Alamay Insaniat Kay Liye Pegham-E-Rehmat-O-Shifa

(Farida Akram, Karachi)

Aj Kal Kay Halat-O-Waqiat Main Insaan Jitna Be Bas Our Majboor Hai Kabhi Na Tha Bemaarian, Juraim, Ikhlaqi Our Samaji Beemarian Insaniat Ka Dam Torr Rahi Hain. Log Kioon Bemaar Hain? Blood Pressure, Sugar Falij, Heart Attack Our Bypass Ho Rahay Hain. Mazur Our Apahij Bachay Paida Hoo Rahay Hain. Jeenay Ki Khawaish Hai Bemaarian Khatma Kar Rahi Hain 6 Mah Ka Bacha Ganda Milk Peenay Ki Wajah Say Khusra Main Mubtala Hai. Cancer,Alser Gharz Hum Jo Kuch Daikh Rahay Hain Our Nazar Araha Hai. Nazar Ki Kamzoori, Operation, Chota Qad,Dipression Jin Say Hum Guzar Rahay Hain Kia Wajah Hai? Konsi Hikmat Hai? Jo Hum Say Gum Hai Aik Tu Pani Hai Jo Aluda Hai Is Ko Tu Hum Gharoon Main Boil Karaky Ya Doosray Methods Say Saaf Karsaktay Hain Dossri Wajah Milk Hai Jin Main Sab Bemaarion Kay Chemicals Hain. Milk ALLAH Ki Aisi Naimat Hai Kay Agar Milk Behtreen Ho Tou Hamari Sehat Barqrar Rehti Hai Nahin Tu Hum Beghair Meat Kay Kaye Years Tak Guzara Kar Saktay Hain Laykin Agar Milk Theek Na Ho Tu Hum Fooran Bemaar Par Jain Gain. Siyah Forest Main Kaye Months Kaisay Guzartay Hain? Un Kay Pass Kia Hota Hai? Un Kay Pass Butter,Cheese Our Cream Ki Shakal Main Acha Milk Hota Hai Jis Per Woh Guzara Kartay Hain Humaray Mulk Pakistan Main Doodh Walay Janwar Bemaar Hoo Kar Kat Rahay Hain Log Bemarioon Ka Shikar Hain Issi Wajah Say Ghurbat Our Pasmandigi Khatum Nahin Ho Rahi Hai. Pakistan Aik Agricultural Mulk Hai Doodh Kay Janwar Our Insaan Lazm-O-Malzoom Hain ALLAH Nay Quran Pak Main Farmaya Hai"Kay In Chupaioon Kay Khoon Our Gobar Kay Darmiaan Doodh Ki Nali Hai Jo Insanno Kay Liye Khush Zaiqa Our Sehat Bakhsh Hi" Humaray Pyaray Nabi(P.B.U.H) Nay Farmaya "Milk Main Noor Hai" Humaray Pyaray Nabi Sallahu Alaihay Wassalam Nay Milk Ko Har Ghiza Per Fazilat Di Hai.Phir Milk Main Kharabi Kaysay Paida Huiee. Janwaroon Ko Jo Khuraak Di Jati Hai Us Main Sab Say Bari Wajah Kapaas Ka Spray Hai =Jitni Qisam Ka Spray Hoga Utni Qisam Ki Bemaarian Humaray Samnay Hoon Gi. Is Liye Meri IMRAN KHAN Ko Cancer Hospital Kay Hawalay Say Our Hukumat Pakistan Say Pur Zoor Appeal Hai Kay Foori Tor Per Doodh Kay Janwaroon Ki Khurak Per Tawjah Di Jaye Takkay Acha Milk Mayassar Hosakay. Milk Main NOOR Hoga Tu Sehat Bhi Hogi. Our Logoon Main Noor-O-Shaoor Hoga. Our INSHA ALLAH Sehat Kay Our Smaji Our Maashi Masail Khud Bakhud Hal Honay. Abadi Khud Hi Control Hogi Our Iss Kay Sath Insaani Sehat Kay Masail Kay Sath Cigrette Noshi Our Dosri Cheezoon Say Chutkara Hasil Hoga. Acha Doodh Achi Sehat Our Roshan Pakistan Nazar Aye Ga Iss Kay Liye Sab Say Pehlay Fori Tor Per Janwaroon Kay Liye Nabatati Feed Tyar Ki Jaye Jis Main GANDUM, JOO Our CHANAY Waghaira Ka Dalia Shamil Ho Sabz Chara Mila Kar Dia Jayee. Sarsabz Jaghoon Per Ziyada Se Ziyada Dairy Farms Banaye Jain. Our Tetrapack, Butter Our Cheese. Tafioon Ki Shakal Main Dor Daraz Jaghoon Per Pohonchaye Jaye. Hukumat Jitni Jaldi Is Per Amal Karay Achay Nataij Fooran Samnay Ain Gain.INSHAALLAH.Jitna Budjet Hospitals Our Medicine Our Bemarioon Per Kharch Hota Hain Uska 2% Mawaishioon Ki Feed Per Kharch Karnay Say INSHAALLAH Sab Masail Hal Hongay.Hadioon Ka Chora Our Lamhiyati Ajza Doodh Kay Janwroon Kay Liye Bilkul Mamnoo Hain.Is Say Janwar