Zindagi Ki Haqiqat

(Shan, Karachi)

Asaalam-O-Alikum
How R U Dears Umeed Ha Ap Sab Eman Sehat Or Mizaj Ki Behter Or  Mustehkam Halat He Me Honge Or Dua Ha ALLAH Tallah Se Vo Ap Sab Ko Apne Hifzo Aman Me  Rakhe  ( Ameen ) Mera First Article To Ap Parh He Chuke Honge History Of Love (Request) Now My Second Article Is Reality Of Life ( Zindage Ki Haqiaqat ) Friends Me Ap Ko Batata Chalon K Me Jo Khuch Likhta Hon Ye Sab  Hamari Real Life Se Juri Baten Hain Agar Ham En Ko Sochen To Shayad Ham Khud Ko Badal Sakte Hain Dear Me Kisi Ko Ye Nahi Kehta K Ap Ghalat  Hain Ya Me Ghalat Hon But Dear Me Ye Bhi Nahi Kehta K Ap He Sahi Hain Ya  Sirf Me He Sahe Hon Nahi Ye Sab Kehne Ki Or Sochne Ki Baten Hain.

Kabhi Kisi Ne Ye Janne Ki Koshish Ki Hai K Zindage Kia Ha Q Ham Ese Zindage Kehte Hain Kia Waja Hai Es Me Itna Dard Q Hai Es Me Itne Khushe Q Hai Es Me Itne Tanhai Q Ha Q Zindage K Bad Mot He Q Milte Ha Chahe Ham Ache Kam Karen Chahe Bure Q Zindage Khatam Ho Jate Ha Q K Zindage Hote He Aese Hai Hazaron Khuahishen Hazaron Umeeden Hazaron Gham Hazaron Anson Hazaron Takleefen Mil Kar Bante Han Zindage.

Zindage Word Sochne Walon K Liye Buhat Ghera Ha Or Na Sochne Walon K Liye Be Mane Dekhen 1 Bacha Jo Abhi Dunya Me Aya Hai Abhi Vo Bara Ho Kar Jawan Hoga Us K Bad Borah Ho Jaega Phir Khuch Waqt K Bad Es Dunya Se Chala Jaega Bas Khatam Zindage.Lakin Freinds Zindage To Khatam Ho Gae Magar Es Zindage Ka Khuch Maqsad Bhi Tha Khuch Karna Bhi Tha Kisi Ko Sath Le Kar Chalna Bhi Tha Vo Sab Kaha Gaya. 1 Bacha Khud To Barha Nahi Ho Jata Koi Us Ka Hath Pakar Kar Use Chalna Sikhata Hai Koi Rat Rat Jag Kar Use Sulata Hai Koi Us Ki Zaban Ban Kar Use Batata Hai K Kese Bolna Hai, Vo Koi Us K Maa Or Baap Hote Hain. Phr 1 Waqt Ata Hai Jab Vo Bolna Sekh Jata Hai Chalna Sekh Jata Hai Vo Din Us K Maa Or Baap Ka Sab Se Bara Din Hota Hai Q K Aj Unki Olad Sambhal Gae Ha Bolne Lage Hai Khud Khane Lage Hai Vo Khush Pata Hai Q Hote Hain, Vo Es Liye Khush Hote Hain K  Un Ka Beta Un Ka Name Roshan Karega Maa Baap Khud Se Zayada Mehnat Kar K Unhe Parhate Hain Khud Phate Purane Kapre Pehan Kar Apne Bache Ko New Kapre Banwa Kar Dete Hain, Khud Ratt Ki Rote Kha Kar Apne Olad Ko Tazi Roti Paka Kar Dete Hain Eid Ki Shoping Me Apne Bachon Se Pochten Hain K Konse Kapre Chahea Unhen Jab Vo Un Kapron Ki Qeemat Sunte Hain To Thore Der K Liye Chup Ho Jate Hain Vo Chup Honae Ka Matlab Ye Hota Hai Kaha Se Ayenge Itne Pese But Mana Nahi Karte Kehte Hain Pese Ghar Me Hain  Kal A Kar Khered Lenge Apne Shoping K Pese Mila Kar Khreed Lete Hain  Lakin Mana Nahi Karte School Ki Fees Teacher K Mangne Se Pehle De Dete Hain K School Wale Un K Bache Ko Fees Ka Na Kahen Uniform New Brand Hota Hai Har 2 Din Bad Dhulta Hai Vo Ye Sab Es Liye Karte Hain K Un Ka Bacha 1st Position Le Kar Aye Un Ko Khush Kare Zindage K Sare Masle Vo Apne Se Barh Kar Ap Ko Hall Karwate Hain Ap Ko Zara Chot Lag Jae Pehle Un K Anson A Jate Hain Or Jab Ham Jawan Ho Jate Hain Khud Kamane Lagte Hain Or Pehle Salery Ghar Me Dete Hain To Us Din Baap Fakhar Se Kehta Hai K Aj Mera Bacha Apne Peron Per Khara Ho Gaya Hai Vo Hame Sambhale Ga Magar Afsos Baap K Ye Bat Sirf Khuab He Reh Jate Hai Jab Bap Borah Ho Jata Ha Us Ko Ap K Hath Ki Zarorat Hote Hai To Ap Ka Hath Unhe  Sambhalne K Liye Nahi Un Ko Marne K Liye Bhi Uth Jata Ha.

