21st century

(Imran Dar, usa)

Kitna Ajeeb Lagta Hai Jab Hum 21st Century Ki Baat Kartay Hain Aur Aik Aisi Duniya Ka Khayal Ata Hai Jis Main Sab Kuch Accha Aur Khoobsurat Nazar Ata Hai.Magrib Ki Duniya Ko Daikh Kai Lagta Hai Kai 21st Century Sirf Inn Kai Liye Hai..Jab Kai Hum Aur Hamaray Jaise Mulk Sirf Basic Zarooriyat Kai Peechye Aise Tarass Rahye Hain Jaise Bhikari Ko Bheek Aur Bimar Ko Sehtiyabi Chahiye Ho..

Ajab Almiya Hai Kai Jin Ko Allah Nahi Hakim Banaya Onhien Ko Hakeem Bana Diya Woh Bhi Dulat Ka Jis Ka Ilaj Karnai Baith Gaye Aur Quam Ko Bimar Bana Dia Aur Oss Ki Bimari Bhi Aise Hai Jiss Main Pani,Bijli,Karobar Nd Bachon Ki Taleem Ka Raog Laga Dia...Bicharay Iss 21st Century Mai 12th Century Ka Roag Laga Diya..Waise Iss Baat Ko Bhi Nazar Andaaz Nahi Kiya Jasakta Kai Hum Nai Inn Halat Mai Bhi Kuch Kiya Na Kiya Par Fashion Mai 21st Century Ka Muqabla Khoob Kiya..Magrib Jo Bhi Karay Oon Ka Maashra Hai Karsaktay Hain Par Hum Apnay Aap Ko Bhool Kar Oon Kai Naqsh Par Chalnai Lag Gaye.Jis Ki Waja Sai Aaj Hum Tarakki Kai Hasool Par Lag Gaye Nd Apni Saqafat Bhool Gaye.

Rishton Mai Ajeeb Sa Fark Agaya Hai..Thezeeb Sai Dori Ki Waja Sai Aaj Rishton Mai Dori Ho Gaiye Hai.Freedom Zarori Hai Par Beja Zarori Nahi Jis Main Beti Ki Aankh Main Sharam Aur Haya Baki Na Rahye,Beta Maa Ko Friend Kehna Shoroo Kar Dai..Allah Nai Bhi Sab Planets Ko Aik Orbit( Madar) Mai Rakha Aur Hum Tu Sirf Aik Chotay Sai Insaan Hain.Humen Apni Direction Clock Ki Side Rakhni Chahye Na Kai Anti Clock..
Mera Yaqeen Hai Kai Agar Imaan Ho Aur Khoshis Ho Tu Koi Bhi Bimari Ho Oss Ka Ilaj Hai Nd Jald Hum 21st Century Kai Khatam Hotay Hi 21st Century Mai Ajyen Gai...
 

Imran Dar
About the Author: Imran Dar Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.