Filimistaan

(hukhan, karachi)

Puranay Zamany Ki Baat Hay Jabh Pakistani Film Naghree Hua Karty Thee Pher Har Shoobay Ki Tra Iss Ko Bee Zawaal Aa Gia Baray Baaray Namon Wali Film Naghree Baynaam See Hu Gai Kuch Loghun Nay Iss Ko Asa Misuse Kia Kay Naa Tu Yahan Koi Miss Rahe Naa Hee Koi Mr Raha Ek Jadu Ki Duniya Ju Ek Dam Say Ghaieb Hu Gai Ubh Tu Koi Phatay Huay Poster Be Baqi Nahi Rahay Bas Kuch Yadein Hein Kuch Batein Hein Fer Ek Zawaal Ki Daastaan Bhut Say Creator Iss Naghree Kay Sath Hee Apnay Aap Ko Khu Baithay ,,,Janay Kaha Gaye Wo Haseen Chahray Ju Kamaal Hua Kartay Thay Wo Un Ki Unghlioan Say Phhotay Fun Kay Chashmay Wo Dilrubba Jin Ki Adaown Kay Matwalay Jaanein De Dia Kartay Thay .Koi Heer Thee Koi Lailaa Ubh Kaha Wo Geet Wo Naghmay Wo Dhunein Bas Har Cheese Ko Naaahli,Aqrabaparwaree Kha Gai.Logh Lambhee Qataron Mein Khuray Hua Kartay Thay Cinema Hall Ceetion Say Gonjha Kartay Thay Ubh Waha Shopping Plaza Hein Bike Ki Parking Hay Car Wash Hay Cholay Naan Hein Nahi Hay Tu Wo Khuburat Charay Wo Haseen Khabh Ju Yahan Baasaani Bik Jaya Kartay Thay Cinema Ki Screen Khuburat Khabhun Ki Sarzameen Hua Karty Thee Logh Khud Say Naaashna Hu Kar Apnay Gham Bhullanay Kay Liye Kam Say Kam Pason Mein Ye Khabh Dekh Lia Kartay Thay Asay Khabh Ju Mudaton Dekhay Jatay Rahay Magar Zalim Zamany Nay Ye Reit Kay Khabh Samnadar Ki Lahar Ki Tra Mittaa Dalay.Jis Ko Indutry Bana Nay Kay Khabh Dekhay Jatay Thay Wo Ek Rehree Ki Tra Sabit Hui Bas Ubh Totay Photay Kerchee Kerchee Khabh Rehree Par Saja Kar Choke Par Khuray Hu Jao Shaied Koi Dewana Un Ko Kahreed Lay.Ajab See Duniya Thee Bas Alif Laila Ki Jadu Naghree Har Kirdaar Koi Shazada Koi Jin Koi Saanp Koi Pari Ekk Rangheen Duniya Ju Mudaton Insaan Ko Sapnay Dekhatee Rahee Sakoon Dety Rahee Kabi Ansso Kabi Qahkahaa(Laughter)

Or Kabi Taalian Magar Sab Kuch Fana Hu Gia Jisay Abhee Jawaan Rehna Tha Bachpan Mn Hee Borhaa Hu Gia .Kash Merit Reh Jata Kash Talent Par Pasay Ko Foqiat Nahi Dee Jaty Kash Kal Kay Bjaye Future Par Nazar Rakhee Jaty.
 

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1198561 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.