Imtehaan

(Chiraghdeen, Karachi)

Ek Wali ALLAH Key Bohot Sey Mureed They Lekin Wo Inn Mein Sey Ek Mureed Ko Doosrey Muridon Key Muqabley Mein Ziadah Pasand Kertey They, Jiski Wajah Sey Doosrey Mureed Uss Mureed Sey Hasad Kerney Lagey They. Iss Baat Ki Ittelaa’a Walai ALLAH (Unkey Peer O Murshad) Ko Bhi Hogai. Unhon Ney Ek Din Apney Tamaam Muridon Ko Ek Ek Murgha Dia Aur Takeed Ki Keh Isko Wahan Jaker Zibah Kerna Keh Jahan Tumhein Koi Na Dekhey?

Her Mureed Ney Koshish Ki Keh Wo Kisi Aisi Jagah Jaker Murgh Ko Zibaah Karey Keh Jahan Usey Koi Dekh Na Sakey, Chunacha Thori Dair Baad Sab Mureed Apna Apna Murgha Zibah Kerkey Ley Aa’ey Lekin Woe K Mureed Keh Jis Sey Sab Hasad Kertey They Wo Murghey Ko Baghair Zibaah Kye Huwey Ley Aaya. Ab Tamaam Mureed Apas Mein Batein Kerney Lagey Keh Hamarey Peer Sahib Jisko Sab Sey Ziadah Chahtey They Aaj Uski Haqeeqat Saamney Aajaeygi Aur Peer Sahib Ki Nazron Mein Uski Ehemmiyet Khatam Hojaeygi, Lekin…….
MUDDAI LAAKH BURA CHAHEY, TAU KIA HOTA HEY
WOHI HOTA HEY, JO MANZOOR-E-KHUDA HOTA HEY

Peer Sahib Ney Us Mureed Sey Poochha Keh Sab Log Apna Apna Murgh Zibaah Kerkey Laaey Hein Magar Tumhein Kia Huwa Keh Tum Apna Murgh Sahih Salim Leker Aagaey, Zibaah Nahi Kia, Kia Tumhein Koi Aisi Jagah Nahi Mili Keh Jahan Tum Murgha Zibaah Ker Letey?

Us Mureed Ney Jawab Dia Keh Ji Haan Waqei Mujhey Koi Aisi Jagah Nahi Mili Keh Jahan Koi Dekhta Na Ho, Mein Jahan Bhi Gaya ALLAH Ki Zaat Wahan Mojood Thi, Isliye Mein Apna Murgh Zinda Salamat Wapas Le Aaya Hoon.

Peer Sahib Ney Doosrey Muridon Sey Kaha Keh Mera Yeh Mureed Tum Sab Per Foqiyet Ley Gaya Aur Isi Liye Yeh Mujhey Ziadah Pasand Hey Keh Yeh Her Waqt Mushahidaye Haq Mein Laga Rehta Hey.

FAEDAH:
HASAD, Itni Khatarnaak Ruhani Beemari Hey Keh Haasid Apni Hasad Ki Aag Mein Jalker Apni Dunya Bhi Tabah Kerta Hey Aur Aakhirat Bhi Aur Usko Kuchh Hasil Bhi Nahi Hota, Hota Wohi Hey Keh Jo ALLAH Chahta Hey Aur Jis Sey Hasad Kia Jaraha Hey Uska Kuchh Bigarta Bhi Nahi Hey; Yeh Ek Aisi Aag Hey Keh Jis Mein Insaan Khud Hi Bila Wajah Jalta Rehta Hey Aur Saath Mein Apney Nama-E-Aamaal Ko Bhi Kala Kerta Rehta Hey, Hasad Kerney Waley Ko Na Sirf Yeh Keh Kuchh Hasil Nahi Hota Balkeh Wo Apni Nekian Bhi Berbaad Kerta Hey.

Yaad Rakhiye…Is Kaenaat Ka Sab Sey Pehla Hasid…Sheytaan Tha Aur Sab Sey Pehley MEHSOOD (Jis Sey Hasad Kia Ja’ey) Hazrat Adam Alaihis Salam They Keh Jin Sey Sheytaan Ney Hasad Kia Unko Di Janey Wali Izzat Us Sey Berdaasht Na Hoi Aur Usney Hukm-E-Elahi Ko Nazer Andaaz Kia Jis Per Uski Tamaam Ibadat Jo Keh Farishton Sey Bhi Ziadah Thi Za’ey Hogai Aur Wo ALLAH Pak Ki Nazron Mein Mardood Hogaya, Iss Ek Hukm Ko Na Manney Aur Hasad Kerney Per Uski Ibaadat Uskey Kaam Na Aai.

Ab Hasad Kerney Waley Zara Thandey Dil Sey Sochain Keh Wo Kis Key Bataey Huwey Raastey Per Chal Rahey Hein, Kia Sheytaan Insaan Ka Dushman Nahi? Agar Hey Tau Apney Dushman Ki Raah Per Chal Ker Ham Kis Ko Khush Ker Rahey Hein? Kis Qader Hairat Ki Baat Hey Keh Ham Waisey Tau Sheytaan Ko Apna Dushman Samajhtey Hein Lekin Uski Ghulami Kerkey Usko Khush Bhi Ker Rahey Hein…Sheytaan Sey Nafrat Bhi Aur Uski Pairwi Bhi; Yeh Ajeeb Dorangi Chaal Hey.

ALLAH PAK Ham Sab Musalmano Ko HASAD Sey Mehfooz Ferma’ain Aur Islami Taalimaat Per Amal Ki Taufeeq Ata’a Fermaein Aur Doosrey Musalmano Ko Bhi Amal Per Laaney Key Silsiley Mein Unper Bhi Mehnat Karein, Jo Deen Ka Sahih Ilm Hamein Maloom Hey Wo Doosron Ko Bhi Bataein Takeh Wo Bhi Amal Karein Aur Jab Koi Musalman Aapkey Kehney Per Amal Per Aajaeyga Tau Jitna Sawaab Usko Amal Kerney Per Mileyga Tau Utna Hi Sawaab Aapko Bhi Uskey Amal Kerney Ka Miley Aur Aapka Apna Amal Uskey Alawa Hoga; (Wa Ma Alaina Illal Balaghul Mubeen).

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190390 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.