Humara Maqsad....?

(Imtiaz Rajar, Hydrabad)

"Agar Aap Rastey Pe Ja Rahe Ho Aur Aap Ko Manzil Nazar Na Aae To Samjho Key Aap Ghalat Raaste Pe Ja Rahe Ho...." Yeh Alfaz Meine Kaha Parhe They ...Shayad Bhut Pehle Aur Meri Yaad Ka Hisa Ban Gae...Mujhe Jab Bhi Koi Manzil Na Pata Hua Nazar Aata Hai ...Mujhe Yeh Lafz Yaad Aate Hai.....Aaj Bhi Alafz Mujhe Eik Song Sunne K Baad Yaad Aae Yeh Song Atif Aur String Ne Gaya Hai....2007 Se Le Kar Ab Tak Logoon Ki Thinking Mei Changing Aa Chuky Hai Ab Log Pakistan Ko Badalna Chahte Hain Aur Bhut Se To Manzil Ki Tarf Nikal Bhi Chuke Hain ........Lekin Manzil "Change" Kahei Door Tak Nazar Nahi Aarhy Hai......Aakhir Kar Kia Waja Hai.......Hum Ne Jab Mahsooos Kia Key Humei Pakistan Ko Badlna Hai To Hum Nikal Kharre Hue...Meine Bhi Aisa Mahsoos Kia Aur Meine Than Li Key Mei Change Mei Ahm Kirdar Ada Karoon Ga........Us K Baad Mei Ne Jo Ghalat Dekha Use Ghalat Kaha Aur Mobile Key Zariye Logoon Ko Awareness Dene Ky Koshish Ki......Lekin Aaj 1 Saal Guzarne Ki Baad Bhi Haalat Wohi Hain...Kuch Nahi Badla....Q Key Mera Rasta Sahi Nahi Tha.....Mei Tanqeed Aur Mobile Aur Naaroon Key Zaraiya Change Lana Chah Raha Tha....Mei Practical Nahi Kar Raha Tha.....Mujhe Agar Change Karna Tha To Pehle Apne Department Aur Apna Idara Sahi Karna Tha .....Hum Sub Ko Apne Department Mei Honesty Laana Hogi.......... Hum Ko Police Aur Degar Depatment Behtar Banane Hogi...Humei Khud Lead Karna Hoga ......Warna Change Mumkin Nahi.

Imtiaz Rajar
About the Author: Imtiaz Rajar Read More Articles by Imtiaz Rajar: 40 Articles with 50964 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.