Masjid Khuda Ka Ghr

(HABIB UR REHMAN, chakwal)

Masjid Khuda Ka Ghr:-

Muashray Men Roz-E-Awal Say Ikhlaqi Buraiyan Janam Lay Rahi Hen. Jab Dunia Ki Shurooaat Hui Aur Phir Aahista Aahista Aabadi Men Izafa Honay Laga. To Tadad-E-Afrad Tabdeel Honay K Sath Sath Dilon K Halat-O-Ufkar Men B Wazay Tabdeeli Roonuma Hona Shuru Ho Gai.Log Achai Ko Chor Burai Ki Trf Gamzan Honay Lagay.Anaaa K Badboodaar Paoday Nay Dunia K Is Khoobsurat Chaman Men Apnay Johar Dikhana Shuru Kr Diay. Phir Allah Nay Kuch Log Is Dunia Men Bhaijay Jo K In  Paodon Ko Jalanay Lagay. Lekin Jab Woh Log Is Dunia Say Kinara Kash Huay To Yeh Paoday Phir Say Afzaysh-E-Nasal Karnay Lagay.Aur Paodon Ki In Hi Naslon Men  Say K Aik Paoda Bad Ikhlaqi Ka B Ha.

Haqeeqat Yeh Ha K Joon Joon Insan Nai Cheezain Dareeaft Karnay Laga Insani Akl Zang Aaloood Honay Lagi.Samajh Boojh Khatam Honay Lagi.Log Apnay Asal Maqsad-E-Hayat Ko Bhool Kr Duneaavi Bhaag Daor Men Lag Gay.Aql K Taqaazon Ko Nazar Andaaaz Kiea Janay Laga. Aik Nihayat He Aham Muamla Jisay Men Aap Logon Ki Nazar Krna Chahta Hun Woh B Bad Ikhlaqi Aur Anaa Parasti Ki He Aik Shaakh Hai Jo K Rooz Barooz Barhti He Ja Rahi Ha Aur Khadsha Darpaish Ha K Agar Is Ko Barwakt Kaat Naa Gay To Is Shaakh K Sath He Phansi Ka Phanda Daala Jaay Jo K Aanay Waalay Wakt Men Insaaniat Ka ala Dabaa Sakta.

Muamla Yeh Ha K Aaj Kal K Kai Log Masjid Ko Apni Jageer Samajhnay Lag Gay Hen. Agar Aik Ehl-E-Tashee Kisi Ehl-E-Sunat Ki Masjid Men Aay Ya Ehl-E-Sunat  Ehl-E-Tashee Ki Masjid Men Aay To Wahan Pay Maojood Log Mumkina Had Tk Yeh Koshish Krtay Hen K Kisi Tarah Say Yeh Aadmi Yahan Say Nikal Jay. Isi Tarah Aik Dafa Tableeghi Jamat K Aik Rukun K Mun Men Say Yeh Sunnay Ko Mila K Hm Sindh Men Tableegh K Silslay Men Gay Aik Gaon Men Say Hmara Guzar Hua To Wahan Ki  Masjid Men Hm Nay Parao Dalnay Ka Socha Lekin Masjid Men Gay To Wahan Say Hmain Dhakay Maar Kr Bahir Nikal Diea Gaya. Halankay Hm To Wahan Naik Maqsid Say  Gay Thay.

Isi Tarah Chand Roz Pehlay Aik Masjid Men Main Nay Maghrib Ki Namaz Adaa Ki To Namaaz Ada Krnay K Bad Jab Men Bahir Nikla To Kia Dekhta Hun K Masjid K Sehen Men Main Nay Do Fakeeron Ko Mangtay Huay Paya. Dono Men Say Aik Tangon Say Mazoor Aur Dusra Nabeena. Abi Men Dekh He Raha Tha To Wahan Aik Aadmi Aaya Aur In  Kehnay Lga Yahan Say Chaltay Bno Goya K Fakeeeron Ko Msjid Men Aanay Ki Ijaazat Bilkul B Nahi Ha. To Yeh Daikh Hr Mujhay Inteha Ka Afsos Hua Aur Dil Men Yeh Sawal B Paida Hua K Kia Meray Rab Ka Ghr Sirf Ameeeron K Liay Ha Ya Us K Liay Jis Ki Jaib Thori Bhari Ho?

Yad Rakhiay Yeh Masjid Meray Khuda Ka Ghr Ha Aur Kisi Ko Koi Haq Nhi Paunchta K Koi Kisi Ko Aisay Bahir Nikalay.Yeh Kisi Ki B Jageer Nhi Na Kisi Shakhs Ki Na He Kisi Maslik Ki. Adam Ki Kisi Haal Men Tehkeer Na Krna. Phirta Ha Zamanay Men Khuda Bhais Badal Kr.
 

HABIB UR REHMAN
About the Author: HABIB UR REHMAN Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.