Taleem Sab K Liye

(faraz ali khan, karachi)

Assalam O Alaikum

Mere Nazdeek Taleem Bahut Zaoori Hai Per Sab Ke Liye Hum Log Taleem Ki Ehmiyat Pe To Zor Dete Hain Lekin Koi Yeh Nahi Kehta Ke Taleem Sab Ke Liye Aam Honi Chahiye Agar Hum Taleem Ko Free Kar Dein Matric Tak To Hamare Mulk Ka Literacy Rate Dosre Mulko Jaisa Hoga Jis Ka Matlab Yeh Hoga K Pakistan Ka Kam Se Kam Parha Likha Banda Bhi Matric Pass Hai Kuch Log Aise Hain Jo Do Waqt Ki Roti Nahi Kha Sakte To Woh Bechare Taleem Kahan Se Hasil Karain Ge Jin Ke Pass Rehne Ke Liye Ghar Nahi Hai Khane Ke Liye Roti Nahi Hai Pehenne Ke Liye Kapre Nahi Hai To Woh Kahan Se Taleem Hasil Karain Hamare Mulk Mein Taleem Ko Karobar Bana Lia Hai Chand Logo Ne Aisa Nahi Hona Chahiye.

Balke Is Ko Jis Kadar Dosro Mein Baanta Jaye Utna Hi Acha Hai Is Se Hum Sab Ka Hi Faida Hai Aaj Kal Taleem Hasil Karna Har Kisi Ke Bas Ki Baat Nahi Hai Pvt Universities Taleem Ke Naam Pe Bhaari Fees Leti Hain Jo Ke Har Banda Afford Nahi Kar Sakta Aur Govt Sec Ki Universities Ka Meyaar Aisa Nahi Hai K Wahan Pe Aap Achi Education Hasil Kar Sako Ya To Ap Ke Pass Paisa Ho Tab Hi Ap Higher Education Hasil Kar Sakte Ho Warna Inter Kar Lo Yehi Bahut Hai Kam Se Kam Govt Ko Yeh Karna Chhahiye Ke Jo Deserving Students Hain Un Ke Mahana Wazifa Baandh De Ta Ke Woh Apni Education Jaari Rakh Sakain Aur Is Tarah Shayad Illetrate Bando Ki Taadad Hamare Country Se Finish Ho Jaye.
 

faraz ali khan
About the Author: faraz ali khan Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.