Saffar Shumaal Kay(Episode 75)

(hukhan, karachi)

sweet floating water

Uff Samany Nangha Parbat Tha Jeep Ka Ye Turn Bhut Hee Mubarik Tha Sewaye Driver Kay Hum Sab Ki Nazrein Nangha Parbat Ki Baraf Ki Tra Uss Par Jumh See Gein Hum Sab Asay Asay Ghoornay Lagay Jasay Abee Ye Badlon Mein Gum Hu Jaye Gee Or Hum Sab Ki Piaas Bujh Na Paye Gee Nangha Parbat Mein Ek Adaa Thee Ek Gharoor Tha Ye Humara Pakistan Tha Humara Serf Hamara Duniya Kay Naqshay Mein Meray Mulk Ki Pehchaan Mera Maan Mera Fakhar ,,Yaar Kia Chese Hay Navid Ki Awaaz Nay Humein Iss Pahaar Kay Sehar Se Azaad Kar Dia,,,Janay Humein Kia Hua Machini Andaaz Mein Hum Par Sher Warid Hua,,,,,,,Chaahun Paas Ana Koi Dhund Kay Bahana,,,Aye Meray Nanghaparbat Tujhy Salaam Meri Salaami Bhool Na Jana.Driver Nay Humein Hairat Se Dekha Fer Shabash Dee Ap Ka Dil Kaa Awaaz Hay Saab,,,,Yaar Ap Saab Na Bolo Mein Ap Ka Chota Bahi Hun Iss Time Aap Humaray Leader Hu Nakhuza Hu,,,Meri Baat Sun Kay Uss Nay Garee Rok Dee Ghor Se Humein Dekhnay Laga Garee Mein Baithay Huay Humein Galay Laga Lia Iss Se Pehlay Ko Wo Garee Neutral Sey Gear Mein Daalta Kalim Sohail Or Navid Garee Se Utar Paray Driver Ko Bee Neechay Anay Ka Kaha Sab Uss Se Baghal Geer Huay ,,,Hum Sab Nanghparbat Ko Dekh Kar Emotional Hu Gaye,,Thoree Deir Baad Driver Nay Garee Kaa Switch Off Kar Dia Hum Sab Nanghaparbat Ko Dekhnay Lagay,,Teray Eshq Mein Fana Hua Jata Hun Mujh Mein Tujh See Wafa Nahi Fer Bee Naa Janay Mein Ye Kia Chahta Hun.Hum Sab Ka Khuf Dour Hu Chucka Tha Tatu Bas 15 Mnt Ki Musaafat Par Tha Driver Or Navid Mein Pollution Phelanay Ka Muqabla Shuro Hu Gia Tha Hum Nay Pocha Ap Bee Smoking Kartay Hu,,Nahi Yaar Bas Musaferon Kay Sath Sath Reh Kar Ye Adat Nhi Bas Guzara Hay.Uss Nay Bataya Wo Ostore Ka Rehashee Hay 4 Bachay Hein Sab Bahi Sath Rehtay Hein Bachay School Jatay Hein Hum Sab Season Mein Acha Khasa Kama Laitay Hein In K Pass 2 Jeeps Or Bee Hein Ye Jeep Samaiet Poter Ban Kar Base Camps Jatay Rehaty Hein Foreingners Se Inn Ki Kamaiee Achee Hu Jaty Hay Pakistanio Se Bas Kharcha Pani Chalta Rehta Hay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1206083 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.