|
|
|  | | (Abid Anwer, India) |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
Reviews & Comments
|
|
|
Abid Anwar Sahab,
Musalmanon ko kis tarah ki khooshiyan manani chahiye? Kis kis baat ki khooshiyan manani chahiye? Musalmanon ko kaise khooshiyan manani chahiye? yeh bhi batate to aur bhi achha hota.
Islam eik aisa deen hai ki iss ke manne walon ko Islam ke hawale apne aap ko kar dena hai. Musalmanon ne apne aap ko kis ke hawale kar ke rakha huwa hai?
Allah ke hawale ya phir Shaitan ke hawale,
Aap Hindustani Musalaman ka rona ro rahe hain jabki saari duniya mein musalmanon ki haalat bahut kharab hai. Falasteen mein kiya ho raha hai, meezailon se bachchon ko maara ja raha hai. Iraq aur syria mein kiya ho raha hai? wahan kaun se hindu hain ya mushrik hain? Kiya Pakistan aur Afghanistan mein hindu hain ya mushrik hain? Kahan per kis ko kitna insaaf mil pata hai? African countries mein kitne muslim kis tarah ki zindagi guzar rahe hain? Bahrain mein police kis ko nishana bana rahi hai? Libiya ko kiya bhool gaye hain? Egypt ka kiya haal hai? Yemen, Tunisia, Algeria aur Lebanon ki kiya halat hai?
Ham Musalmanon ki yeh halat kiyon hain, Kiyon ki,
Gaali Galauj karne mein ham sab se aage, Qatl-o-khoon karne mein, zina kari mein, be hayaee ke kamon mein, bad zabani karne mein, chori karne mein, jhagda karne mein, geebat karne mein, hasad karne mein, dhoka dene mein, jhoot bolne walon mein, padosiyon ko takleef dene mein, qanoon todne mein, haraam kaari karne mein, haraam khane mein, apne muslim bhaiyon aur bahnon ko ladaane mein, randi baazi karne mein, daga baazi mein, khayanat karne mein, takabbar karne mein ham musalman sab se aage hain, fitna angezi mein ham sab se aage,
Allah ke ahkamat ke khilaaf karne mein ham sab se aage, Deen-e-Islam ke usoolon ke khilaf jaane mein ham sab se aage,
kin kin burayyon ka zikar kiya jaye jo ham mein nahin hain, na hamein sharam aati hai aur na hi hamein koi rokne tokne waala hai. Jab Allah Taala se nahin sharmate to hamara kaun madadgaar ho sakta hai?
Allah Taala ne Quraan Majeed mein farmaya hai..............................
Allah Taala ziyadati karne walon ko dost nahin rakhta------------------------------(195 - Al Baqrah) Allah Taala kaafiron ko dost nahin rakhta--------------------------------------------(32 - Aal Imran) Allah Taala Takabbur karne wale, badai marne walon ko dost nahin rakhta------(36 - Al Nisa) Allah Taala Khayeen aur murtakib-e-jaraim ko dost nahin rakhta-----------------(107 - Al Nisa) Allah Taala fasaad karne walon ko dost nahin rakhta-------------------------------(64 - Al Maida) Allah Taala fasaad karne walon ko pasand nahin karta-----------------------------(77 - Al Qasas) Allah Taala had se badhne walon ko dost nahin rakhta-----------------------------(84 - Al Maida) Allah Taala fizool kharchi karne walon ko dost nahin rakhta-----------------------(141 - Al Inaam) Allah Taala daga baazon ko dost nahin rakhta--------------------------------------(58 - Al Anfaal) Allah Taala sarkashon ko har giz pasand nahin karta------------------------------(23 -Al Nahal) Allah Taala kisi khayanat karne wale, kufraan-e-neamat karne walon ko dost nahin rakhta(38 - Alhajj) Allah Taala itraane walon ko dost nahin rakhta-------------------------------------(76 - Al Qasas) Allah Taala zaalimon ko, be insaafi karne walon ko hidayat nahin deta----------(258 - Al Baqrah) Allah Taala kisi naa shukre, gunahgaar ko dost nahin rakhta---------------------(276 - Al Baqrah) Allah Taala ke nazdeek fitna angezi qatal se bhi bada gunaah hai---------------(217 - Al Baqrah) Allah Taala se jin logon ne inkaar kiya aur baatil ko mana wohi nuqsan uthane wale hain(52 -Al Ankaboot) Allah Taala ki aur uss ke Rasool ki jo log mukhalifat karte hain woh hi zaleel hon ge(20 - Al Mujadila)
Mere Musalman bhaiyon, behnon aur bachchon,
Jab ham Allah Taala ke saath nahin ho sakte to Allah Taala hamare saath kis tarah ho sakta hai. Shikayat kis baat ki? kis se shikayat karein? apne apne garaiban mein jhaank lein pehle.
Kiya Allah Taala Zaalim hai jo musalmanon per yeh sab hone de raha hai ya phir ham khud apne apne aamal ke hathon tabah ho rahe hain?
Allah Taala logon per zulm nahin karta lekin log khood hi apne aap ko tabah karte hain....(44 - Yunus) yeh oon aamal ki wajah se hai jo tum ne apne hathon samete hain aur yeh ke Allah Taala bandon per zulm karne wale nahin.............(51 - Al Anfaal) Allah Taala aisa nahin ki oon per zulm karta lekin woh to khood hi apni jaanon per zulm karte the, phir aise logon ka anjaam jinhon ne bura kaam kiya tha bura hi huwa.......(9-10 Al Room)
Hamein khood hi faisla karna hai ki Allah ke saath rahne walon ko kiya milta hai
aur
Shaitan ke chele chaate banne se kiya milta hai.
Apni kahani apni hi zabaani likhein apne garaiban mein jhank kar to baat bhi kuchh banti hai.... doosron ko moorad-e-ilzaam thahra kar kiya milta hai. jab ham apne Allah Taala ke nahin ho sake toh hamara apna kaun ho ga.......
|
|
By:
Mushtaque Gafur Ansari,
Mumbai - India
on
Sep, 10 2012
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
Please Wait Submitting Comments...
Please Wait Submitting Comments...
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
 |
|
|
|
|
|
|
Recently Commented Articles
|
|
|
|
|
|
|
|
Most Commented Articles (Last 30 Days)
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|