Ye Kursii Meri He

(Kiran Shahzadi, Rawalpindi)

Chand Din Bad Jb Hamid Phir Apny Nana K Ghar Jata He To Uss K Hath Main Jhandiyan Hoti Hain Wo Nana Jan K Pass Baith K 14 August K Bary Main Pochta Hy To Nana Jan Usy Kehty Hain K Acha Hamid Mian Ye Btao K Hum Ne Baton Ka Silsila Kahan Khatam Kia Tha Aj Phir Wahin Se Shuroo Krty Hain Hamid Sar Khujaty Hue Yad Krny Lagta Hy Phir Kehta He K Nana Jan Aap Ksi Bhuto K Bary Main Bata Rahy Thy K Aap K Bachpan K Zamany Main Unhain Kursii Se Utara Gia Tha Nana Jan Kehty Hain Bhai Kmal Ki Yaddasht Hy Tumhari Tum Mujhy Kafi Zaheen Mallom Hoty Ho Pocho Jo Tumhary Zahan Main Aata Hy Hamid Kehta Hy K Nana Jan Iss Bar 14 August Mery Liye Kafi Dificult Ho Gi Qun K Shair Ka Chela Hi Samny Aae Ga Main Ne Jo Kuch Suna Hy Uss Ki Waja Se Zahein Main Bura Asar Parra Hy Dekhty Hain Ky 14 August Kaisy Guzarti Hy Mashel Door Se Dono Ko Dekh Rahi Hoti He Wo Hamid K Pas Aa Kr Kehti He K Tumhari Birthday Bhi To 14 August Ko Hoti Hy Tum Apni Birth Day Pr Kia Karo Gy Main Ne Or Baba Ne Tumhary Liye Gift Liya Hy Or Peck Bhi Krwa Dia He Dono Hi Mashel Ki Baat Sun Kr Muskura Dety Hain Mashel Kehti He K Dada Jan Main Aap Dono Ki Batain Ghor Se Sun Rahi Thi Socha Main Bhi Kuch Bolon To Ye Baat Kr Li Hamid Kehta He Mshel Tum Ghalat Samajh Rahi Ho Tum Bhi Kuch Kehna Chahti Ho To Bolo Mujhy Ye Kehna Tha K Pakistan Agr Jamhori Mulk He To Iss Main Jamhooriyat Ka Zayada Bolbala Hona Chaiye Qun K Dada Jan Main Ye Samajhti Hun K Ajkal Ka Dour Jaisa Bhi Chal Raha He Iss Main Shayad Kujh Hamara Bhi Qasoor He Hum Jaisi Yang Janreshan Apny Aap Ko Mustehkum Nahi Kr Pa Rahi Dada Jan Mashel Se Pochty Hain Wo Qun Beta Tum Ye Baat Kis Buniyad Pe Keh Rahi Ho Wo Iss Liye Dada Jan K Hamari Aik Teacher Ne Hum Se Aik Sawal Kia Tha Jis K Bary Main Hamain Maloom Nahi Tha Or Hamain Kisi Ne Bataya Hi Nahi Tha Dada Jan Kehty Hain Wo Sawal Kia Tha Mishel Kehti He Kdada Jan Wo Sawal Kuch Yun Tha K Jab Pakistan Merz-E-Wajood Main Aaya To Qaed-E-Azam Ne Pehli Martba Jo Khitab Kia Tha Uss K Kitny Pehloo Thy Or Yang Ganretion Ky Liye Kia Pegham Tha Dada Jan Ye Sawal Sun Kr Mishel Se Pochty Hain Phir Tumhari Teacher Ne Iss Bary Main Tum Se Kia Kaha Ya Kia Bataya Dada Jan Poory Sawal Ka Jawab Unn K Pass Bhi Nahi Tha Mgr Aadha Jawab Zaroor Dia Tha ''Eimaan '' Tanzeem ''Ithaad ''Or ''Yaqeen-E-Mehkam ''Or Miljul Kar Itfaq Se Kam Karny Ka Dars Dia Tha Or Kaha Tha ''Kam Kam Or Sirf Kam ''Dada Jan Ne Ye Sun Kr Kaha K Pakistan Ki Histry Main Ne Bhi Nhi Parri Ya Phir Kabhi Ye Sb Batain Janny Ki Koshish Hi Nahi Ki Han Shayad Tum Ne Saheh Kaha Iss Main Hamara Bhi Kahin Na Kaein Qasoor Zaroor He Imran Door Khara Apni Beti Ko Dada Se Batein Karta Sun Raha Tha Or Shayad Thora Sharminda Bhi Tha K Itna Arsa Uss Ne Apni Beti Ko Dada Se Door Rakha Imran Chal Kr Un Sb K Pass Aaya Or Slam Kia Or Hath Main Pakrry Shapr Mishel Ko Diye Mishal Uth Kr Kitchan Main Chali Jati He Or Samosy Plats Main Le Aati Hy Sb Ne Mil Kr Khaya Pia Or 14 August Ki Teyaron Main Lag Jaty Hain Imraan Sochon Main Gum Betha Tha Wo Soch Raha Tha K Jb Se Mishel Paida Hui He Shayd Ye Pehli Bar Apny Dada K Sath 14 August Manarahi Thi Wo Bhi Dadi Ki Deth K Bad Aik Hi Shehr Main Rehty Huy Bhi Main Kitna Pathar Dil Bana Raha Laikin Ab Pachchtany Ka Kia Faida Jab Meri Maa Nahi Rahi Tb Main Iss Ghar Main Aayaimraan Inhi Sochon Main Gum Tha K Mishal Kb Unn K Pass Aa Kr Bethi Unhain Ilam Hi Na Ho Ska Mishal Ne Jaisy Hi Un Ka Hath Pakra To Wo Chunky Kon Baba Kia Hua Main Hun Aap Ki Peyaari Si Beti

Kiran  Shahzadi
About the Author: Kiran Shahzadi Read More Articles by Kiran Shahzadi: 6 Articles with 6046 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.