Jinsi Be Rah Rawi - II

(Chiraghdeen, Karachi)

Qiamat Ki Alamaton Mein Sey Yeh Alamatain Bhi Hein Keh Ilm Uth Jaeyga Aur Jehel Qaim Hojaeyga, Aur Sharaab Noshi Honey Lagegi Aur Ailania Zina Honey Lagega. (Ba-Hawala Bukhari Shareef),

Ey, Ummat-E-Muhammad; ALLAH Pak Sey Ziadah Ghairatmand Koi Nahi; Ussey Ghairat Aati Hey Keh Uska Banda Ya Bandi Zina Karey Aur Sun Lo Keh Jo Mein Janta Hoon Agar Tum Usey Jaan Lo Tau Bohot Kam Hanso Aur Bohot Ziadah Ro’oo (Weaping). (Ba-Hawala Bukhari /Shareef),

Koi Zaani Zina Kertey Waqt Haalat-E-Eemaan Mein Nahi Hota Aur Na Hi Koi Sharaabi, Sharaab Peetey Waqt Haalat-E-Eemaan Mein Hota Hey; Aur Na Hi Koi Chor Chori Kertey Waqt Haalat-E-Eemaan Mein Hota Hey. (Ba-Hawala Bukhari Shareef),

Rasool-E-Pak (S.A.W.) Sey Puchha Gaya Keh Sab Sey Bara Gunah Kia Hey? Tau Aap (S.A.W.) Ney Fermaya Keh ALLAH Key Saath Kisi Ko Shareek Kerna, Halaankeh Wohi Tumhara Paida Kerney Wala Hey; Puchha Gaya Keh Phir Konsa Barra Gunaah Hey? Tau Aap (S.A.W.) Ney Fermaya Keh Aulaad Ko Iss Khayaal Sey Maar Dalna Keh Yeh Hamarey Maal Mein Shareek Hogi Aur Unhein Khilaana Parega Aur Iskey Baad Barra Gunah Hey Keh Apney Dost Ya Prosi Ki Bivi (Wife) Sey Zina Kerna Phir Nabi-E-Akram (S.A.W.) Ney Iski Tasdeeq Mein Yeh Aayet Parhi: (Aayet Ka Translation Yeh Hey: “Aur ALLAH Ki Kisi Haraam Ki Huwi Kisi Jaan Ko Nahaq Halaak Nahi Kertey Aur Na Zina Key Murtakib Hotey Hein” (Surah Furqaan Aayet No. 68)(Ba-Hawala Bukhari Shareef),

Hazrat Abullah Ibn-E-Abbas (R.A.) Sey Riwayet Hey Keh Jo Qaum Ghaneemat Key Maal Mein Chori Kerti Hey Unkey Dil Boodey Hojatey Hein Aur Jis Qaum Mein Zina Ziadah Hojata Hey Unmein Amwaat Bhi Bohot Ziadah Hojati Hein. Aur Jo Qaum Naap Tol Mein Kami Kerti Hey; Unki Rozi Band Hojati Hey. Aur Jo Qaum Na-Haq Faisla Kerti Hey; Unmein Khoon Kharaba Ziadah Hojata Hey. Aur Jo Qaum Ehed Ki Khilaafwarzi Kerti Hey Tau Unn Per Dushman Ghaalib Hojatey Hein. (Ba-Hawala, Mauta, Imaam Malik-Rehmatullah Alaih).

