Zara Socheyeh

(Shakira Khan, Lahore)

Magarbi Society Aur Pakistan Society Ka Difference Apni Jaga Hai.But Agar Magrabi Countries Main Ager Taraqi Hoti Hai To Wahan Pe Female Ko All Over Rights Diay Jatay Hain Wo Is Liay K Wo Admi Or Aurat Ko Equal Rights Hasal Hain,Aur Is Liay Ye Society Aur Countries Developed Hain. Ab In Main Competition Nai Hai.In Countries Main Bhi Problem Aur Competition Hai Lekin In Ki Noiyat Aur Hai. Pakistan Jesi Countries Jin Main Abhi Development Ka Wo Level Us Terhan Say Nahi Hai Jis Terhan Say Developed Countries Main Hota Hai,Aur Is K Social Society ,Economic, Religion, Psychology, Kay Taqazay Bhi Different Hai,Aur Abi Is Society Ma Woman Ko Man K Barabar Apne Rights Hasal Nahi Hain.Is Ma GF And BF Concept Ka Hona B Galat Hai. Agar Hum Ye Sab Kar K Khud Ko Improvement Countries Ma Shumaar Kar Na Chahtay Hain To Main Is Haq Ma Nahi Hun Kiu K Is Ye Social, Economic, Religion, Psychically Tor Pe Bigard Ka Sabab Hai. Jis Bat Ne Mouja Likhne Pa Majboor Kia Wo Bushra Rehman Ki Aik Bat Thi Wo Ye K Girls Jis Ko Apna BF Kehti Hain,Wo Is Ko Apni GF Nai Apni Rakhail Samjhta Hai. Is GF Ki Wo Kabi B Respect Nahi Karta…..Is Bat Ne Mujhe Is Qadar Jhinjord Dala K Mai Likhne Pe Majbrr Ho Gai…Is Tar Ki Society Jo Abi Develop Hi Nahi Hui Aur Jo All Over Hi Baqi Countries Say Different Hai To Is Society Main Ye Sab Ho To Bigard Hi Paida Hoga…..Society Kay Bigard Main Sub Say Zayada Qasoor Merd Ki Bajaye Aurat Ka Zayda Hota Hai..Aj Kal Ki Nai Nasal Khud Ko Aik Dusray K Berabar Sabit Karny K Liay Ya Khud Ko Modern Sabit Kernay K Liay Ye Sub Kertay Hain…Jis Say Bazahir To Koi Farq Nai Perta But Nafsiati Problam Ka Shikar Ho Jatay Hain…Jis Ka Aser In Ki Amli Zindagi Main Bohat Zayada Hota Hai….

Psychology Effects:
Hum Log Ko Aik Bat Achi Terhaan Say Jaan Leni Chahiay Kay Admi Aur Aurat Aik Dusray Say Bohat Mushktalif Hotay Hain Bazahir Ho Skta Hai Kay In Ki Zarooriat Aik Jesi Hon Lekin In Ki Muashrti Nafsiaati Jismaani Zarooriat Bilkul Mukhtalif Hoti Hain.

Kuch Log Kehtay Hain Kay Aurat Jazbati Hoti Hai Aur Merd Practical Hota Hai Muasherti Aur Muaashi Lehaz Say Bohat Zayda Practical Hota Hai Wo Muaashi Asoolon Kay Lehaaz Say Chalta Hai Ya Is Terhan Say Keh Lain Kay Admi Jo Hota Hai Wo Zindagi Kay Her Mamlay Main Dimaag Kam Leta Hai.

