Lambi Umer

(Chiraghdeen, Karachi)

Jab Kisi Ko Yaad Karo Aur Who Foran Aajaey Kyun Kehtey Hein Keh Sheytaan Ko Yaad Kia Sheytaan Agaya. Yah Kehtey Hein Keh Kia Sheytaan Ki Umer Pai Hey. Ya Barri Umer He Tumhari Abhi Yaad Kia Tha, Abhi Aagaey…Kisiko Yaad Kerney Se Uska Foran Aajana Aur Lambi Umer Ka Hona, Yeh Kis Rivayet Sey Sabit Hey…Hamain Nahi Maloom, Agar Kisi Qari Ko Iska Sahih Ilm Ho Tau Hamein Bata Dey.

Lambi Umer Ki Dua Mangney Ka Kaha Gaya Hey…Aur Aksar Jab Koi Achha Kaam Kerta Hey Tau Buzurg Usey Darazi-E-Umr Ki Dua Detey Hein.

Aksar Log Yeh Samajhtey Hein Keh…Lambi Umer Ka Matlab Yeh Hey Keh Agar Kisi Ki Umer 50 Saal Hey Aur Usko Lambi Umer Ki Dua Di Aur Wo Qubool Hogai To Shayed Woh 50 Saal Sey Ziadah Zinda Rahey Ga…Lekin Aisa Nahi Hey…Jo Umar Jiski Likhdi Gai Hey Woh Na Barhey Gi Na Kam Hogi Balkeh Lambi Umer Ka Matlab Yeh He Keh Uski Umer Mein Barket Hojaey Gi. Barkat Dikhai Nahi Deti, Mehsoos Hoti Hey…Jo Kaam Ham Sarey Din Mein Nahi Ker Patey Wohi Kaam Wo Hazraat Jin Ki Umron Mein ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ne Barkatein Dali Huwi Hein, Wo Log Chand Ghanto Mein Ker Letey Hein.

Jab Ham Sahaba-E-Kiram Aur Buzurgan-E-Deen K Waqeyat Parhtey Hein Tau Baaz Waqeyat Parh Ker Soch Mein Doob Jatey Hein Keh Kia Yeh Mumkin Hey? Itney Thorey Waqt Mein Itna Sara Kaam Kaisey Hogaya…Itna Lamba Aur Kathan Safar Itni Thori Muddat Mein Kaisey Tey Hogaya? Inkaar Tau Ker Nahi Sakte…Islam Sey Kharij Honey Ka Khatra Hota Hey Magar Sochtey Zuroor Hein Keh Kahin Likhney Waley Sey Koi Ghalti Tau Nahi Ho Gai. Magar Yeh Haqeeqat Hey…Aur Sara Mamla Lambi Umer, Umer Mein Izafe Ka Hey.

ALLAH Ta'ala Hamein Bhi Lambi Umer Ata'a Farmaey Takeh Ham Naik Kaam Kerke "UMR-E-KHIZR" Ka Laqab Pain Nakeh Burey Kaam Kerke "SHEYTAAN" Ka Khitaab?

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 191255 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.