Saffar Shumaal Kay(epiesode 61)

(hukhan, karachi)

MY SWEETY MY RIVER

DASU Ki Sab Ounchee Peak Khyber Peak Humaray Samnay Thee Dhoop Mein Uss Ki Maghroor Peak Bilkul Wazih Thee Hum Dasu Mein Darya E Sind Kay Oper Banay Huay Bridge Par Khuray Huay Iss Kay Nizaray Mein Mehav Thay Kay Loading Truck Nay Zor Daar Haran Se Humein Agay Se Hut Janay Ko Kaha Truck Par Bhut Shandaar Painting Bani Hui Thee Hiran Kay Pechay Sher Dourta Hua Nazar Aa Raha Tha,,Kamzoor Ko Tou Dourna Hee Parta Hay Agar Aap Kamzoor Hein Ya Future Mein Kamzoor Hee Rehnay Ka Plan Hay Tu Meri Mukhlisana Advise Hay Kay Kam Se Kam Tanghun Ko Strong Kijiye Bhagh Nay Kay Kaam Tu Aein Gee Kam Se Kam,,,,,,,,,,,Kuch Pal Jeewan Or Bar Jaye Ga ,,,Jabh Tu Dour Kay Zalim Se Dour Hu Jaye Ga.Khyber Peak Kay Samnay Arafat Hotel Tha Jis Mein Hum Kaiee Dafa Ruk Chukay Thay Iss Line Mein Kafee Hotel Hein Sab Ki Backside Par Darya E Sind Mojudh Hay Shaam Mein Darya Kay Kinaray Chai Ya Subah Sawray Nashta Bhut Maza Karta Hay Ya Raat Ko Hotel Ki Chath Par Darya Kay Samnay Baith Kay Dinner Kijiye Us Kay Baad Chai Gup Shup Apnay Aap Mein Ek Choty See Picnic Hay Ju Umar Bhar Aap Kay Khuhsorat Lamhon Ki Diary Mein Mehfooz Hu Jaty Hay Wesay Humein Dasu Mein Continental Hotel Pasand Aya Ju Humray Budget Kay Ain Mutabiq Tha Magar Khana Bahut Mehngha Tha Mujh Sa Insaan Uss Hotel Mein 3 Kay Bjaye Serf 1 Time Hee Khaa Sakta Hay Baqi Kay Pasay Hi Nahi Bachtay Iss Liye Aap Khaiye Zaroor Magar Khanay Kay Time 30 Mnt Ki Walk Kar Kay Main Dasu Bazaar Ki Yatra Kijiye.Bazaar Bee Acha Khasa Hay Zarorat Ki Har Cheese Khanay Ki Har Cheese Medcine Petrol Diesel Sab Mil Jata Hay Kohistaan Ka Hisa Hunay Ki Waja Se Logh Bee Paharon Ki Tra Dry Or Tough Hein Iss Liye Loghun Se Bee Itna Hee Faasla Rakhiye Jitna Ap Se Pahaar Dour Hein(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197624 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.