LETS GO WITH THE FLOW

(hukhan, karachi)

LOGH Zamanay Ki Chaal Kay Sath Chaal Milanay Ko Zamana Shanasee Kaa Naam Detay Hein Or Asay Insaan Ko Mamiyabh Insaan Qaraar Detay Hein.Asa Shakhs Ju Zamanay Ki Ounch Neech Ko Samjhay Ju Jaan Lay Kay Kis Mosam Mein Kia Laibaas Zaib E Tan Kia Jaye Ju Ye Jaan Lay Kay Kisay Han Karni Hay Hay Or Kisay Naa Karni Hay Ju Naap Tol Kay Bolay Ju Har Mosam Har Rangh Mein Dhal Jaye Wo Tehra Ankh Kaan Wala Baqi Sab Andhay.,,Har Mosam Kaa Ashnaa Hun Mein,,,Har Tara Ka Danaa Hun Mein,,Sab Kehtay Hein Balaa Kaa Siaana Hun Mein.Iss Baat Mein Tu Barhaal Bahut Wazan Hay Kay Zamanay Ki Chaal Kay Sath Chalna Chaiye Magar Manzil Achi Hu Or Dosron Ko Rondha Na Jaye Tu Humein Koi Etraaz Nahi Isi Tar Har Mosam Mein Har Tra Kay Mahool Mein Khud Ko Dhaal Lainay Mein Koi Muzaiqaa Nahi Magar Kici Ka Haq Na Mara Giaa Hu Degree Laina Apply Karna Pher Uss Ki Tayaree Karna Sab Kaa Haq Hay Magar Pasay Or Sefaarish Kay Bal Botay Par Kamiyaabi Hasil Kar Laina Kamaal Nahi Gunah Hay,,,Kici Zinda Ko Qun Rondh Kay Agay Bartay Hu Kia Hua Ju Qazi A Shaer Khud Hi Zaalim Hay.Insaan Bahut Besabra Hay Har Uss Cheese Kay Liye Machalta Hay Ju Uss Ko Waqty Faida Or Kam Waqty Asoodhghi Pohanchaaty Hay Har Chamkanay Wali Cheese Jis Tra Sonaa Nahi Huty Isi Tra Har Kamiybai Deirpaa Or Khushaali Ki Zamanat Nahi Huty ....Janay Lambhay Safar Se Qun Ghabhraa Jatay Hein Logh,,,Manzil Mein Kis Qadar Haseen Musaafer Miltay Hein.....Kici Ki Muskrahat Anmol See Huty Hay,,,Jis Se Dil Mein Ek Gudhgudi See Huty Hay,,,Asee Muskrahat Paida Karnay Walay Kaa Ehsaan Huty Hay. Agar Insaan Dil Jamee Se Huslay Say Sabit Qadmay Se Or Saaf Niyat Se Laeis Hu Kar Apnay Aap Ki Taameer Karay Tu Har Shae Mein Uss Ko Asoodghi Kamiyabi Mil Jaty Hay Uss Kay Saye Say Bee Logh Faiz Uthatay Hein.Agar Insaan Bana Hay Tu Sakht Dopehar Mein Khuray Uss Darakht Sey Sabaq Lo Insaaniyat Kaa Ju Wo Har Ek Ko Saya Dey Kar Apnay RABH Ka Ehsaan Utaarta Hay,

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197187 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.