Saffar Sumaal Kay(Episode 5)

(hukhan, karachi)

hukhan

Ajh Pata Chala Kay Har Koi Apni Marzee Ka Malik Huta Hay Jamhoriat Nay Duniya Kay Iis Hissay Mein Koi Or Khidmat Ki Hu Ya Naa Ki Hu Sab Ko Azaad E Raye Or Faislon Mein Bahut Had Taak Azaad Kar Dia Hay Ye Train Bee Isi Formulla Kay Tehat Track Par Reingh Rahee Thy Raat Kay Iss Akhree Pehar Jabh Koi Bashar Miloon Dour Bee Nazar Naa Ataa Tha Iss Nay Apni Maastaani Chaal Mein Inch Bhar Bee Izaafaa Naa Kiaa Tha Hum Nay Kaie Baar Ankh Band Karnay Ki Koshish Ki Magar Garmee ,,Pakistani Economy Ki Tra Sust Raftaar Pankhon Ki Garam Hawa Ju Kay Bina Dryer Machine Kay Wafar Miqdaar Mein Muesar Thi Humein Sona Tu Door Ki Baat Oungh Bee Naa Lainay Dee Uss Par Sath Mein Mein Bhut Zayda Miqdaar Mein Paye Janay Walay Bani Noe Insaano Nay Saray Kaam Ajh Raat Hee Karnay Thay Koi Khaansta Tha Koi Raat Kay Iss Pehar Cigrate Jala Laita Tha Mana Karnay Par Ek Buzargh Numaa Insaan Nay Arz Ki Baita Humein Tu Huqay Ki Adat Hay Bas Saffar Ki Majhboori Ki Waja Say Beiree Sulghaie Hui Hay Werna Ju Maza Huqay Ka Hay Wo Baat Iss Kambakht Mein Kaha,,,Iss Kaa Farq Tu Asli Ghee Or Dalda Wala Hay .Hum Lajawab Ya Shaied Lachaar Hu Kar Train Kay Soraakh Say Jis Ko Sab Kherkii Keh Rahay Thay Baher Dekhnay Lagay Magar Andheray Or Maty Kay Sewaa Ankhon Ko Kuch Dastiyaabh Naa Tha Hum Nay Apni Tanghein Chaadar Say Zayda Kein Tu Sohail Nay Kaha Khan Saab Control Ye Meri Naak Hay Or Ghreeb Ki Naak Hi Uss Ka Qul Asassa Huty Hay Sohail Ubh Tak Uss Haseena Kay Liye Saari Boghiaan Dekh Chucka Tha Ju Us Ko Karachi Cantt Par Nazar Aa Kar Kici Apsra Ya Pari Ki Tra Ghaaieb Hu Gai Thy Humein Uss Kay Ishq Number124 Kay Shurroaaty Ekhtemaam Par Kuch Zayda Afsoos Naa Tha Indian Movie Dil Walay Dulhaniys Lay Jaien Gay Dekhnay Kay Baad Us Nay Ek Sachay Ishq Ko Khud Par Farz Kar Lia Tha Ubh Pata Nahi Haseena Number 125 Hee Uss Ki Asal Simran Thy Ya Pher ,,,Abhee Ishq Kay Emtahaan Or Bee Hein .....Hum Nay Jabh Bee Iss Qisam Kay Ishq Par Ya Kici Bee Qisam Kay Ishq Par Apni Raye Ka Izhaar Kia Tu Sohail Ki Ek Hee Baat,,,,,,,,Gadha Kia Janay Zaafraan Kaa Maza,,,,,,,,Or Hum Ek Damm Say Khamosh Hu Jatay Qun Kay Hum Gadhay Ki Suro Say Bhut Izzat Kartay Hein Janay Ye Koi Qudarty Amal Tha Ya Loghun Ki Raye Ka Ehtraam Tha Qun Kay Walid Sahib Or Kuch Humaray Ustaad E Mohtaram Humein Aqsar Gadha Ya Khutta Kaha Kartay Thay Hum Nay Kabi Iss Tittle Kaa Buraa Nahi Manaya Han Ye Alagh Baat Hay Kay Iss Ka Kuch Pata Nahi Or Naa Hee Kabi Hum Nay Research Ki Kay Humari Gadhon Say Tashbeeh Ka Gadhun Nay Kasa Response Dia Hu Ga(Jaari Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1198650 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.