Meri Hadood

(Roshani, Uae)

Main Aik Larki Hon Kehny Ko Bouhat Bari Par Har Faislay K Liay Mujay Dar Lagta Hai K Kahin Ghalt Na Ho Kabi Beti Kabi Behan Kabi Maa Kabi Kabi Bv Kabi Hari Hari Howi Orat Mujay Zamnay Ki Hazaron Thorokon Ka Samna Karna Parta Hai Muhbat Karo To Yeh Souchon K Maa Baap Ki Ezat Main Kami Na Ho Mery Ghalt Faisly Say Jab Majbori Main Muhabt Ko Chor Do To Bawafi Ka Tana Diya Jata Hai Main Kuch Kahon To Orat Samaj Kar Unsuna Kar Diya Jata Hai Kehny Ko To Hum Aik Naye Mahsary Ki Paidwar Hain Par Kia Hain Hum Hum Pak K Log Apni Bateon Ko Kia Woh Sary Haq Daty Hain Jin Ki Haqdar Hain Aik Batay Ko Us Ki Shadi Say Pahly Hazar Bar Poucha Jata Hai K Kia Woh Tayar Hai But Bati Ko Ku Nahi Us Ko Ku Us Ki Marzi K Khelaf Kisi Bandan Main Bandh Diya Jata Hai Kia Woh Beti Hai Is Liay Yah Nahi K Sub Log Aisay Hain Par Hamare Pak K Log 75% Aisay He Kartay Hain Kyun K Larkay Kal Ko Un K Future K Liay Kamyain Gay Hum Kyun Yah Nahi Souchty K Yah Batiyan B Aisa Kar Sakti Hain Hum Ko Kyun Hadood Ki Pabandi Karwai Jati Hai Hum Ko He Kyun Ezat Ka Wasta Diya Jata Hai Jab K Islaam Main Sub Log Barabar Hain Na Koi Agay Na Koi Pecahy Tab Phir B Hum Kyun Aisay Karty Hain Hum Yeh Kyun Nahi Samjty K Har Insaan Azad Paida Howah Hai Us Ko Us Ki Zindagi Us K Hesaab Say Guzarny Ka Muka Diya Jaye Main Yeh Nahi Kehti K Mujay Pori Tarha Say Azad Chor Do Par Ma Yah B Nahi Chahti K Mujay Band Kar Diya Jaye Sari Hadyin Meray Liay Bana Di Jayin Kyun K Main Orat Hon Acha Chalo Yaha To Aik Bati Ki Bat Hai Ab Suno Aik Orat Ki Woh Jo Ajj Akali Bazar Tak Nahi Ja Sakti Aray Main Pouchti Hon Aik Orat Jo Tumahri Maa Ki Age Ki Hai Us Ko Seeti Martay Howay Sharam Nahi Ati Ajj Kal To Hawas Is Qudar Barh Gai Hai K 17 Ka Bacha B Woh Sub Jatna Hai Jo Pahlay Door Main Nahi Jantay Thay Kis Ka Kasoor Mashry Ka Yah English Films Ya Hindi Jis Main Har Cheez Saray Amm Dekhai Jati Hai Bat Srif Aik Orat Tak Mahdood Nahi Rehti Bat Karon To Mardo Ki B Bat Karon Gi Us Ki Bhi Hazaar Majbooryin Hoti Hain Sub Aik Jaisay Nahi Hotay Par Jo Hotay Hain Woh Khuda Ki Panah Moot Kia Hai Aik Haqeqat Phir Bhi Is Ko Bool Jaty Hain Kitni Ajeeb Bat Hai Kitni Dard Naak Hai Moot Dar Fani Honay Ka Nahi Apni Bat Kar Rahi Hon Dar Us Waqat Ka Hai Jab Woh Ezrayeel Aye Gay Aik Insaan Ki Jan Jab Nakali Jati Hai Janty Hain Kitni Takleef Hoti Hai Main Bataion To Maray To Ronghtay Khary Ho Jatyin Hain Aik Zinda Janwar K Jism Say Us Ki Khall Udeehar Di Jaya Itne Takleef Jan Kar B Main Namazi Nahi Main Pardy Wali Nahi Kyun Mujay Dar Hai Moot Ka Par Ma Amal Nahi Karti Kyun Kia Itna Havi Hai Muj Par Shetan K Sub Janty Howay B Anjann Main Bat Sarif Aik Orat Ki Nahi Mard Ki Bhi Karon Gi Us K B Majboriyan Har Insaan Anpy Apny Dairy Main Majboor Hai Ab Itna Hi Agay Main Aik Aik Kar K Baiyan Karon Gi Apani Souch Topic Wise Galti Ho Gai To Maafi.

Roshani
About the Author: Roshani Read More Articles by Roshani: 2 Articles with 3326 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.