Woman Psychology:
Psychology Of Men’s And Women's

Psychology Lehaaz Say Aurat Ka Mind Sunta Kum Hai Aur Daikhta Zayada Hai.Yani Kay Wo BF Ko Sunti Nahi Hai Bulkay Daikh Rahi Hoti Hai Wo BF Ka Word Sunnay Say Aari Hoti Hai But Wo Jo Keh Raha Hota Hai Is Kay Baray Main Us Kay Ander Tasveerain Chal Rahi Hoti Hain Aur Wo Chaltay Phirtay BF Kay Khayalon Main Khoi Rehti Hai BF Us Kay Liay Zindagi Ka Khuawab Hota Hai.BF Aur GF Ka Jo Relationship Hota Hai Is Waqat Main Wo Sirf Us Ki Izat Ker Raha Hota Hai Us Ki Care Kerta Hai Us Ko Gifts Deta Hai Men’s Kay Liay Ho Skta Hai Wo Time Pass Ho Aur Wo Jo Merzi Word Keh Raha Ho Lekin Lerki Kay Liay Bas Wahi Sub Hota Hai Or Wo Usi Kay Baray Main Sochti Rehti Hai Ager Wahi Lerka Us Lerki Ko Kisi Waja Say Apni Biwi Banany K Liay Tayar Na Ho Ya Us Biwi Ki Shakal Main Na Daikhna Chahta Ho To Is Kay Result Main Aurat Ander Say Toot Phoot Ka Shikaar Hona Shuru Ho Jati Hai.Aur Is Kay Ander Beyaqeeni Ki “Surt E Haal” Peda Ho Jati Hai Bazahir Ho Skta Hai Kay Us Ki Zindagi Bilkul Khushhaal Ho Lekin Nafsiaati Tor Per Wo Bemaar Ho Jati Hai Wo Apni Zindagi Main Her Cheez Ko Achay Tareekay Say Kernay Ki Koshish Ker Rahi Hoti Hai Lekin Ager Aap Us Ko Gor Say Daikhain To Aap Ko Us Ki Beyaqeeni Ka Anser Zindagi K Her Pehlu Main Nazar Aye Ga Or Kisi Bhi Muashray Ki Bunyiaad Aurat Hoti Hai Ager Mushray Ki Buniyaad Beyaqeeni Ki Hogi To Amaarat Kitni Mazboot Aur Paidaar Hogi Is Ka Andaza Ap Khud Ker Sktay Hain.

Psychology Of Men’s:
Psychology Of Men’s And Women's

Men’s GF To Banatay Hain Per Wo Us Ko Dil Say Nahi Kabool Ker Rahay Hotay Hain Kiu Kay In Kay Ander Mukhtalif Kism Kay Khof Hotay Hain In K Liay Wo Lerki Sirf Waqat Guzarnay Ki Cheez Hoti Hain Ya Apnay Aap Ko Dusron Kay Samnay Berda Kehalwana Hota Hai Wo Bhi Is Waqat Say Lutaf Andoz Ho Rahay Hotay Hain Lekin Bahri Ya Androoni Tor Per Ye Nafsiaati Mushkilaat Ka Shikaar Ho Rahay Hotay Hain Merd Ka Jo Dimaag Hota Hai Wo Aurat Say Bilkul Alag Hota Hai Wo Cheezon Ko Sunta B Hai Aur Daikhta Bhi Hai .Is Kay Mind Main Aik Cheez Fixed Ho Jati Hai Kay Aurat Theek Nahi Hoti Is Ki Aik Manzar Kashi Wo Apnay Gher Main Daikh Chuka Hota Hai. Ya Phir Apnay Rishtay Daron Main. Pakistani Muashra Jo Kay Abhi Itna Develop Nahi Hua Hai Kay Jis Main Merd Aur Aurat Aik Sath Mil Ker Kaam Ker Skain Is Liay Muasharti Zimaydari Bhi Merd Per Zayda Hai Humaray Muashray Main Is Liay Men’s Apnay Alag Alag Jazbati Tana, Aur Muasharti Mushkilaat Kay Aser Ko Kum Kernay K Liay Wo Sigrate Pita Hai Jalan Ka Shikar Hota Hai Mazaj Main Us Kay Chird Chirda Pan Ajata Hai Galat Zuban Bolta Hai Or Yaha Tak Kay Khud Ko Aurat Say Behtar Sabit GF Banata Hai Ya Ager Shadi Hui Ho To Hath Uthata Hai Or Jaha Tak Us Ki Pohanch Hoti Hai Wo Her Kaam Kerta Hai Aur Is Main Humaray Muashray Ki Sitam Zarfi Daikhiay Ager Kisi Admi Main Ye Sub Cheezain Hain Is Ko Admi Ki Achayion Main Gina Jata Hai Aur Aam Zuban Main Is Ko Merd Ki Merdangi Samjha Jata Hai Hala Kay Ye Merdangi Nahi Ye Nafsiaati Problem Hoti Hai. Hum Baat Ker Chukay Hain Kay Merd Aur Aurat Dono Aik Dusray Say Mukhtalif Hotay Hain Nafsiaati, Jismani, Masharti Or Muashi Lehaz Say Aur Humari Iktidar Aur Sakafat, Mazhab Ye Sub Maghrabi Muashray Say Muhktalif Hai To Ab Aap Khud Hi Faisala Kijiay Kay Yaha Per BF And GF Kaya Mal Ko Berhanay Say Muashray Main Bigard Kum Hoga Ya Ziada Hoga.
 

Dr. Shakira Nandini
About the Author: Dr. Shakira Nandini Read More Articles by Dr. Shakira Nandini: 203 Articles with 214485 views I am settled in Portugal. My father was belong to Lahore, He was Migrated Muslim, formerly from Bangalore, India and my beloved (late) mother was con.. View More