MISS BBC part 2

(hukhan, karachi)

Ap Miss Bbc Kay Kaarnamon Sey Tu Waqif Hee Hein Jahaaz Say Lay Kar Soi Tak Un Ki Nigah Sey Bach Kay Muhalay Mein Na Tu Entry Maar Sakta Hay Naa Hee Wo Departure Lay Sakta Hay.Ek Din Jabh Wo Bhut Achay Mood Mein Thee Qun Kay Dahee Walay Nay Ghalty Sey Zayda Dahee De Dee Thee Wo Dahee Miss Bbc Nay Muhalay Ki Khidmat Ka Inaam Samajh Kar Rakh Lee Thee Humaray Behad Esraar Par Unhun Nay Muhalay Kay Kaie Gher Eham Kisam Kay Saas Bahu Kay Jhaghray Or 2 Ya 4 Gher Ekhlaaqi Kisam Kay Eshq Ki Tafseelat Hum Say Share Kee Sath Hee Humein Ye Yaqeen Delanay Ki Koshish Bee Ki Humray 2 Kaan Wo Is Duniya Kay Khusqismat Tareen Kaan Hein Jin Kay Gosh A Guzaar Unhun Nay Apni Cid Ki Tafseelaat Biyan Ki Pher Hunaraee Iss Baat Par Un Ka Wazan 4 Kg Phholnay Ki Waja Say Mazeed Bar Gia Kay Un Mein Sholay Film Ki Heroine Basanty Ya Pher Cid Inspector Ki Khubiaan Koot Koot Kar Bhuree Hein Ek Dafa Ghaltee Sey Hum Nay Unhein Sholay Film Ki Heroine Keh Kar Kaha Ap Sholay Ki Dhuno Hein Koi 1 Mah Baad Kahein Unhun Nay Sholay Dekh Li Or Humaree Khubh Khabar Li Kay Hum Nay Unhein Heroine Ki Ghoree Bana Dia ,,,Hum Bolay Miss Bbc Wo Ghoree Ka Role Bee Heroine Yeni Basanty Se Kam Naa Tha Jabh 8 Daku Apnay Ghoron Par Basanaty Ka Pecha Kar Rahay Thay Tu Dhuno Nay Hee Heroine Ki Izat Bachayee Thee Werna Hero Tu Uss Time Kici Or Kay Chakar Mein Ram Garh Kay Chakar Laga Raha Tha Humaree Iss Baat Par Miss Bbc Par Zara Bee Asar Na Hua,,Bolee Eray Wo Kambakht Gohree Nay Heroine Ko Nahi Bachaya Tha Balkay Wo Tu Khud 8 Ghoron Say Dar Kay Bhagh Rahee Thee,,,Khabar Daar Ju Ainda Mujhay Dhuno Ka Title Diya Ajh Tu Hum Miss Bbc Ki Ghora Shanasee Kay Bee Qaiel Hu Gaye Itni Janwar Shanasee Koi Mamoli Baat Naa Thee Wesay Bee Aqsar Wo Apnay Susraali Reshta Daron Ko Janwaron Sey Tashbeeh Detein Rehtein Thein Mera Dewar Tu Ghaoray Kay Munh Wala Hay Saas Or Nandein Kici Nagin Se Kam Nahi Munay Kay Aba Ka Munh Bee Kici Ount Se Kia Kam Tha Wo Tu Bhula Hu Hakoomat Ka Jis Ki Mehanghaie Ki Waja Say Chota Sa Reh Gia.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197451 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.