Bachoon Ki Buraian

(Kiran Sultan, Karachi)

" e Kiya Chay Banae Hay Tum Nay? Itni Patti Daal Di....Ly Kar Jao Foran Aur Dosri Bana Kar Lao.." Farida Begum Nay Apni Behan Aur Behnoi K Samnay Apni 16 Saal Ki Beti Ko Dantt Diya Aur Farah Dobara Chay Banay Chali Gae.

"Main To Tang Agae Hoon Ye Meri Baat Hi Nahi Sunnta." Nimra Nay Apnay Daiwar Nadeem Sy Apnay 08 Saal K Betay Farhan Ki Shikayat Kartay Huy Kaha. " Ab Nadeem! Tum Chahay Maroo Isko Ya Danto Bus Ye Parhnay Lagay"

Aisay Jumlay Ap Nay Apnay Ird Gird Sunain Hi Hogain. Aksar Waledain Apnay Bachoon Sy Pareshan Ho Kar Apnay Muhallay Waloon Sy Ya Khandani Rishtay Daroon Sy Shikayat Kartay Hain Jis Sy Un K Dil Ka Bojh To Halka Ho Jata Hay Magar Un K Bachoon Main Mukhalfat Ka Aik Naya Rasta Khul Jata Hay. Aj Kal K Iss Tarakiyati Dour Main Bachay Ehsas E Kamtari Ka Shikar Nazar Atay Hain. Apka Bacha Agar Fail Ho Raha Hay Aur Parh Nahi Pa Raha To Usko Baroon Sy Pitwanay K Bajay Wo Waja Talash Karain Jis K Baees Apka Bacha Parh Nahi Pa Raha. Apnay Bachay Sy Baat Karain Aur Pochain K Kiya Waja Hay? Kiya Usko Teacher Ka Samjhaya Samajh Nahi Ata Ya Board Dekhnay Main Masla Hota Hay. Agar Apki Beti Sy Chay Buri Bani Hay Ya Rotti Jal Gae Hay To Us Ko Samjhain, Tariqa Batain Us Ki Kammi Ko Yun Sub K Samnay Mat Beyan Karain, Agar Ap K Betay Ko Job Nahi Mil Rahi To Wo Koshish To Kar Raha Hay Na..Us Ki Himmat Banain Us Ko Bura Ya Nalaiq Nahi Kahain Q K Apka Bacha Hi Har Baar Bura Nahi Ho Sakta. Ap Waledain Hain Jub Apka Bacha Apki Nahi Samjh Pa Raha To Kiya Wo Dosray Sy Pitnay Ya Dantt Sunnay K Baad Samjh Jay Ga. Ap K Yun Sub K Samnay Apnay Bachay Ki Kami Batanay Sy Us Ka Dil Murjha Jata Hay Q K Waledain Aik Bachay K Sub Sy Qareeb Hotay Hain Q K Us Ko Aik Toffee Sy Lay Kar Computer Ya Garri Tak Kuch Bhi Chahiye Hota Hay To Wo App K Pass Hi Ata Hay...Ap K Is Tarz E Ammal Sy Apka Bacha Ap Sy Dour Ho Sakta Hay Aur Phir Wo Ghalat Logoon Ki Suhbat Main Paar Sakta Hay Q K Jub Ap Hi Uski Baat Nahi Sunain Gain Aur Uski Kammi Ko Sub K Samnay Beyan Karain Gain To Wo Bahar Apki Muhabbat Ki Kami Ko Pura Kar Sakta Hay..

Faisla Apko Karna Hay Q K Bachoon Ki Bhi Aik Self Respect Hoti Hay Jisay Majroh Nahi Hona Chahiye..............
 

Kiran Sultan
About the Author: Kiran Sultan Read More Articles by Kiran Sultan: 5 Articles with 8825 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.