Ajh Kay Tabah Kun Hathiyaar

(hukhan, k)

hukhan,writer,author,tourist

Iss Mein Koi Shak Nahi Kay Hazrat E Insaan Nay Apnay Paon Par Kulhara Maarnay Ki Qasam Kha Rakhee Hay Asay Asay Hathiaar Bana Liye Gaye Hein Kay Buton Dabatay Hee Banda Ghaieb .Ye Tu Wo Hathiyaar Hein Ju Uss Nay Apni Hifazat Kay Naam Par Tyaar Kiye Hein Ju Uss Nay Apni Hifazat Or Dosron Ki Tabahee Kay Liye Banayein Hein,,Kuch Cheezein Kainaty Tabahee Ki Waja Say Hein Jasay Sailaab,Zalzalay, Kuch Ka Taluq Insani Mashrat Say Hay Jasay Daku,Police,Sarkaree Officer,Ghar Ghar Mein Mojudh Saas,Muhalay Ki Maasian Jin Ka Kaam Sharr Phelana Hay.Kuch Tabah Kun Hathtiyaar Insaan Nay Tafree ,Art,Culture Or Fun Kay Naam Par Bana Liye Hein,,,Harr Baat Insaan Ko Khush Nahi Karty De Du Pori Salary Fer Bee Bv Etebaar Nahi Karty.Ji Hum Apni Iss Baat Ko Sabit Kar Saktay Hein Jasay Ajh Kal Ka Music Asa Tabah Kun Hay Kay Samajh Nahi Ata Kay Iss Main Surr Kaha Hay Taal Kaha Hay Jasay Ghreeb Kay Bachay Ki Hadi Khaal Ka Nahi Pata Chalta Jasay Ghreeb Ki Amdan Ka Pata Nahi Chalta . Ajh Kal Kaa Music Uff Asa Kay Toubah Kay Baray Baray Mujrim Du Gano Mein Hee Hay Apnay Pechlay Jurmon Or Ju Unhun Nay Ainda Karnay Thay Sab Maan Laitay Hein Balkay Iss Music Say Asa Pareshaan Hutein Hein Kay Apnay Abaoejhdaad Kay Jaraiem Ki Tafseel Tak Bata Detay Hay Ju Unhun Nay Apni Naani Daadi Say Sun Rakhay Hutein Hein.Ajh Kal Kay Ap Tv Talk Shows Dekh Lein Jis Ki Waja Say Saray Pagal Khanay Bhartay Jaa Rhay Hein Kuch Chanels Tu Baqaida Planted Prgrame Be On Air Kartay Rehtay Hein.Kuch Chanels Nay Muhalay Ki Massi Type Female Anchor Hire Ki Huein Hein Ju 2 Ya 3 Achay Khasay Mohtram Insano Ko Laranay Kay Fun Mein Yakta Hein Asa Laratee Hein Kay Wo Ek Dosray Kay Khilaaf Court Mein Case Kar Detain Hein Kuch Jaali Peer Ya Moulvee Type Hazraat Pasay Dey Kar On Air Hu Kar Apna Buisness Kar Rahay Hein Kuch Neem Hakeem Asa Elajh Bata Detay Hein Kay Banda Seeda Qabristaan Chala Jata Hay Kuch Khawateen Haqoq E Naswan Kay Naam Par Wo Wo Gul Khilaatein Hein Kay Mali Bee Pareshaan Hu Jatay Hein Kay Iss Mosam Mein Asa Gul Aya Tu Aya Kasay .

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1196530 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.