Kiya Rawyun Aur Soachoo Ki Takrar Parayshani Ka Bais Hain?

(nida usman, karachi)

Mujhay Acha Nahi Lagta Jab Ghar Main Saman Phaila Huwa Hoo, Main To Har Aik Cheez Ko Bar Bar Saaf Karty Hoon Chahy Woh Mairay Hath Hoon Ya Ghar Kay Sheeshay, Bachoo Ki Feeder Ho Ya Un Kay Shoes Kio Kay Jaraseem Jo Lagay Hotay Hain. Humaray Muashray Main Safay Ko Lay Kar Har Koi Bohot Hasas Hay Ghar Kitna Saaf Hay, Kitchen Main Saman Kitnay Saleeqay Say Rakha Gaya Hay, Deewaroo Par Kahin Miti To Nahy, Wazoo Kay Baad Hath Kahin Laganay Nahy Hain Warna Napakii Lag Jay Gy, Hath Dhonay Kay Baad Nalka Bhi Dhoo Lo Warna Jab Band Karain Gay To Hatoo Par Dobara Jaraseem Lag Jain Gay Aur Phir Dobara Hath Dhona Parain Gay.

Jin Logo Ko Safay Ka Khabat Hota Hay, Un Ki Zaaaty Zindagy Bohot Ziada Mutasir Hoty Hay, Woh Ya Baat Samajh He Nahy Patay Kay Kahan Kiya Garbar Ho Rahy Hay, In Kay Waldain, Bachay Aur Zindagy Ka Sathy Har Waqt In Ki Tanqeed Ka Nishana Bantay Hain, Palang Par Na Baithoo Chadar Kharab Ho Jay Gy, Saman Samiat Kar Rakhoo Ghar Ganda Na Lagay, Pani Ka Glass Har Bar Dho Loo Aur Pani Peenay Kay Baad Dobara Dho Kar Ulta Kar Kay Rakhoo, Har Thori Dair Baad Hath Aur Bathroom Dho Loo, Is Tarhan Kay Logo Kay Bohot Chotay Bacahy Jin Ki Umar 5 Saal Tak Ki Hoo Un Ki Shaksiayat Buri Tarhan Mutasir Hoty Hay Kio Kay Bachoo Ko Bar Bar Nahlana, Khiloonoo Say Khailnay Na Daina, Kaproo Par Khana Giranay Par Sakhat Tanqeed Ka Nishana Banana Aam Hota Hay Jis Waja Say Un Kay Bachay Zidi Aur Chir Chiray Ho Jatay Hain, Baat Yahin Khatam Nahy Hoty Un Ki Shadi Shuda Zindagy Bhi Bohot Mutasir Hoty Hay Kay Woh Apnay Sathy Ko Waqt Nahy Day Patay Aur Moqa Miltay He Hath Dhonay Ya Koi Aur Safay Karnay Main Lag Jatay Hain, Aisay Loog Thora Sa Bhi Phailaoo Dekh Kar Tanqeed Karnay Lagtay Hain Jis Say Apas Main Ranjishain Barhty Hain.

Isy Tarhan Aksar Logo Ko Ghar Say Nikal Kar Ya Khiyal Ata Hay Kay Lock Ya Gas Line Khuli Na Rah Gay Hoo, Ya Phir Pani Ki Main Supply Line Band Kardii Thy Ya Nahy? Kuch Loog Is Waja Say Dobara Ghar Ja Kar Check Kar Atay Hain Aur Phir Apnay Ghar Say Bahir Walay Kaam Bhi Kar Laitay Hain Lakin Agar Ghar Main Check Kar Lainay Ka Bawajood Bhi Ya Soach App Ka Zehan Say Na Niklay Aur Dobara Yahi Mahsoos Hoo Aur Ya Soach Itny Parayshan Karay Kay App Apna Kaam He Na Kar Pain To In Soachoo Ki Takrar Parayshani Ki Baat Hay.

