Jennifer Lopez

(HuKhan, Karachi)

24 July 1969 Ko Ek Larki Paida Hui Ubh Ye Samajh Nahi Aa Raha Hay Usay Singer Kahun Dancer Fashion Designer Actor Author Ya Serf Larki Kahun Ju Kay Lakhun Dilon Par Raj Karty Hay Mera Khiyaal Hay Bahut Say Gurdun(Kidnies) Ki Bee Wo Pm Hu Gee Magar Kia Kijye Kay America Mein Sadaarty Nizaam Hay Lopez Nay Jabh 1986 Mein My Little Girl Movie Mein Kaam Kiya Tu Us Nay Apni Acting Say Tahalka Macha Diya Hum Nay Tu Movie Kam Hee Dekhi Bas Lopez Ko Hee Dekhtay Rahay Movie Kay Douraan Kai Dafa Humein Mehsoos Bee Hua Kay Wo Humein Baar Baar Mana Bee Kar Rahee Thee Kay Hum Baaz Aa Jaein Qun Kay Usay Hum Say Sharam Aa Rahee Thee Magar Hu Sakta Hay Ye Humara Weham Hu Is Liye Aap Iss Baat Par Zayda Kaan Naa Hee Dhariye Kher Hum Tu Ajh Tak Free Time Mein Ye Hee Kaam Kar Rahay Hein Yeni Lopez Ko Hee Dekhtay Hein Kaie Dafa Hum Nay Socha Kay Kia Hua Gar Wo Umar Mein Hum Say Baree Hay Buzargh Samajh Kay Hee Usay Perpose Kar Detay Hein Pher Socha Khamkha Uss Nay Haan Kar Dee Tu Humein Dourna Par Jaye Ga Or Uss Kaa Nazuk Saa Dil Totay Totay Hu Jaye Ga Wesay Uss Ko Perpose Naa Karnay Ki Ek Waja Aur Ye Bee Hay Kay Hum Nay Uss Ko Songs Mein Aur Movies Mein Dekha Hay Wo Dourtee Bee Bahut Teiz Hay Iss Liye Hum Nay Usay Parpose Nahi Kia Baad Mein Us Nay Action Movies Mein Bee Kaam Kiya Jis Kay Baad Humein Iss Baat Par Pora Yaqeen Hu Gia Kay ALLAH Kay Har Kaam Mein Behtree Huty Hay Wesay Humein Uss Ki Living Color,If You Had My Love Bee Bahut Pasand Hein Magar Murghay Ki Ek Tangh Ye Sab Humein Lopez Ki Waja Say Hee Tu Pasand Hein Uss Mein Aur Hum Mein Bahut See Batein Common Hein Aap Hairat Mein Qun Par Gaye Humare Iss Baat Iss Kaa Matlab Hay Aap Humein Halka Lay Rahay Hein Chalein Hum Misaal De De Kay Samjha Detay Hein Lopez Nay Apna Career 1991 Mein Strat Kiya Usi Din Hum Nay Cycle Sey Motor Cycle Start Kiya Yeni Kay Hum Nay Cycle Bech Kar Uss Sey Qadray Behtar Motor Cycle Lay Lee Wo Ek Behtreen Fashion Designer Hay Hum Bee Fashion Kay Liye Ek Behtereen Desihgn Ya Namona Keh Lein Ya Model Baat Ek Hee Hay Hay Logh Humein Dekh Kar Fashion Kartay Hein Jis Kisam Kay Kapray Hum Pehna Shuro Kartay Hein Logh Wo Kapray Utaar Phanktay Hein Lopez Ek Behtareen Buisness Woman Hein Hum Bee Ek Alaaa Tareen Karobaari Kisam Ka Demagh Rakhtein Hein Hum Nay Kaiee Ek Karobar Kiye Misaal Kay Tour Par Sab Logh Shadi Hall Bna Rahay Thay Sheesh Mahal,,Gulab Mahal ,Taj Mahal ,,,Hum Nay Bee Shadi Hall Bnaya Magar Apnay Naam Ki Waja Say Wo Zayda Nahi Chala Hum Nay Uss Kaa Naam Talaaq Mahal Rakh Diya Loghun Nay Pathraow Kiya Aur Usay Nazar Lagh Gai Pher Hum Nay Bilkul Qabristaan Kay Samnay Apna Clinic Khula Taqay Mareez Ghar Janay Kay Bajaye Apni Haqiqi Manzil Par Jald Az Jald Pohanch Jaye Kafan Nahlaiee Dhulaiee Kaa Bee Apnay Clinic Mein Intizaam Kar Diya Loghun Ko Jalan Kay Maray Huamara Idea Pasand Naa Aya Humaree Hee Thukaiee Kar De Baree Mushkil Say Jaan Bacha Kay Bahghay Werna Humara Idea Hum Par Hee Pora Hu Jana Tha

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1199214 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.