Huzoor-E-Akram (S.A.W.) Ney Fermaya Keh 5 (Five) Gunah Aisey Hein Keh Agar Tum Inmein Mubtila’a Hogaey Aur Mein Panaah Maangta Hoon Keh Tum Inn Gunahon Mein Mubtila Ho’o., Wo Yeh Hein: (1) Agar Koi Qaum Be-Hayai Mein Mubtila Hoker Khullam Khulla Iska Irtekaab Kerney Lagey Tau Iss Qaum Mein Ta’oon Aur Wo Bemaarian Phail Jaati Hein Jnka Naam Maazi Mein Nah Suna Gaya Ho; (2) Agar Naap Taul Mein Kami Kerney Lagey Tau Shaded Qehet Perjata Hey Aur Jaabir Badshah Unper Musallat Kerdia Jata Hey; (3) Aur Agar Koi Qaum Zakaat Dena Chhordey Tau Wo Baraan-E-Rehmat (Rehmat Ki Baarish) Sey Mehroom Kerdi Jaati Hey Aur Agar Chopaey (Jaanwer) Nah Hon Tau Bearish Bilkul Nah Ho (Yani Janwaron Key Tufail Inssano Ko Barish Mil Jati Hey Jabkeh Wo Bearish Key Ehel Nahi Hotey) (4) Aur Jab Koi Qaum ALLAH Aur Uskey Rasool (S.A.W.) Key Ehed Ko Taurr Dey Tau ALLAH Ta’ala Un Per Dushman Musallat Kerdaitey Hein Jo Maal-O-Daulat Unsey Chheen Letey Hein; (5) Aur Agar Kisi Qaum Key Imaam, Kitaabullah Per Faisla Kerna Chhordein Aur Ahkamaat Mein Apni Merzi Key Ahkamaat Per Amal Kerna Shuroo Kerdein Tau ALLAH Ta’ala Inko Khana Jangi Mein Mubtila Kerdaitey Hein. (B-Hawala; Rawah Ibne Majah Walhakim Wa Qaal Sahi-Hul-Asnaad).

Remarks:
Kisi Sey Kuchh Kehney Ki Zuroorat Nahi; Her Shakhs Apney Girebaan Mein Jhank Ker Khud Daikh Ley Keh Wo Derj Bala Gunahon Mein Sey Kin Kin Gunahon Mein Khud Mulawwis Hey??? Aur Gir-Do-Paish Ka Jaeza Ley Tau Maloom Hojaeyga Keh Inn Tamaam Biraiyon Ki Wajah Sey Jo Hamarey Ander Iss Waqt Mojood Hey. Wo Tamam Museebatein Ham Per Musallat Hogai Hein;, Zalim Hukumran Bhi Musallat Hey, Be-Rozgari Aur Mehngai Aur Anaaj Na Milna Ya Quwwat-E-Khareed Sey Mehnga Milna, Yeh Bhi Qehet Ki Ek Shakl Hey, Barishon Key Zerye Halakaton Ka Hona, Target Killing, Jawan Motein, Bhook Key Khof Sey Aulaad Ko Mar Ker Khud Khudkashi Kerlena, Khana Jangi Ki Haalat, Amrika, India Aur Doosrey Mumalik Ka Ham Per Tasallut Waghera, Yeh Sab Hmarey Burey Aamaal Ki Wajah Sey Hey………..Woh Tau ALLAH Ka Shukr Hey Keh Ham Ummat-E-Muhammadi Per Hein Jiski Wajah Sey Ham Abhi Tak Zinda Hein Warna Doosrey Ambiya (Alaihis Salaam) Ki Ummaton Key Ahwaal Aap Perhein Tau Maloom Hoga Keh Unmein Eke K Gunah Ki Wajah Sey Unper ALLAH Pak (S.W.T.) Ki Taraf Sey Aisey Azaab Aaye Keh Puri Qaumein Khatam Hogaeen, Kisi Per Hawa Ka Azaab, Kisi Per Pani Ka Aur Kisi Per Zordaar Cheekh Ka Waghera.

Agar Ab Bhi Ham Na Sudhrey Tau Aur Aagey Kia Hoga? Issey Bhi Ziadah Barrey Azaab Aa’ain’gey Jaisey Yajooj Majooj Ka Aana Aur Dajjal Ka Aana Waghera? Jo Log Apney Aap Ko Inn Bura’iyon Sey Bacha Leinge Wo Inn Azabon Sey Bach Ja’ainge Warna Anjaam Bohot Bura Hey.

Jari Hey…………………………….

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190529 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.