tariqa Bhi Batain. Jo Maray Dost Dosroon Ki Tanqeed Say Dil Bardashta Ho Gay.
 
Woo Ajj Hi Nay Joosh Our Jazbay K Saat Nay Passion K Saat Kaam Shoro Karain Jub Hum Kooshish Our Mehnat Karain Gay Allah Azwajal Hamari Zaroor Madad Kar Gay.

Take Care Of Yourself
Remember All In Your Prayers

Aik Banda
About the Author: Aik BandaCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.