Bemaar Hojatay Hain Our Milk Main Kharabi Ati Hai.Chemical Khuli Say Janwaroon Ki Bones Kamzoor Hojati Hain.Feed Achi Ho Gi Tou Janwaroon Our Insannon Ki Bemariaan Khatum Ho Jain Gin.Hukumat Pakistan Say Bar Bar Appeal Hai Kay Is Taraf Fori Tawajah Di Jaye. Bacteria Our Dosray Jaraseem Janwaroon Our Insannon Main Chemical Khurak Ki Wajah Say Bantay Hain. Our Scientist Say Appeal Hai Kay Woh Kappas Ki Fasal Jo Karkti Dhoop Main Tayyar Ki Jati Hain. Aisi Hikmat Apnain Kay Insaan Kay Liye Nuqsaan Deh Na Banay. Janwaroon Kay Liye Kappas Ki Khuli Fooran Band Ki Jaye. Is Ki Jagah Feed Kay Sath Thora Sa Vegetable Oil Use Kia Jaye INSHAALLAH Sehat Bakhsh Milk Hasil Hoga Jin Logoon Ko Milk Acha Milta Hai Unki Sehat Theek Rehti Hain. Akhir Main Sab Se Tareek Pehlu,Log Beemarioon Say Tang A Kar Khudkushi Kar Rahay Hai. Kasampasar Ki Zindagi Guzar Rahay Hain. Un Kay Liye Rehmat Or Shifa Hogi.Hukumat 23 March Our 14 August Ko Safai Ka Din Muqrar Karay Sab Log Apnay Gali Muhallon Ko Khud Saaf Karain Our Us Kay Sath ISLAMI TALIMAAT Our Quraan-O- Sunnat Kay Mutabiq Amal Karain. INSHAALLAH ALLAH Madad Farmaye Ga (Ameen).
1) Ghariboon Kay Liye Fori Tor Per Chotay Makaan Banaye Jain.
2) Khaitoon Ki Mitti Khaitoon Main Potatoes Waghaira Wahin Wash Karkay Wahin Saaf Ki Jain.
3) Hawadar Saf Dairy Farms Banaye Jain.
4) Janwaroon Ki Khurak Saaf Suthri Ho (Goo Kay Kozay Main Darya Band Hai).
Chemical Ghiza Say Janwar In Bemarioon Ka Shikar Hotay Hain Our Yehi Bemarian Doodh Main Ati Hain. Bemaar Doodh Bemaar Sehat. Har Bemaari Damma, Maliria,T.B,Bars,Hapatitis.B,Hapatitis.C, Nuswani Bemariaan,Zacha Our Bacha Our Bachoon Ki Bemariaan Jitnay Sehat Kay Masail Hai Sab Hal Hongay.INSHAALLAH .
Log Til Mila Rahay Hain, Tarap Rahay Hain Mayousi Our Gumrahi Ki Taraf Ja Rahay Hain. Ro Ro Kar Biluk Biluk Kar Dua Kar Rahay Hain. Akhir ALLAH Nay Humari Sun Li Rehman Nay Reham Ki Hum Per. Sirf Thori Si Koshish Say Hospitals,Medicienes,Injection,X-Ray Test.Dignose Sab Khatum. Hukumat Fori Tor Per Tawajah Day. INSHAALLAH Sehat Ka Sirf 2% Budget Laganay Say Sab Masail Hal Hongay. Janwar Pehlay Say Mujood Hai Sirf Inki Khurak Per Tawjah Daini Hai Sab Masail Hal Hongay.
1) Is Say Ameer Or Gharib Ka Faraq Khatum Ho Jaye Ga.
2) Doodh Ki Paidawar Barhay Gi.Achi Ghizaiat Ka Doodh Achi Qeemat Main Baramad Hoga Insaan Bhi Khush Janwar Bhi Khush.
3) Achay Doodh Say Bemaarian Paida Nahin Hon Gi Our Bemaaroon Ko Shifa Milay Gi.
4) Roz Roz Ka Bukhar, Bemariaan Our Kahnsi Sab Khatum Karain Acha Doodh Hasil Kar Kay.

Disclaimer: All material on this website is provided for your information only and may not be construed as medical advice or instruction. No action or inaction should be taken based solely on the contents of this information; instead, readers should consult appropriate health professionals on any matter relating to their health and well-being. The data information and opinions expressed here are believed to be accurate, which is gathered from different sources but might have some errors. Hamariweb.com is not responsible for errors or omissions. Doctors and Hospital officials are not necessarily required to respond or go through this page.

Farida Akram
About the Author: Farida Akram Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.