Sadqah

(Chiraghdeen, Karachi)

Sadqah Balaon Ko Talta Hey, Museebaton Ko Door Kerta Hey, ALLAH Pak Ney Ek Taraf Isko Logon Ki Museebaton Aur Beemarion Ko Door Kerney Ka Zaria Banaya Hey Tau Doosri Taraf Gharibon Aur Museebat Zadah Logon Ki Madad Ka Zaria.

Hazrat Eesa Alai His Salam Per Jo Qom Sab Sey Pehley Eemaan Lai Woh Log Paishey K Etebaar Sey Dhobi They. Ek Dhobi Jis Ki Shararton Sey Doosrey Dhobi Bohot Pareshan They Aakhir Kar Ek Roz Un Sab Ney Hazrat Eesa (A.S.) Sey Us Shakhs Ki Shikayet Ki Keh Who Ham Sab Ko Bohot Pareshan Kerta Hey ALLAH Ta'ala Sey Kahein Keh Us Ko Saza Dey. Chunacha Hazrat Eesa (A.S.) Ne ALLAH Pak Sey Dua Fermai Aur Ilaqe Walon Ko Khushkhabri Sunai Keh Aaj Who Shakhs Iss Dunya Sey Uth Jaey Ga Aur Tum Logon Ko Sukoon Hojaey Ga. Log Yeh Khabar Sun Ker Bohot Khush Huwey. Lekin Jab Shaam Huwi Aur Logon Ney Dekha Keh Wo Dhobi Apney Sar Per Kaproon Ka Gattha Uthaey Dhobi Ghat Sey Abadi Ki Taraf Araha Hey Tau Unhein Bara Ta'ajjub Huwa Keh Yeh Kaisey Hogaya, Usey Tau Nabi Ki Bad Dua K Baad Aaj Mer Jana Chaheye Tha? Chunacha Sab Hazrat Eesa (A.S.) K Paas Gaey Aur Sara Maajra Sunaya. Hazrat Eesa (A.S.) Ne Farmaya Usko Aney Dau. Jab Wo Shakhs Qareeb Agaya Tau Hazrat Eesa (A.S.) Ne Us Se Kaha Keh Kapron Ka Yeh Gattha Nechey Rakho, Jab Us Ne Woh Nechey Rakha Aur Usko Khula Tau Us Mein Sey Ek Bohot Barra Azdaha Nikla Jisko Dekh Ker Na Sirf Wo Shakhs Balkeh Doosrey Log Bhi Darr Gaey. Phir Hazrat Eesa (A.S.) Ne Us Shakhs Sey Puchha Keh Batao Aaj Tum Ne Aisa Kon Sa Kaam Kia Keh Tumhari Yaqini Maut Tal Gai, ALLAH Ta'ala Ney Tumhein Marney K Liye Iss Azdahey Ko Bhaija Tha, Tau Who Kehne Laga Keh Aisa Tau Koi Khas Kaam Mene Kia Nahi Magar Albatta Jab Dopeher Ko Mein Khaney K Liye Betha Aur Iss Sey Pehley Keh Luqma Moonh Ko Lejata Ek Saail Agaya Aur Us Ne Kaha Mein Bhooka Hoon Mujhey Kuchh Khaney Ko Do Tau Mein Ney Apna Khana Usko Dedia Aur Khud Bhooka Raha, Iss K Alawah Aur Koi Barra Kaam Tau Mein Ne Kia Hi Nahi.

Hazrat Eesa (A.S.) Ne Farmaya Keh ALLAH TABARAK WA TA'ALA Ne Bohot Pehley Apne Ooper Yeh Lazim Kerlia Hey Keh Jab Bhi Koi Shakhs ALLAH Pak Ki Rah Mein Sadqah Karega Tau ALLAH Pak Uski Museebaton Ko Door Farma Dein Ge. Chuna Chah Pehley Wali Baat Doosrey Waley Hukm Per Ghalib Aagai Aur ALLAH Ta'ala Ne Sadqah Kerney Per Us Shakhs Ki Yaqeeni Maut Ko Muakhar Kerdia. Jab Us Shakhs Ne Yeh Baat Suni Tau Wo Sajde Mein Girgaya Keh Kis Tarah ALLAH Pak Ne Mere Ek (Meri Aqal K Mutabiq) Mamooli Amal Ko Itna Barra Darja Dia Keh Meri Maut Jo Keh Yaqini Thi Zindagi Mein Tabdeel Kerdi Tau Us Ne Tahiyya Ker Lia Keh Ab Mein Hamesha Saqdah Kia Karoon Ga Aur Ab Kabhi Bhi Kisi Ko Pareshan Nahi Karoonga. Ilaqe K Logon Ne Bhi Usko Muaf Kerdia.

Dekhain Bazahir Ek Mamooli Amal Aur Uska Itna Barra Ajar………..Yeh Sirf Unhi K Liye Nahi Tha Balkeh Qiamat Tak Anewaley Har Har Insaan K Liye Yehi Nemat Ab Bhi Qaim Hey.

Hamein Chaheye Keh Ham Bhi Ziadah Sey Ziadah ALLAH Ki Rah Mein Sadqah Khairaat Kia Karain Takeh Hamarey Ooper Anewali Museebatein, Beemarian, Nagahani Aafatein, Zalzaley, Sailaab, Ghair Munsif Hakim, Jawan Motein, Bepardagi, Behayai, Zina, Sood, Rishwat, Hamjinsparasti Aur Isi Tarah Ke Azaabaat Aney Band Hoon Aur Ham Bhi Izzat Ki Zindagi Guzarney Waley Ban Ja Ain. Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190980 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.