UFF YE SADGHEE

(hukhan, karachi)

KALEJHI AKHBAAR Alarabia Ki Ye Khabar Par Kay Hum Harat E Samandar Mein Gum Hu Gaye Jabh Hum Samandari Ghotay Mein Thay Tu Uss Time Bee Munh Hairat Se Khulaa Hua Tha Jis Ki Waja Say Kaie Machlion Nay Humaray Munh Mein Ghunslaa Bana Lia Or Anday Bachay Bee Dey Diye Aap Zara Samnadar Sey Dour Hu Kar Ye Khabar Humaree Zubaani Suniye Ga ,,Musalmaan Jinhein Saadghee Kay Fawaaid 1400 Saal Pehlay Hee Bata Diye Gaye Thay Inn Musalmano Nay 2015 Mein Fashion Or Laibaas Par 255 Kharabh Or 53 Arab Rupay Kharch Kiye Ju Kay Average Japan Or Italy Kay Afraad Sey Kahien Zayda Raqam Hay.2012 Mein Ye Fazool Kharch 233 Kharab Rupay Tha.Iss Fashion Or Trade Ki Sab Sey Baree Mandee Turkey Mein Hay.Pori Duniya Kay Musalmano Ki Halat Dekh Lijiye Sab Sey Pechay Reh Janay Wali Ye Qom Taleem,,Maishaat Or Mayar E Zendeghi Mein Sab Sey Pechay Hein Faujhi Lehaaz Sey Ejaadaat Kay Lehaaz Se Bee Koi Qabil Fakahar Kaam Nahi Hu Raha Ajeeb Baat Kay Fashion Mein Bee Hum West Ki Naqal Kartay Hein,,,Mein Balaa Ki Khubh Sey Khubh Chaal Chalna Chahta Hun ,,,Meri Sadghee Dekh Ye Mein Kia Chahta Hun.Muslim Duniya Kia Uss Masoom Shami Bachay Ki Pani Mein Dobhi Lash Bhool Gai Ju Humaray Zameer Ko Jhanjhortay Jhanjortay Mout Ki Wadi Mein Pohanch Gia,,,, Serf Anso Bahaa Kar Mein Mutmaien Hu Jata Hun,,,,,Mein Dushman Ko Dekh Kar Qila Band Nahi Magar Ankh Band Hu Jata Hun.Ajh Duniya Kay Musalmaan Bay Yar O Madadgaar Hein Har Cheese Kay Liye Hum Hath Phalatay Hein,,Wo Medicine Hu Kapraa Hu Khalis Doodh Hu Mineral Water Hu Chai Ki Paty Hu Juta Hu Moza Hu .Janay Kab Hun Gay Kam Meri Qom Kay Gham,,,Janay Meray Bazzown Ka Kaha Nikal Gia Dumm.Kici Bee Cheese Ki Kami Na Hunay Kay Bawajood Ajh Huum Asay Jee Rahay Hein Jasay Hum Koi Handicape Hein Koi Special Person Hein Hum Soch Nahi Saktay Hum Chal Nahi Saktay Hum Besaahara Or Laachaar Hein.Bas Kapray Asay Hun Jasay Babu Pehantay Hun Jasay Humaray Aqa Pehantay Hun Qun Kay Hum West Kay By Birth Slave Hein Asee Ghulaamee Jis Ki Koi Limit Nahi Soch Se Lay Kar Kapron Tak,,Sharam Hum Ko Magar Nahi Aaty

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1196642 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.