Kya shariat ke nafaz se Inteha Pasandi ko farog mily ga?

(Amir Yaseen, Lahore)

Inteha Pasandi Aur Shariat Ka Apas Mai Kya Relation Hai. Kya Ye Dono Aik Hi Hain Ya Different Hain. Isi Chez Ka Tadrak Bnda-E-Nachez Apny Article Mai Biyan Krny Ki Jasarat Kry Ga. Intehapasandi Kya Hai. Ye Kis Chez Ka Name Hai. English Mai Isy "Extremism" Kha Jata Hai Aur Urdu Mai Inteha Pasandi Ka Nam Dia Jata Hai. Aaye Hum Is Word Ki Thori Si History Ko Khangalny Ki Khoshish Krty Hain. Sab Se Pehlay Ye Word Christians K Liye Use Hua Hai Jo Inteha Pasandi Ki Haad Tak Jaty Thy. Inteha Pasandi Jesy K Apny Nam Se Ashyan Hai K Ksi Political Ya Religious Views Ko Extreme Ki Had Tak Pasand Kia Jaye. With The Passage Of Time Ye Word Muslims K Liye Use Hona Shuru Hua. Isy Ab To Western Unions Ne Hum Muslims Ka Label Bna Dia Hai. Hum Muslims Bechary Ye Daleleyn Dety Dety Thak Ke Choor Ho Jaty Hain K Hamara Is Inteha Pasandi Se Door Tak Ka Bhi Wasta Ni. Hum Vo Ni Hain Jo Ye Western Unions Samj Bethi Hain. Hum Se Hamari Sharafat Ki Guarantee Mang Li Jati Hai. Pir Hum Se Qasmayn Aur Quran Uthaye Jaty Hain. Ye Sirf Aur Sirf Muslims K Khilaf Aik Propaganda Hai Jo K Western Unions Bry Mazay K Sath Chala Rai Hain. Muslims Ko Aik Issue Bna K Puri Dunia K Samany Dikhaya Ja Rai Hai K Ye Muslims Hi Hain Jo Inteha Pasandi Ko Farog De Ray Hain. Khair Hum Bat Shariat Aur Inteha Pasandi Ki Kar Ray Thy. Ye To Hui Inteha Pasandi Koi Bnda Kisi Aur K Religion Ko Ni Maan Rha To Usy Force Kar K Zabardsti Manwaya Jaye.

Shariat Kya Hai. Mazhab Islam Mai Shariat Us Qanoon Ka Nam Hai Jo K Quran Pak Aur Ahadees Sharif Mai Batye Gay Hain. Shariat To Quran Pak Aur Hmaray Nabi K Bataye Huy Qanoon Par Amal Pera Hony Ka Nam Hai. Aisa Qanoon Jo Islami Asooloon Pe Mabni Ho Aur Jis Qanoon Mai Saza Bhi Islami Asooloon Ke Mutabiq Hi Di Jaye Jo Ke Hamary Nabi Hazrat Muhammad (SAW) Aur AAP (SAW) Ke Sahaba Karam (RA) Ne Nafiz Ki Hain.

Inteha Pasandi Aur Shariat Do Elehda Elehda Nam Hain. Aur In Mai Zameen Aur Asmaan Ka Faraq Majood Hai. Islam Mai Ye To Ni K Kisi Ko Zabardasti Apny Religion Ki Taraf Laya Jaye. Extremism Mai To Hum Qatal Bhi Dakhty Hain, Lakin Islam Mai Najaiz Qatal Ki To Hargiz Gunjesh Ni. Quran Pak Ki Ayat Ka Mafhoom Mai Btana Chahun Ga. Aik Qatal Ka Matlb Puri Insaniat Ka Qatal Hai Aur Aik Ko Bacha Leny Ka Matlab Tamam Logon Ko Zinda Kar Deny K Mutradif Hai. Hamaray Deen Islam Mai Koi Aik Bhi Misal Ni Milti Jahan Kisi Non Muslaim K Haqooq Qabaz Kiye Gay Hon. Muslimanoon Ne Hindustan Mai Aik Hazar Sal Tk Hakoomat Ki Lakin Aj Bhi Unk Mandars Musalmanoon Ki Chal Chalan Ki Ghawahi Dy Ray Hain. Aur Muslaims K Sath Christian Bhi Hazaroon Saloon Se Reh Ray Hain.