Vo Ma Jo Raat  Raat Jag Kar Apne Bache Ko Sulate Ha Or Aj Vo Ma Jab Raat Ko Sote Nagu To Bache Kehte Hain Shor Q Karte Ho So Jao Khamoshe Se Bap Kamata Tha To Khon Ka 1 1 Qatra De Deta Tha Ghar K Liye Magar Aj Jab Beta Kamata Ha To Adhe Pese Deta Ha Or Kehta Ha Lena Ha Lo Warna Jao Ma Bap Ko Marte Han Vu Ko Phate Hoe Kapre De Kar Khud Har Dosre Din New Kapre Banate Han Kia Un Ka Dill Nahi Ha Kia Un K Hath Nahi Unho Ne Tumhe Q Nahi Mara Jo Aj Tum  Itne Bigar Gae Ho Kia Ese Din K Liye Khuda Tallah Olad Dete Han K Ma Bap Ko Ruswa Kia Jae Bap Ne Jaidad De To Thek Nahi To Ghar Se Bahir Karo Car De To Bap Acha Car Nahi De To Bap Bura Ghar Dia To Thek Wara Bap Ko He Ghar Se Alag Kar Dia Yehe Sab To Thek Ha Car, Ghar, Gar He To Pore Zindage Ha, Hame Dob Kar Mar Jana Chahea Pata Ha Es Tarha Jannat To Kia Jahanum Bhi Hame Qabol Nahi Karege Kia Ham Me Se Ha Koi Aesa Jis Mne Kabhi Ye Kaha Ho K Abbu Aj Ap Ko Me Kapre Dilaonga Sab Se Mehange Wale Ya Kisi Ne Kaha Ho Ami Ap Ko Gold Ki Necles Lene Chahea Ha Koi Aesa Bolo Jawab Den Koi Ha Aesa .................................. Nahi Koi Nahi Me Janta Hon Hazaron Me Se Sirf 1 He Aesa Hoga Ham Jawan Hote Nahi Larkion Ko Apne Zindage Bana Lete Han Kehte Han Mar Jaenge Agar Vo Na Mile Sharam Ane Chahea Khud Per 2 Din K Tallaqat Ne Itna Khud Gharz Kar Dia K Had Se Zayada Neche Gir Gae Sharm Ane Chahea Khud Per Hame Jo Saza Mile Kam Ha Dob Marna Chahea Hame.

Sach To Ye Ha Waqt Badal Gaya Ha Aj Ki Nasal Vo Nahi Rahe Badal Gae Ha Pehle K Log Ma Bap Ko Apna Sarparast Samajhte The Kehte The Jo Ma Bap Kahenge Vo Ham Karenge Hame Ma Bap Se Barh Kar Payara Koi Nahi Me Aj 1 Bat Kehta Hon Bache To Badal Jate Han Agar Ma Bap Es Tarha Badal Jaen Na Aj Ki Nasal Ko Nane Yad A Jae Ma Bap K Age Bolna Chor Den Ge  Ye Log Pata Chal Jaega K Ma Bap Ki Kia Ehmiat Ha. Zindage Ki Kahane Aese He Ha Khuch Logon Se Suna Ha Zindage 1 Behta Hoa Darya Ha Jo Har Simt Behna Shro Kar Deta Ha Koi Kehta Ha  Zindage Bewafa Ha Koi Kehta Ha Zindage Payare Ha Koi Kehta Ha Zindage  Bure Ha Doston Mene Pehle Bhi Kaha Tha K Koi Chez Bure Nahi Hote Es Bat  Ki Wazahat Es Shear Se Bhi Hote Ha, Koi Chez Nekamee Nahi Zamane Me,  Koi Bura Nahi Qdarat K Karkhane Me.

Friends Mere 1 He Raye Ha Ap Log Khud Ko Drust Karen Khud Ko Behter Banaen Phir Dehkna Ap Ko Kitna Faida Hoga Apne Ap Per Hamesah 100% Yaqeen Rakhen Agar 99% Per Bhi Agay Na To Tot Jaenge Ap Lakin Agar 100 % Per Jame Rahe Na To Dehk Lena Koi Nahi Tor Sakta Ap Ko Jo Kam Karen Buhat Mazbot Ban Kar Karen Ok Friends Ab Me Chalta Hon.  Agar Kisi Ko Mere Bat Bure Lage Ho To Hath Jor Kar Guzarish Ha  Mujhe Maff Kar Dena. Agar Mere 1 Bat Kisi Ko Ache Lage Ho To Mujhe Mail Karen.

([email protected])

Mujhe Chahea Ap Ka Supprot Tak Me Likh Sakon Next Topic So I will Wait U. Thanks.
 

Shan
About the Author: Shan Read More Articles by Shan: 2 Articles with 7845 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.