5 Ungliyon Ka Ishara

(Chiraghdeen, Karachi.)

Hazrat Imam Maalik (Rehmatullah Alaih) Jinhein Imam Darul Hijrat Bhi Kaha Jata Hey; Sheher MADINAH Munawwara Sey Bohot Mohabbat Kertey They Aur Khowahish Rakhtey They Keh Meri Moat Bhi Madiney Mein Hi Aaye. Aakhri Umer Mein Sirf Iss Liye Nafli Hajj Kerney Makkah Mukarramah Nahi Jatey They Keh Kahein Madiney Sey Baher Maut Nah Aajaey.

Hazrat Imam Maalik (Reh.A.) Key Waqe'aat Mein Likha Hey Keh Unhon Ney Ek Dafa Khowaab Mein Dekha Keh Hazrat NABI-E-AKRAM (Sallallahu Alaih-E-Wasallam) Ka Darbaar Hey, Sahaba-E-Kiram (Rizwanullah-E-Alaihim Ajma'een) Bargah-E-Risaalat (S.A.W.) Mein Hazir Hein; Imam Maalik (R.A.) Aagey Barhey Aur Arz Kia Keh "Ya Rasoolullah (S.A.W.) Mein Yeh Maloom Kerna Chahta Hoon Keh Meri Umer Kitni Baqi Hey? Takeh Agar Umar Mein Gunja'ish Ho Tau Jaker Hajj Ker Aayoon? Aur Wapas Madinah Tayyaba Aaker Isi Pak Sheher Mein Inteqaal Ki Sa'aadat Hasil Karoon? Jawab Mein Sarkaar-E-Do'aalam (S.A.W.) Ney Apna Ek Haath Ooper Uthaya Aur Panch Ungliyon Ka Ishara Kerdia; Itney Mein Imam Sahib Ki Aankh Khul Gai, Aankh Khulney Key Baad Imam Sahib Pareshan Hogaey Keh Inn Paanch Ungliyon Ka Ishara Kis Baat Ki Nishandahi Kerta Hey? Kia Meri Umer Key Paanch Ghantey Baqi Hein, Ya Panch Din, Ya Paanch Mahiney Ya Panch Saal? Kuchh Samajh Mein Nahi Aaraha?

Imam Muhammad Bin Seereen (Reh. Alaih) Jokeh Imam Maalik (Reh. Alaih) Key Ham Asr Bhi They Aur Khowabon Ki Tabeer Key Hawaley Sey Bhi Bohot Mash'hoor They; Imam Maalik (R.A.) Ney Apney Iss Khowaab Ki Tabeer Maloom Kerney Key Liye Apney Ek Qasid Ko Hazrat Imam Muhammad Bin Seereen (R.A.) Kay Paas Bhaija Aur Us Qasid Ko Yeh Takeed Kerdi Keh Unhein Mera Naam Na Batana, Chunacha Wo Qasid Imam Bin Seereen (R.A.) Ki Khidmat Mein Hazir Huwey Aur Unhein Hazrat Imam Maalik (R.A.) Ka Khowab Sunaker Tabeer Maloom Ki. Jab Imam Sahib Ney Poocha Keh Yeh Khowab Kis Ney Dekha Hey Tau Qasid Ney Jawab Dia Keh Ek Musalman Bhai Ney Dekha Hey Jasper Imam Sahib Ney Us Musalman Bhai Ka Naam Bataney Key Liye Kaha Tau Choonkeh Imam Maalik (R.A.) Ney Mana Fermadia Tha Chunacha Us Qasid Ney Kaha Keh Jinhon Ney Yeh Khowaab Dekha Hey Unhon Ney Apna Naam Zahir Kerney Sey Mujhey Mana Kia Hey Iss Liye Mein Unka Naam Nahi Bata Sakta Jasper Imam Seereen (R.A.) Ney Fermaya Keh Yeh Khowaab Koi Aam Admi Nahi Dekh Sakta, Jis Ney Bhi Dekha Hey Wo Koi Bara Alim-E-Deen Hi Hosakta Hey Aur Iss Waqt Madina Tayyaba Mein Hazrat Imam Maalik (R.A.) Sey Bara Koi Aalim-E-Deen Mojood Nahi; Tau Kahein Yeh Khowab Unhon Ney Tau Nahi Dekha? Ab Wo Qasid Khamosh Hogaya, Isliye Keh Naam Bataney Ki Ijazat Na Thi. Chunacha Imam Seereen (R.A.) Ney Us Qasid Sey Fermaya Keh Pehley Imam Sahab Sey Ijaazat Laiker Aajao Phir Khowaab Ki Tabeer Bataoonga.

Qasid Ney Wapas Aaker Sara Maajra Imam Sahib Ko Sunaya Aur Kaha Keh Imam Seereen (R.A.) Ney Tau Aap Ko Pehchaan Liya Hey Iss Liye Ab Ijazat Dedain? Chunacha Imam Maalik (R.A.) Ney Ijaazat Dedi Aur Wo Qasid Dobara Hazrat Imam Seereen (R.A.) Ki Khidmat Mein Hazir Huwa Aur Arz Kia Keh Aap Ney Theek Hi Kaha Thaw O Khowaab Hazrat Imam Maalik (R.A.) Hi Ney Dekha Hey?

Continued On Part - II

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190494 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.