Ratjaga

(Khawaja Tahir, Jhang)

Pakistan Is Waqt Muskil Kee Gharee Main Ak Taraf Silab Kee Taba Kariyan To Dosri Taraf Khudkush Hamlay Taget Killing Pooray Mulk Main Afratafri Badamni Bay Yaqeeni Ke Sorathal Hay Laken Hamaraay Hukmran Baroon Mumalik Dowroon Main Masroof Hain Apni Awam Say Bay Khabar Dayar Ghar Main Apni Ayashion Or Shah Kharchioun Main Masroof Hain Awam Baycharay Bay Yaroomadadghar Khulay Asman Talay Zinghi Kay Bachay Kuchay Pal Guzarnay Per Majboor Hain Khanay Peenay Kee Ashya Bunyadi Sahooliyat Kay Fuqdan Kay Bawajood Jeenay Ki Arzo Liay Ak Nai Subh Kay Intazar Main Ankhoon Main Umeed Ke Shama Jalay Roshni Kay Intazar Main Tarap Rahay Hain Laken Bay Hiss Hukmran Apnay Aqtadr Kee Tawlat Kee Khatar Apnay Zameer Or Apnay Awam Ko Ghirvi Rakhnay Kay Liay Baroon Mumalik Kashkool Liay Darbadr Bhatak Rahay Hain Dowroon Main Mazeed Zulam Yeh Keh Wahan Keh Mahngay Tareen Hotloon Main Rehaish Or Baqi Tamam Akhrajat Pakistan Kay Khazanay Kay Zima Hay Joo Keh Sarasar Is Mulk Kee Ghareeb Awam Per Bojh Hay Laken Mujay Yeh Samajh Naheen Aa Rahee Keh Aik Bat Jo Aam Admi Kee Samajh Main Aa Rahee Hay Woh Aqtadar Kay Awanoon Main Bhathay In Zeerak Arabab Ikhtiyar Kee Samajh Main Kiuon Nahee Aa Rahee Aapni Awam Ko Tarapta Siskta Howa Chor Kar Baroon Mumlik Kioun Muqeem Hain