Rozey Ka Bayaan - II

(Chiraghdeen, Karachi )

Bismilla-Hir-Rahma-Nir-Raheem

(From: Sahih Bahishti Zaiwer)

Rozey Ka Bayan – Ii (Continued From Rozey Ka Bayan – I):

Masla No. 4: Agar Kisi Ney Din Bher Na Kuchh Khaya Na Pia Aur Subh Sey Sham Tak Bhooka Paisa Raha Ya Rahi Lekin Dil Mein Rozey Ka Irada Na Tha Balkeh Bhook O Piyas Na Lagi Ya Kisi Aur Wujooh Ki Bina Per Kuchh Khaney Ya Peeney Ki Nobat Na Aai Tau Iska Roza Na Huwa Lekin Agar Dil Mein Irada Kerletey Tau Roza Hojata.

Masla No. 5: Shriyet Mein Rozey Ka Waqt Subh Sadiq Sey Shuroo Hota Hey, Isliye Jab Tak Subh Sadiq Shuroo Na Ho Khana Peena Aur Ham Bistari Jaiz Hey, Baaz Log Raat Soney Se Qalbl Rozey Ki Niyet Kerkey Sojatey Hein Aur Raat Mein Kisi Waqt Aankh Khulney Per Kuchh Khatey Peetey Nahi Keh Ham Ney Tau Niyet Kerli Tau Ab Tau Ham Kuchh Kha Pi Nahi Saktey Tau Khayal Bilkul Ghalat Hey Balkeh Jab Bhi Aankh Khul Jaey Aur Subh Sadiq Shuroo Na Huwi Ho Tau Khana Peena Waghera Sab Jaiz Hey Lekin Agar Subh Sadiq Shuroo Hochuki Hey Tau Phir Nahi.

Ramzaan Shareef Key Rozey Ka Bayan:
Masla No. 1, Ramzaan Shareef Key Rozey Ki Agar Raat Sey Niyet Karey Tau Bhi Ferz Ada Hojaeyga Aur Agar Raat Ko Roza Rakhney Ka Irada Na Tha Balkeh Subah Hogai Tab Bhi Yehi Khayal Raha Keh Mein Aaj Roza Na Rakhonga Phir Din Charhney Ka Khayal Agaya Keh Ferz Chhor Dena Buri Baat Hey Isliye Ab Niyet Kerli Tab Bhi Roza Hogaya Lekin Agar Subh Ko Khuchh Kha Pi Chukey Tau Ab Niyet Nahi Kersaktey.

Masla No. 2: Agar Kuchh Khaya Pia Na Ho Tau Din Ko Theek Dopeher Sey Ek Ghantey Pehley Sey Pehley Pehley Ramzaan Key Rozey Ki Niyet Kerlena Durust Hey.

Masla No. 3: Ramzaan Shafeef Key Rozeh Mein Bas Itni Niyet Kerlena Kafi Hey Keh Aaj Mera Roza Hey Ya Raat Ko Itna Soch Ley Keh Kal Mera Roza Hey Bas Itni Hi Niyet Sey Bhi Ramzan Ka Roza Ada Hojaeyga.

Masla No. 4: Ramzaan Key Mahiney Mein Agar Kisi Ney Yeh Niyet Ki Keh Mein Kal Nafil Roza Rakhoonga Aur Is Ramzan Key Rozey Ki Baad Mein Qaza Kerloonga Tab Bhi Yeh Roza Ramzan Ka Roza Hi Hoga Nafli Roza Nahi Hoga.

Masla No. 5: Pichhley Ramzan Ka Roza Qaza Hogaya Tha Aur Pura Saal Guzergaya Doosra Ramzan Agaya Aur Pichhley Ramzan Key Rozey Ki Qaza Nahi Rakhi Phir Jab Ramzaan Ka Mahina Agaya Aur Qaza Ki Niyet Ki Tau Qaza Ada Nahi Hoga Balkeh Isi Ramzan Ka Roza Shumar Hoga Aur Qaza Ka Roza Na Hoga, Qaza Ka Roza Ramzan Key Baad Rakha Jaeyga.

Masla No. 6: Kisi Ney Nazer Mani Thi Keh Agar Mera Falan Kaam Hogaya Tau Mein Ek Ya Ek Sey Zidah Rozey Rakhonga Aur Jab Ramzaan Ka Mahina Agaya Tau Us Ney Unhi Nazer Key Rozon Ki Niyet Ki Ramzan Key Rozey Ki Niyet Na Ki Tab Bhi Roza Ramzan Ka Hi Hoga Nazer Ka Roza Nahi Hoga Nazer Ka Roza Ramzan Key Baad Rakhey – Inn Sab Baton Ka Khulasa Yeh Huwa Keh Ramzan Key Mahiney Mein Kisi Bhi Rozey Ki Niyet Ki Jaey Roza Ramzan Ka Hi Hoga. Koi Aur Roza Ramzaan Key Baad Rakha Jaeyga.

Continued On Rozey Ka Bayan - Iii ......................................

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190503 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.