Har Koi Chahta Hay Kay Dosray Loog Isay Acha Samjhain Aur Us Kay Baary Main Achy Raay Qaim Karain Ya Aik Normal Amal Hay Lakin Apnay App Ko Acha Sabit Karnay Ki Garz Say Aksar Loog Bohot Ziada Gharai Main Chalay Jatay Hain Aur Apna Nuqsan Kar Baithtay Hain, Jaisay Apnay Dosotoo Ki Nazar Main Acha Banay Kay Liya Talib Alim Apnay Notes Day Daitay Hain Jis Say Un Ki Khud Ki Perhay Mutasir Hoty Hay, Ya Phir Ghar Main Biwi Khud Ko Achy Bahu Sabit Karnay Kay Liya Sara Din Kaam Main Lagy Rahty Hay Jis Say Us Kay Bachay Neglect Hotay Hain Aur Who Bemar Bhi Par Jaty Hay Ya Bhi Aik Had Tak Normal Hay Lakin Khud Ko Acha Sabit Karnay Ki Soach Itny Ziada Hoo Kay Insan Kisi Aur Cheez Par Tawaja Markooz Na Kar Pay To Is Say Masail Paida Hotay Hain.

Jab Kisi Bhi Tarhan Ki Soach Insan Kay Rooz Marah Kay Kaamo Ko Mutasir Karnay Lagay To Who Aik Nafsiyati Bemari Ki Shakal Ikhtiyar Kar Laity Hay, Aur Nafsiyati Bemariyun Main Ya Anxiety Disorder Kay Zamray Main Ata Hay Jisay OCD (Obsessive-Compulsive Disorder) Kaha Jata Hay, Is Main Kisi Bhi Tarhan Ki Soach Insan Kay Zehan Par Chupak Kar Rah Jaty Hay Jaisay Mujhay Jaraseem Lag Jain Gay Aur Is Khauf Ko Door Karnay Kay Liya Who Hath Dhoo Laita Hay, Ya Phir Ghar Ja Kar Lock Check Kar Laita Hay.

OCD Agar Shuruaty Marhalay Main Hay Aur App Ko Mahsoos Hota Hay Kay App Main Is Bemary Ki Tendencies Hain To Is Kay Liya Insan Ko Khud Koshish Karny Hogy Takay Who Is Mushkil Say Nikal Sakay, Jab App Ko Mahsoos Ho Kay App Kisi Aik Soach Ko Lay Kar Musalsal Parayshan Rahtay Hain To App Self Monitoring Kar Saktay Hain, Jaisay App Aik Sada Copy Par Rozana Sonay Say Pahlay Diary Likh Lain Aur Aik Haftay Baad Usay Perhain, Jahan Rawayoo Aur Cheezoo Ki Takrar Hoo, Un Batoo Par Tawaja Dain, Jis Ki Waja Say Ya Rawaya Parwarish Pa Rahay Hain, In Rawayu Ko Control Karna Mushkil Zaroor Hay Lakin Na Mumkin Nahy Hay.

OCD Dimagh Main Mojood Khalyun Ki Tadad Main Rado-Badal Ki Waja Say Bhi Hota, Jisay Serotonin Kahtay Hain Agar Is Ki Miqdar Kam Ho Jay To OCD Ho Jata Hay Aur Is Ka Ilaj Dawayun Say He Mumkin Hay, Agar OCD Shuruaty Marhalay Say Nikal Chuka Hay To Phir Is Par Khud Say Qaboo Pana Mumkin Nahy Hay Aur App Ko Kisi Achay Nafsiyaty Mu-Alij Say Rabta Karna Chahiya.

Jab Bhi Koi Mareez Nafsiyaty Mualij Kay Pass Jata Hay To Us Ka Ilaj Sirf Us Waqt He Mumkin Hay Jab Tak Who Khud Say Koshish Na Karay, Jis Tarahn Kisi Bhi Waqt Kisi Ko Bhi Jismani Bemary Ho Jaty Hay Isy Tarahan Nafsiyati Bemaryan Bhi Kabhi Bhi Kisi Bhi Waqt Ho Sakty Hay Jis Kay Liya Insan Ko Parayshan Nahy Hona Chahiya Aur Barwaqt Kisi Acha Nafsiyati Doctor Say Rabta Karna Chahiya, Nafsiyati Mareez Kay Ghar Waloo Ka Rawaya Us Ki Taraf Musbat Hoo Takay Who Apnay App Ko Jald Bahtari Ki Traf Laa Sakay, Agar Ghar Walay Aur Mareez Mualij Say Ta-Awun Karain To Kuch Bhi Na Mumkin Nahy Hay.

Disclaimer: All material on this website is provided for your information only and may not be construed as medical advice or instruction. No action or inaction should be taken based solely on the contents of this information; instead, readers should consult appropriate health professionals on any matter relating to their health and well-being. The data information and opinions expressed here are believed to be accurate, which is gathered from different sources but might have some errors. Hamariweb.com is not responsible for errors or omissions. Doctors and Hospital officials are not necessarily required to respond or go through this page.

nida usman
About the Author: nida usman Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.