Khail - Game

(Anwarul Haq Qadri, Karachi)

Saton (All Seven) Hukoomatein Pakistani Awam Sey Khail Rahi Hein Aur Awam Apas Mein Ek Doosrey Sey Khail Rahe Hein. Jo Shareef Hein Wo Berdasht Ker Rahe Hein Aur Jo Ghair Shareef Hein Wo Apne Se Kamzoro Ko Kaat Rahe Hein. Her Shaks Ek Doosre Ko Lootne Aur Mal Kamane Mein Masroof He Kisi Ko Koi Der Koi Khof Nahi. Musalman Ka To Iman He Keh Ek Din Merna He Aur Merne K Baad ALLAH PAK Ko Mun Dikhana He…Kis Mun Se Jaoge Allah Pak K Saamne? Pehle Karapshan Hota Tha Lakhon Mein, Phir Karoor Aura B Arab Aur Kharab…Koi Inteha Nahi, Mein Ney Andaza Lagaya To Pata Chala Ke Agar Ek Bande K Paas Ek Arab Rupe Hoon To Wo Uski Saat Naslon K Liye Kafi Hein…Magar Yahan Tau Koi Break Hi Nahi Hey, Her Naya Program Arbon Se Shuroo Hota Hey Jiska More Than Eighty Percent Cruption Yani Kisi Ki Jaib Mein Chala Jata He Yani Kei Arab Phir Kuchh Dino Baad Doosra Program Saamne Aata He Wo Bhi Arbon Mein Hota Hey Yeh Silsila Musalsal Teen Saal Sey Chal Raha Hey Magar Khatam Nahi Horaha, Maal Kahan Jar Aha He, Kuchh Nahi Pata Gharibon K Naam Per Schemes Banai Jati Hein Magar Gharibon Ki Tadad Mein Izafa Hi Horaha Hey Kami Nahi Aarahi…Amiron Ki Tadad Aur Phailao Barh Raha Hey.

Jab Mein Quran Shareef Ka Tarjuma Parhta Tha Tau Sochta Tha Keh Quran Pak Mein Namaz, Zakat Aur Qiamat Ka Zikr Baar Baar Kiyoon Hey, Ek Dafa Hi Keh Diya Jata Keh Qiamat Aaeeygi, Lekin Ab Pata Chala Keh Qiamat Ka Zikr Baar Baar Kyoon Aya Hey…Jab Yeh Gandey Log Apna Sarra Huwa Mun Kal Qiamat Mein Allah Pak K Saamney Leker Jaeinge To Yeh Nahi Keh Sakeinge Keh Ya Allah Quran Pak Mein Tau Qiamat Ka Zikr Sirf Ek Baar Hi Aya Tha Isliye Ham Samjhey Keh Yeh Koi Khas Bat Nahi Agar Ziadah Mertaba Aata To Phir Ham Qiamat Aur Uski Holnakiyon Sey Derte? Isi Liye Shayed Hujjat Tamam Kerney Ki Khatir Allah Pak Ney Bar Bar Qiamat Ka Zikr Fermaya Hoga (Wallah Alam Biss Sawab) Yeh To Allah Pak Hi Jantey Hein Ke Bar Bar Zikr Kiyoon Hey Magar Meri Moti Aqal Mein Yehi Baat Aai Thi Chunacha Zikr Kerdi. Ab To Yeh Keh Nahi Sakein G Eke Hamein Qiamat Ki Ehemmiyet Ka Pata Nahi Tha Magar Phir Koi Der Khof Nahi???

Eid Sey Qabl Dawa Kiaya Gaya Tha Ke Sugar Ki Price Mein Tees Sey Paintees Rupee Ki Kami Karaeyge, Awam Phir Bewaqoof Ban Gaey Or Intezaar Shuroo Kerdia…Ek Élan Huwa Keh Sindh Mein Cheeni Iksath Rupee Kilo Miley Gi Phir Do Din Baad Élan Huwa Ikatthar Rupee Mileygi, Eid Bhi Guzer Gai, Pichasi Mein Bhi Dastiyab Nahi???

Eid Per KESC Ney Paanch Din Load Shading Nahi Ki Isi Doran Turkey Se Ek Ship Power Plant Leker Agaya, Khabar Aai Key Iski Bijli KESC Ko Mileygai, Bholi Awam Yaqeen Ker Bethi Keh Eid K Baad Load Shading Nahi Hogi, Phir Khabar Aayi Yeh KESC Ke Liye To Hey Magar Awam K Liye Nahi, Paanch Din K Baad Phir Wohi Load Shading Ka Azaab Shuroo Who Tau Sardi Agai He Isliye Pata Nahi Chal Raha Agar Garmi Hoti To Awam Ki Germi Qabil-E-Deed Hoti?

Hukoomat Ney Marey Awam Ko Mazeed Marney Ka Bil Paish Kia Ittehadi Wa Ghair Ittehadi, Dono Ney Manney Sey Inkar Kerdia, Ek Ittehadi Ko Khuli Rishwat Mili (Chairmanship) Wo Razi Hogaya, Doosron Ney Kaha Hamara Kuchh Na Kuchh Maqam Hey Isliye Hamein Chhupi Huwi Rishwat Do Chunacha Uska Bhi Intezaam Hogaya, Phir Puchha Gaya Keh Karoge Kia, To Kehne Lagey, Uth Ker Chaley Jawinge…Jo Chaho Paas Kerlena, Na Honge Na Rukawat Daleinge, Awam Bhi Bewaqoof Ban Jaeygi…Kuchh Bewaqoof Pehle Se Hey Kuchh Mazeed Hojaey Gi, Aur…Maal Bhi Jaib Mein Aajaeyga.

Koi Inse Poochey Ke Bhai Tum Tau Musalman Ho Tumhara Tau Qiamat Per Iman He, Tum Wahan Kia Mun Dikhaoge?

KOI SAMJHAEY KEH HAM SAMJAEIN KIA.

Anwarul Haq Qadri
About the Author: Anwarul Haq Qadri Read More Articles by Anwarul Haq Qadri: 3 Articles with 3163 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.