Humaray Moin

(hukhan, karachi)

22 APRIL JABH Bee Aty Hay Ek Nut Khat Sharaarty Chulbila Insaan Jis Mein Bala Ki KHUDADAAD Salahetein Thein Ju Paida Hi Loghun Ko Muskrahatein Bantnay Kay Lia Hua Tha Wo Muskarahtein Bant Kar Insaan Kay Nerves Ko Relaxe Karta Tha Or Maal Kay Zairye Ghreebon Kay Kitchen Kaa Eedhan Mohiya Karta Tha ,,,Janay Asay Qun Wo Gum Hu Gia,,,Asmaan Per Ajh Bee Chamakta Hua Sitara Hay Wo.Wesay Tu Moin Par Jitna Bee Likha Jaye Kam Hay Magar Likhtay Waqt Khud Ko Ye Yaqeen Delana Kay Wo Iss Duniya Mein Nahi Ek Asa Amal Hay Jasay Insaan Khud Ko Maar Raha Hay Wo Humaray Ghar Ka Hisa Tha Humaray Tv Lounge Ki Sab Se Baree Ronaq Moin Hee Tha Tv Film Stage Radio Har Jagah Uss Nay Apni Salahiton Kaa Loha Manaya Magar Majal Hy Kay Kabi Khud Par Phakar Pan Ko Sawaar Kia Jabh Karachi Kay Stage Kay Fanqaar Writer Or Awaam Phakar Pan Ko Pasand Karnay Lagay Tu Moin Nay Khud Ko Side Kar Lia Magar Waqti Faiday Ke Liye Apnay Andar Kay Insaan Ko Marnay Nahi Dia Ajh Bee Fankaar Us Ki Acting Ko Copy Kartein Hein Magar Wo Sab Mil Kay Bee Ek Moin Nahi Ban Saktay,,,,Mein Tu Mehfilon Ki Jaan Tha Pakistani Qom Kaa Maan Tha,,,,Har Pal Ek Unkahi Dastaan Tha,,,Kasay Keh Dun Dilon Mein Bas Janay Wala Ek Mehmaan Tha.Moin Ki Kia Kia Batein Yaad Kerein .Moin Bahi Ap Se Ek Request Hay Asay Chore Nahi Jatay Jis Tra Aap Chore Gaye Abhi Kaha Ap Se Jee Bhura Tha Kaha Ap Sey Ankh Bhuree Thee Screen Hu Ya On Set Ya Back Stage Aap Kis Tra Kahkahay Bakhertay Thay Kis Tra Khud Ko Maar Kay Muskarahat Takhliq Kartay Thay Cherity Show Kay Liye Hospital Kay Bed Ko Chore Kay Show Apni Shirkat Fer Wahan Asay Act Kerna Jasay ,,,,Mout Se Kon Darta Hay Ye Moin Tu Har Ek Kay Dil Mein Basta Hay,,Mar Kay Ek Sitara Ban Jaon Ga Dekhna Har Ankh Ki Muskarahat Ban Jaon Ga..Moin Bahi Bhut Zulm Kia Asay Nahi Kartay Ap Ko Humaree Nahi Magar Humein Aap Ki Zarorat Rahay Gi Ap Tu Sab Ki Zaroriaat Ka Khiyal Rkhtay Thay Fer Humaree Aap Se Muhbat Ki Tashnaghi Kon Pori Karay Ga,,,,,,,Ubh Ankh Bheegh Gai Meray Lafz Pani Mein Ternay Laghay Hein,,,Moin ALLAH Ap Ko Ajar E Azeem De.Ek Sacha Pakistani Mera Moin ,,Aye Dost Aye Bahi Aye Rahnuma Tujhay Salaam

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1206163 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.