Sharaiat Kisi Aur Cheez Ka Nam Hai. Us Cheez Ya Us Qanoon Ka Nam Ni Jo Western Countries Samaj Bethy Hain Aur Hamary Leaders Ko Dara Ray Hain. Dosri Taraf Hamary Ulma Karam Ye Mt Samjeyn K Mai Unko Defend Kar Ra Hun. Mai Us Shariat Ki Bat Kar Raha Hun Jo Ka AAP (SAW) Aur Apk Sahaba Karam (RA) Ne Nafaz Ki.

Islam Aik Aman Pasand Religion Hai Aur Aman Ki Dawat Deta Hai. Islam To Aik Aisa Religion Hai Jo Kisi Aqleeyat Mai Rehnay Walon K Sath Bhi Wohi Salook Ka Daras Deta Hai Jo Aksariyat Mai Rehnay Walon K Sath Kia Jata Hai. Islam Zabardsti Ka Qail Ni. Islam To Kisi Ko Namaz Parhny K Liye Bhi Zabardsti Ka Daras Ni Deta To Apny Deen Pe Anay Pe Kesy Zabardsti Kr Skta Hai. Ye Western Countries Ne Islam Ko Kisis Aur Senses Mai Liya Hua Hai Aur Wohi Picture Puri Dunya Mai Show Kar Ry Hain.

Islam Mai Inteha Pasandi Ki Aik Zara Barabar Bhi Gunjeish Ni. To Phir Ye Kesy Ho Sakta Hai Ke Aik Mulak Mai Shariat Nafaz Ki Jaye Aur Is Se Inteha Pasandi Ko Faroog Mily. How Is It Possible. Never And Never. Ye Kabi Ni Ho Sakta. Han Sharat Ye Hai K Nafaz Krny Wali Shariat Wohi Asoonloon Par Mabni Ho Jo AAP (SAW) Ne Btaye. Na Ke Sirf Nam Hi Ki Sharait Ho Aur Ander Se Apni Man Maniyen Krty Phiryen.

Sharait Ye Bhi Ni K Gali Gali Musajid Bni Hon Aur Har Firqa Dosray Firqy Ko Non Muslim Qarar Dy. Aik Bhi Rawaiat Aisi Ni Milti K Jis Mai Aap (SAW) Ya Sahaba Karam (RA) K Door Mai Firqy Hon. Ye Firqay Hum Logon Ki Production Hai Aur Hmy Hi Khatam Krny Hon Gay. Koi Bahir Se Ni Aye Ga Inko Khatam Krny Ko. Ye To Zimadari Hmy Hi Leni Paray Gi Kyun Ke Ye Hamari Hi To Peda War Hain. To Goya Firqoon Ki Bat Ho Rai Thi To Isi Ko Ly K Chlty Hain. Educated Persons Is Chez Se Waqif Hon Gay K Jo APP (SAW) Ne Namaz-E-Juma K Bary Mai Farmaya Tha. Ye Ke Nama-E-Juma Ki Amamat Aur Is Ka Khitab Sarbrah Hakumat Aur Us K Wazir Masheer Kryen Gay. Han Koi Dosra Person Us Sorat Mai Ye Faraz Ada Kry Ga K Jab Wo Sarbarah Mazoor Ho Ya Uski Ijazat Ho. To Hum Dakhty Hain Ab K Kitni Aisi Masajid Hain Jo Is Pe Kar Band Hon. Lahaza Shariat Qaim Krny Se Hmy Un Sab Asooloon Pe Amal Krna Ho Ga Aur Dunia Ko Dikhana Ho Ga K Ye Ahai Islam Jiski Ap Galat Interpretation Kar Ray Ho. Tab Dakhty Hian K Yei Inteha Pasandi Janam Leti Hai Ya Ni. Ya K Yei Inteha Pasandi Western Countries Ki Taraf Shift Hoti Hai. Yei Hamara Islam Hai Aur Yei Hamara Deen Hai Jo Ka Sb Deenon Mai Se Afzal Hai. Ye Islam Hi Hai Jo Khoon Kharaby Ki Ijazat Hargiz Ni Deta. Pir Dakhy Gi Pori Dunia K Islam Inteha Pasandi Ko Faroog Deta Hai Ya Ni. Pir In Western Unions K Munh Band Hon Gay. Mera Apna Iman Hai K Shariat Ko Nafaz Karny Se Inteha Pasandi Ko Janam Kabi Bhi Ni Mil Sakta. Ye Sirf Na Hony Wali Bateyn Hai K Inteha Pasandi Shariat Ka Dosra Nam Hai. Ye Sara Sar Galt Hai Aur Bs Islam Ka Image Kharab Krny Ki Aik "Sazish".

Amir Yaseen
About the Author: Amir Yaseen Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.