Television

(HuKhan, Karachi)

21 Nov Ko Television Day Manaya Gia Siaanay Kehtay Hein Kay Tv Aur Bv Mein Bas Itna Saa Farq Huta Hay Kay Tv Ka Switch Off Huta Hay Jabh Kay Ye Sahulat Bv Mein Dastiyaabh Nahi Hay Ye Bacha Ubh Kafee Jawaan Hu Gia Hay Aur Ye Itna Laazmi Hu Gia Hay Kay Ghar Mein Iss Kay Liye Lounge Banaya Jata Hay Ju Zara Ghareeb Kisam Kay Ghar Hein Mera Matlab Jin Kaa Pora Ghar Hee Bamushkil Hee Lounge Kay Barabar Huta Hay Wahan Bee Iss Kay Shayaan E Shaan Jagah Bana Dee Jaty Hay Kay Tv Bahi Ko Zara Bee Bay Araami Na Hu Ghar Mein Khanay Ki Table Hu Na Hu Tv Kay Liye Table Kursee Sab Kuch Lazim Ehtemaam Huta Hay Ghareeb Admi Bee Dawaiee Lay Naa Lay Tv Zaror Laita Hay Pakistan Mein Tv Ki Paidaash 1964 Ko Huee,,Konsa Hospital Tha Ya Konsee Doctor Thee Iss Kaa Kuch Zayda Ilm Nahi Hay Barhaal Iss Waqt Pakistan Mein 100 Say Zaied Channels Hein Ju Hum Pakistanio Kaa Sabar Azmaatay Rehtay Hein.Hakoomat Ko Tv Zayda Pasand Nahi Ata Magar Jabh Ye Hee Hakomat Jabh Oposition Kaa Hisaa Hutee Hay Tu Tv Un Ka Sab Sey Ladllaa Bacha Huta Hay Magar Jabh Ye Oposition Say Hakoomat Ki Sehree Chartee Hay Tuu Tv Hakoomat Kay Liye Sokan Jasa Hu Jata Hay Pher Wo Serf Uss Time Dekhtee Hay Jabh Wo Koi Jhoota Hee Sahi Magar Pheeta Kaat Tee Hay Ya Pher Jabh Usay Din Raat Lakhun Kharch Kar Kay Awaam Ko Apnay Hakoomatee Kaarnamay Batanay Hutay Hein Tu Wo Apnay Eshtahraat Mein Cheekh Cheekh Kay Bata Tee Hay Kay Humaray Anay Say Pehlay Aloo Kia Rupay Kilo Tha Piaaz Tu Milta Nahi Tha Kadu Tu Hum Nay Itna Aam Kar Diya Hay Kay Har Shakhs Kadu Sa Hu Gia Hay Ek Dafa Ek Gernal Sahibh Nay Ju Kay Khud Sakhta Taraqee Kar Kay Mulk Kay Chief Executive Ban Gaye Thay Un Say Kici Nay Pocha Aap Kay Anay Say Loghun Nay Kis Qadar Taraqee Ki Hay Wo Bolay Itnay Hazaar Cell Phone Pakistani Saal Mein Khareed Tay Hein Iss Se Zayda Taraqee Kia Hu Gee Har Hukmaraan Jabh Bee Hakoomat Mein Ata Hay Apni Ainak Sath Lay Kar Ata Hay Koi Cell Phone Aur Koi Aloo Kay Rate Bata Kar Apni Taraqee Kay Guun Gata Hay Har Ek Kaa Taraqee Napnay Ka Paimana Apna Apna Hay,,,,Inn Halkay Nikamay Hukmaranu Kay Nazdeek ,,Taleem,,Sehat,,Rozgaar,,,Pani .....Bijli.Gas,Exports...Kaa Taraqee Sey Koi Khaas Taluq Nahi Bas Cell Phone Aur Aloo Hee Behtareen Scale Hein.

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1198685 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.