Aap Ka Pasandeeda Phool

(Afshan Rahman, Chicago usa)

Kisi Bhi Insaan Se Ager Poochen Ke Aapko Konsa Phool Yanee Flower Pasand Hay Woh Zaroor Apko Apni Pasand Bataen Ge Akser To Khoshboo Ke Bare Mein Bhi Bataenge Kisee Ko Gulab Kisee Ko Motia Pasand Hoga.Aapko Logon Ki Fitret Phoolon Ki Pasand Se Batate Hein Ke Konse Log Kese Hote Hein.Gulab Jo Pholon Ka Badshah Hota Hay.Yeh Phool Zeeyadater Log Pasand Kerte Hein.Oos Ko Pasand Kerne Waale Bhut Jezbaatee Hote Hein Muhabbet Or Nafret Ke Maamle Mein Bhut Inteha Pasand Hote Hein Por Josh Or Apni Tareef Ke Maamle Mein Inteha Pasand Hote Hein Woh Nomaya Rehna Chahte Hein.Motia Ka Phool Pasand Kerne Waale Bhut Hasaas Hote Hein Bhut Por Kholoos Hote Hein Romantic Bhi Hote Hein Doosron Ka Kheyal Or Ehsaas Rakhte Hein.Kheyali Dunya Mein Magan Rete Hein.Bhut Juld Udaas Hojate Hein. Kisee Se Nafret Nahi Rakhte..Nargis Ka Phool Jo Bhi Pasand Kerta Hay Woh Intezaar Ki Elamet Hay.Negetive Thinking Rakhte Hein Her Chees Ko Udasee Se Dekhte Hein.On Ko Her Waqt Ye Der Hota Hay Ke Kooee Bhi Kaam Shoroo Karenge To Nakami Hogee.Raat Ki Raani Ko Like Kerne Waale Khud Nomaee Ke Khahish Rakhte Hein.Khud Mein Magan Rete Hein Doosron Se Zeeyada Dilchaspee Ka Izhaar Naee Kerte.Kanwal Ka Phhol Jo Bhi Like Kerte Hein Wohtoh Mein Rete Hein Hsad Ka Jazba Bhut Hota Hay Doosron Ki Bare Mein Maloomaat Rakhna Chahte Hein.Chanbelee Ko Pasand Kerne Waale Doosron Ke Kaam Aate Hein Helpful Hote Hein Dukh Sukh Mein Saath Dete Hein.Bhut Nazuk Dehen Ke Hote Hein Her Baat Ko Bhut Feel Kerte Hein.Gende Ke Phool Ko Like Kerne Waale Bhut Lucky Hote Hein On Ki Life Mein Dukh Bhut Kum Aate Hein Nahayat Laobalee Hote Hein Kabhi Life Ko Serios Nahi Lete.

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 213572 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.