Saffar Sumaal Kay(Episode 7)

(hukhan, KARACHI)

hukhan,author,writer.tourist

Humarai Train 133 Square Kilo Meter Phalay Huay Shaer Oliya Jisay Sofion Buzarghun Ka Shaer Kaha Jata Hay Jisay Baba Farid Jasay Azeem Buzargh Or Punjabi Zubaan Kay Shaer Ki Jaye Paidaash Hunay Ka Bee Sharf Hasil Hay Ko Alvida Kahtay Huay,,, Train Ahista Ahista Khanaywaal Ki Traf Reghnay Laghi Jasay Zara See Speed Usay Kahein Lahore Qabal Az Waqt Na Phoncha Dey Ya Yun Kaha Jaa Sakta Hay Jasay Iss Kay Lohay Kay Wheelon Mein Kahien Moch Ayi Hui Hu,,,Kia Chaal Qiyamat See Hay,,,Har Ada Hay Lajwaabh,,,Ubh Tu Waqt Par Pohanch Jana Laghta Hay Deewana Ka Khaabh.Baat Hu Rahi Thay Multan Ki Iss Shaer Ko Bazaaron,Mazaaraat,Masaajid Or Gunbadoun Ki Kambal Mein Lipata Hua Hay Khtay Hein Ki Iss Shaer Ki Tareekh Kamo Besh 6000 Saal Purani Hay Iss Ki Zameen Sonay Jasee Cheezein Ughalty Hay Aam,,,Amrood,,Gandum,Kapaaas,Gana Or Kino Yahan Ki Eham Tareen Ajnaas Hein Wesay Yahan Ki Garmee Insaan Ko Faslon Ki Tra Paka Dety Hay.Naved Ney Nashtay Kay Baad Hasb E Adat Mangh Kar Akhbaar Parna Shuro Kar Dia Asa Lagh Raha Tha Akhbaar Kay Asal Malik Ko Parnay Kay Liye Naya Akhbaar Laina Paray Ga Samnay Ek Sahib Bhut Hee Ghusay Mein Bathay Huay Thay Un Ko Dekh Kar Humein Apnay Ek Buzargh Yaad Aa Gaye Jin Ka Blood Presure Har Waqt Akhree Limit Ko Chuu Raha Huta Tha Un Se Pochu Kasay Hu Uncle Agay Say Jawab Milta Qun Tu Nay Dawa Laa Kar Deni Hay Yay Sahib Bee Un Jasay Hee Thay Har Baat Mein Golla Baari Shuro Kar Detay Jasay Abhi Border Par Baithay Hun Sohail Nay Ankh Maar Kar Un Say Poch Lia Hazrat Kaha Ki Rawanghi Hay Wo Bolay Train Kaha Jaa Rahi Hay Sohail Nay Kaha Lahore,,,Wo Bolay Tu Mein Nay Konsa Dubai Kaa Ticket Lia Hua Hay Sohail Nay Ahista Say Khudh Kalaami Kay Andaaz Mein Kaha Oper Ka Lay Laina Tha Un Sahib Kay Kaan Bhut Teiz Thay Ya Pher Wo Daily Acid Wash Kartein Hun Gay Kaleem Nay Moqay Ki Nazaqat Ko Samajh Lia Kaha Aap Oper Barth Par Kab Jao Gay Sohail Baa Izat Rescue Hu Gia Or Sohail Kaleem Kay Darmiaan Mamla Chai Kay Cup Par Set Hu Gia Magar Baray Sahib Ubh Bee Kaleem Ki Tarjumaani Say Poray Tor Par Mutmain Nazar Nahi Aa Rahay Thay Naved Nay Kaha Khan Saab Khanay Ka Bata Du Kis Kis Nay Kitna Kitna Kahaya Taqay Mein Sogh Pori Tara Mana Sakun Werna,,,,,,,,,,,,,,,Hum Nay Agay Ka Pocha Wo Bolay Allah Karay Ap Ko Asa Sussar Milay,,,,,,,,,,,,,Hum Us Kay Qadmon Mein Baith Gaye Or Uss Se Kaha Apni Budua Wapis Lay Lay Magar Wo Tas Say Mas Na Hua Hum Nay Socha Kay Jabh Ubh Tak Hum Sarri Jamhorri Hakoomaton Ko Bardassht Kartein Aye Hein Fer Asa Kuch Hua Bee Tu Nipat Lein Gay.Train In Saari Wardaton Say Beniaaz See Agay Bar Rahi Thee (Jaari Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197820 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.