Aaloo 5 Rupay Kilo

(hukhan, karachi)

PRIME MINISTER Nawaz Sharif Saab Nay Lohay Kay Buiz Kay Baad Sabzee Ki Rehree Laga Li Hay Filhaal Serf Wo Aloo Bech Rahay Hein Pakistan Mein Aaloo 5 Rupay Kilo Lainay Hun Tu Pm Saab Ki Rehree Par Jaiye Hu Sakta Hay Jabh Tak Pm Saab Koi Nai Scheme Bee Introduce Kar Dein Kay 2 Aaloo Par 1 Aaloo Free Hu Buy 2 Get 1 Free Ya Pher Aalo Kay Sath Bhindee Free Ya Fer 5 Kg Aaloo Lainay Par Pm Kay Saath Selfe Banwaiye.,,Wo Jabh Bee Bolta Hay Uss Kay Labon Say Aaloo Tapaktay Hein.Bahi Sahafee Bee Ajeebh Makhlooq Hein Pm Or Sabzee Walay Mein Koi Farq Hee Nahi Samajhtay Had Hay Agar Hum Ye Farz Kar Bee Lain Kay Pm Sabzee Bech Saktein Hein Tu Kal Ko Ye Hee Kaha Jaye Ga Kay Sabzee Wala Pm Ban Kar Amoor E Mumlakit Ba Asaani Chala Lay Ga Humaree Iss Baat Par Hakeem Jaleebi Khan Foran Bol Uthay Bolay Bahi Hakoomat Chalana Konsaa Mushkil Kaam Hay ,,Ap Kay Pas Kashkool Hu Bara Saa ,,Ishaq Dar Hu Suited Booted Kaskool Wala ,,Sasta Petrol Mehanga Becho,,Berozgaree Barhatay Jao,,Har Cheese Par Tax ,,,Yun Keh Lo Kay Tax Pr Tax,,Na Pani Du Naa Bijli Du,,Na Doctor Na Dawaie Na Sarak Na Ghar ,,,,Fer Bee Vote Ki Barish, Bhanghray, Jiye Jiye Kay Naraay,,,Chal Paree Hakoomat Fer Bee Mulk Mein Koi Dushman E Qom Agitation Karay Loghun Ko Afeem Kay Nashay Sey Jaghaye Tu Uss Douraan Gher Mulki Douray Par Chalay Jao Keci Parliment, Keci Senate, Keci Jamhooriat Bas Kabi Koi Dhurna De Tu Parliment Mein Aa Kar Shore Macha Du Kay Jamhooriat Par Humla Hu Gia Hay Sab Hazraat Yahan Aa Kar Jamhooriat Ko Bacha Lein Thar Marta Rahay ,School Mein Bachay Shaheed Hutay Rahaein Logh Ghurbat Se Khudkushiaan Kartein Rahaein ,,,Izzatein Pamaal Hutein Rahaein Paghriaan Uchaali Jaty Rahaein ,,,,,,,,Ao Jamhooriat Bacha Lein.Mein Qom Ko Mubarik Baad Deta Hun Kay Pm House Se Aaloo 5 Rupay Kilo Dastiyabh Hein ,,Kha Kay Aalo ,,Bas Aallo Saa Hu Ja ,,,Bay Fiqar Hu Kar Lambhee Taan Kay So Ja.Ahista Ahista Sabziaan Sasty Hu Jaien Gee Bas Dua Kijiye Pm Saab Ki Rehree Par Sab Sabziaan Dastyab Hu Janay Dijiye.Pewasta Reh Pm Rehree Say Umeed E Aalloo Piaz Rakh

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1196391 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.