Qun Hum Say Khafaa Hu Gaye

(hukhan, karachi)

Ajh Kal Hakoomat Likharion Sey Bahut Khafa Hay Qun Kay Aqsar Kay Qalam Wo Zubaan Bol Rahay Hein Ju Ya Tu Hakoomat Ko Pasand Nahi Ya Pher Usay Samajh Nahi Aty Unn Ka Khiyaal Hay Kay Ye Mamoli Say Qalam Kaar Kia Janay Kay Ramooz E Hakoomat Chalana Koi Bachun Ka Khel Nahi Hay,,,,Takhat Par Baithan Asaa Hi Hay Jasay Agh Kaaa Darya Paar Karna,,,,Din Ka Chein Raat Ki Neend Urr Jaty Hay Bhook Nahi Laghty Piaas Khatam Hu Jaty Hay Azaadi Khatam Hu Jaty Hay Har Waqt Awaam Kay Dard Ko Mehsoos Karna Huta Hay Raat Ko Jagh Jagh Kar Rakhwali Karo Taqay Awaam Sakoon Ki Neend Soty Rahay Rashin Na Kam Hu Jaye Phal Na Khatam Hu Jaein School Colleges Universities Bee Khulee Rahaein Police Ko Bee Jagha Kar Rkahu Iss Tamaaam Tar Takaaleef Kay Baad Pher Har 5 Saal Baad Apna Ek Ek Karnama Awaam Ko Bata Kar Pher Sey Vote Manghna Ganday Ganday Gharon Mein Jaa Kar Loghun Say Milna Unn Kay Naak Behtay Bachun Ko Godh Mein Uthaa Kar Piaar Karna Ye Sab Karnay Kay Baad Milta Hee Kia Hay Pm Cm President Governor Kay Chotay Chotay Gharon Mein Rahu 100 Gaarion Ka Chota Saa Protocole Kuch Ofshore Compannies Bana Lo Kuch Arbon Rupay Kay Flat 45 Ya 55 Gariaan Kuch Factory Londoan Mein Elaajh Itni Qurbanio Kay Baad Bas Ye 2 Ya 4 Items Mil Patay. Sar Dardi Zayda Hasil Wasool Kuch Nah Oper Say Kuch Takay Paa Lainay Walay Chotay Chotay Se Qalaam Kaar Munh Ko Atay Hein In Say Zyda Qabil Or Tankhaa Daar Tu Humaray Munshi Hutay Hein.Inn Chotay Qalamkaron Ko Oposition Kay Time Munh Kia Laga Lo Pher Ye Jaan Hi Nahi Chortay Khas Kar Wo Jin Ki Koi Qimat Nahi Pata Nahi Kasay Logh Hein Bhookay Reh Latay Magar Aqal Se Kaam Nahi Laitay Kam Se Kam Humaree Baat Na Manu Magar Apnay Wo Qalamkaar Ju Kay Baray Ghhron Mein Rehtay Hein Jin Kay Bachay Baher Parttay Hein Jin Kay Pas Kaiee Gaarian Khuree Hutein Hein Un Se Hi Koi Sabaq Lay Lein Par Itni Aqal Huty Tu Humaree Khafghi Mol Hi Qun Latay Bhookay Bina Dawaiee Kay Mar Jain Gay Magar Sach Kay Cancer Se Khud Ko Nahi Bacha Patay,,,,,Seekh Lo Hum Baimaan Watan Faroshon Se ,,,,Qun Chupkay Rehtay Hu Apnay Asolon Se

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1202216 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.