Qissa Kahani Ya Haqiqat

(Sayyeda Aariba, Latur)

Ek Aadmi Ghnay Bhaynak Jangal Mai Buri Tarha Duar Raha Hai Uske Piche Bara Khunkhvar Shair Laga Hai.Shair Dahate Marte Hue Har Pal Aadmi K Qarib Se Qarib Tar Ata Jarha Hai .Bhagte Bhagte Aadmi K Samne Achank Ek Andha Garha Ajata Hai Uss Mai Bara Zahrila Surkh Assdaha Mu'n Khole Aadmi Ka Intezar Kar Raha Hai Jaise He Aadmi Garhe Se Bach Nikalta Hai Aasdaha Uskd Piche Lag Jata Hai. Idhar Pahly He Shair Rafta B Rafta Us Shaks K Piche Laga Hai Or Phir Ab Assdahe Ka Azab. Vo Aadmi Andha Dhund Bhag Raha Hai. Raste Mai Darkhat Nazar Aya To Vo Forn Us Pai Charh Kar Tehni Pai Ja Baitha. Niche Shair Dhar Pai Dhar Laga Raha Hai. Assdaha Phunkar Phunkar Kar Zahair Ugal Raha Hai. Aadmi Khuf Zada Sa Tehni Pai Chipk Kar Baith Gya. Ghabrai Hue Nazre Idhar Udhar Durai To Us Sahks Ne Daikha Tehni K Jar Pai Do Chohe Mojud Hani. Ek Safeed Choha Dusra Kala Chuha.Ye Dono Chohe Tehni Ke Jar Kattar Rahe Hain. Aadmi Ki Halat Gyair Hone Lagte Hai . Niche Shair Use Pharne K Liye Bytab Hai. Dusre Tarf Assdaha Mu'n Khole Use Niglne Ko Tyar Khara Hai Or Ab Musibat Mai Azaab Chohe Tehni Kattar Rahe Hain. Uske Nazer Uper Ke Tarf Uthti Hai Vaha Use Shahaid Dikhai Parta Hai . Aadmi Ki Ankhe Chamak Uthti Hai Vo Khushi Se Shahaid Piney Lagta Hai. Vo Bhol Jata Hai K Vo Pair K Tehni Pai Baitha Hai. Niche Shair Use Pharne Or Assdaha Use Niglne Baitha Hai, Jis Tahni Pai Vo Sahara Liye Baitha Hai Vo Tehni Ko Do Chohe Ek Safeed Or Ek Kala Choha Taize Se Kattar Rahe Hai  Vo Maho Hokar Shaid Piney Lagta Hai Chohe Tehni Katt Daite Hai Aadmi Niche Girta Hai Shair Use Phar Daita Hai Or Assdaha Use Nigal Laita Hai AFFSOOSS!

Qarin Karam Apko Lag Raha Hoga Kisi K Bhyank Khuawb Ke Tashrih Hai. Nahe Kisi Ka Khuawb Nahe Haqiqat Hai. Vo Jangal Ye Duniya Hai. Usme Hm Sab Bhag Rahe Hain Andha Dhund Bhag Rahe Hain. Vo Shair Maut Hai Jo Kisi Bhe Lamhe Hamy Dabochne Tayar Khadi Hai . Vo Andha Gadha Hamari Qaber Hai Jo Kabhe Bhe Samne Aakhari Hoge. Vo Assdaha Hamare Bad Aaimal Hai Jo Hamy Nigalne K Liye Tezi Se Barhrahe Hain. Jis Darkhat Pai Charhy Hain Vo Darkhat Hamri Ummr Hai. Do Chohe Ek Safeed Or Ek Kala Hmari Zindage K Din Or Raat Hain Jo Kat-Tte Jarahe Hain. Vo Shahaid Hmari Nafsani Khuhaishat Or Shahut Hai Jise Pee Kar Hm Mouat Qaber Or Bad'aaimal Ko Bhool Gye. ALLAH Hm Sabko Naik Aaimal Karne Ke Tofiq Ata Kare Or Qaber K Azab Se Maut Ki Taklif Se Duniya K Shahut Se Nafss Ki Shar Se Bachay Rakhai Ameen SU MA AMEEN
 

Sayyeda Aribaa
About the Author: Sayyeda Aribaa Read More Articles by Sayyeda Aribaa: 17 Articles with 23228 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.