Saab Jhooth

(Fazal Rehman Swati , Swat)

Islamabad Mein Ke Aik Park Mein Betha Mein Soch Raaha The Ka Kash Koi Haseen Dosheza Hoti Mere Sath Tu Kitna Maza Ata Mein Ye Soch Hi Raha Ke Pass Se Aik Khubsurat Haseen Larki Ka Udhar Se Guzar Howa Isheq Our Transport Mein Dear Insan Ko Manzil Se Door Kart Deti Hia Ye Soch Kr Mein Nai Dear Karna Munasib Na Samjha Ke Kaheen Mein Manzil Se Dor Na Ho Jaon Waise Ya Mere Aaba Ji Ka Qaol Hai Ke Kabhi In Do Mamlo Mein Dear Nahi Karni Chahiye Aba Ji Ke Hukam Ki Takmeel Ke Liye Our Apne Aap Ko Farmabadar Beta Sabit Karne Ke Liye Mein Nai Foran Us Haseen O Jameel Larki Ka Hath Tham Liya Our Un Se Kaha Kia Aap Mujh Se Isheq Karoo Gi Pehle Tu Wo Mujhe Ghoor Se Dekhne Lagi Phir Gusaay Mein Boli Ye Isheq Kia Hota Hai Kis Bala Ka Naam Hai Mein Bhut Dear Es Sawal Ka Jawab Talash Karta Raha Lakin Mujhe Es Ka Jawab Apne Es Kaam Aqal Wale Demagh Mein Talsh Krna Aik Namumkin Sa Kaam Laga Mein Us Haseen Naznain Ki Taraf Bare Ghoor Se Dekh Raha Tha Achanak Aik Police Wale Ki Hum Par Karam Ki Nazar Pare 7 Fit Ka Aik Jawab Meri Taraf Bara Our Hum Duno Ko Dekh Kar Us Ke Mooh Se Aik Bari Se Awaz Nikli Awaz Khasi Daroni Thi Mein Nai Apne Es Kam Aqal; Wale Demagh Se Es Baat Ka Andaza Laga Liya Tha Ke Wo Mujhe Jaise Badsurat Shaks Ke Sath Aik Adam Jannat Ki Hor Ko Dekh Kar Aisa Kar Guzara Tha Waise Use Ye Shayad Tawaqu Nahi Thi Police Wale Nai Thori Dear Bad Sakoot Ke Mahool Ko Tora Our Guse Se Hum Se Pocha Aap Kia Batain Ge Kya Kar Rahe The Uff Kismat Bari Mushkil Se Jannat Ki Aik Hor Mili Thi Jaise Ya Jallad Sifid Police Wala Mujh Se Chean Raha Tha.

Gussa Tu Mujhe Bhut Aya Lakin Kahan Qanoon Ke Rakhwale Kahan Aik Muazaz Shehri Mein Nai Kaha Bhai Na Chahte Hoye Bhi Bhai Kehna Para Ke Hum Log Tu Isheq Ki Baat Kar Rahe The Police Wale Nai Ghor Se Meri Taraf Dekha Our Kaha Mujhe Tum Shakal Se Chor Lagte Ho Ya Deshat Garad Tumein Mein Police Station Chal Kar Batounga Tum Sb Kuch Bool Do Gey Na Chahte Hoye Bhi Humein Us Zalim Safak Shaks Ke Sath Jana Para Rastae Mein Us Nai Mujh Se Daryaft Kiya Ke Apke Jaib E Mubarak Mein Kitna Hadiya Para Hai Mein Nai Ghoor Se Us Ki Taraf Dekha Our Meni Khais Nighhoon Se Us Ki Taraf Dekhne Laga Us Nai Mujhe Aik Tapar Raseed Kar Ke Pocha Ke Mein Nai Tumein Koi Gali Nahi Di Jo Tu Mujhe Aise Dekh Rahe Ho Mein Nai Kaha Yae Gali Se Kaam Nahi Ke Mera Na Koi Rozgar Hai Na Karobar Na Nokri Na Chokri Khuch Nahi Hai Mere Jaib Mein Photi Kori Bhi Nahi Police Wale Ko Es Ki Umeed Nahi Thi Us Nai Mujhe Kaha Tum Mujhe All Qaida Ke Agent Lagte Ho Wo Us Nai Larki Se Pocha Ke Aap Ke Beg Mein Kitne Paise Hai Tu Us Nai Kaha 500 Poilce Wala Khush Howa 500 Lai Kar Use Tu Chor Diya Or Sath Kaha Tum Shareef Gharane Ki Lagti Ho Tum Aik Achai Pakistani Shehri Ho Us Se Mafi Bhi Mang Li Our Kahan Us Larki Se Ke Qanoon Jahan Note Dekhta Hai Tu Qanoon Whan Andha Ho Jata Hai Use Jane Diya.

Mujhe Se Kehne Lga Kash Tumhare Jaib Mein Khuch Paise Hote Tu Aaj Tum Bhi Tum Chot Jate Barhaal Wo Mujhe Police Station Le Gaya Wahan Bethe Sho Ko Mukhatib Kar Ke Police Wale Na Kaha Sir Mein Nai Es Jawan Ko Aik Bhut Hi Sakhat Muqabile Ke Bad Girftar Kiya Hai Ye Mujhe Aal Qaida Ra Mosaad Saab Ka Agent Lagta Hai Sho Nai Mujhe Se Pocha Ke Kia Tum Aisa Kar Sekte Ho Ke Qanoon Ko Majbor Kar Do Qanoon Ke Paon Mein Paise Ki Zanjer Dal Do Mein Nai Nafi Mein Sar Hila Diya Mujhe Wahan Pura Insaaf Mila Rahi Sahi Kasar Jail Mein Puri Ho Gayi Mein Jab Court Gaya Tu Wakel Ki Fee Nahi Thi Es Liye Mujhe Koi Wakeel Na Mil Saka Court Ke Rejistar Nai Mujhe Mukhatib Karte Hoye Kaha Ke Agar Tum Khuch De Do Tu Mein Justices Sahib Se Tumein Es Case Se Bari Karwa Lounga Mein Nai Wahan Bhi Nafi Mein Sar Hila Diya Mujhe Juj Nai Moot Ki Saza Suna Di Jaab Mein Passi Charne Laga Tu Dil Mein Ye Khayal Aya Kiun Na Saddam Ki Tarha Hero Ban Jao Par Jab Mein Nai Nechay Dekha Chah Ki Taraf Tu Khoof Se Mein Kapne Laga Meri Maah Ro Rahi Thi Mein Nai Maah Se Kaha Maat Ro Mein Shaheed Hone Ja Raha Hon Maah Nai Meri Jotoon Se Tokhaiyi Ki O R Kehne Lagi 16 Cror Mein Aik Tu Hi Reh Gaya Tha Shaheed Hone Ko Maah Ki Maar Ka Aisa Asar Howa Meri Ankh Khol Gayi Mein Nai Dekha Mein Apne Bed Par Hon Phir Mein Nai Shukar Ada Kia Rubb Ka Our Uth Kar Fajar Ki Nimaz Parne Chala Gaya.

Fazal Rehman Swati
About the Author: Fazal Rehman Swati Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.