KHATIM-UN NABEEN : QURAN KI ROOSHNI MAY

(SKhan, Toronto)

Surah Al-Ahzab #40: Mohammud (SWS) Tumharay Mardoon May Say Kisi Kay Walid Nahi Hain Balkay ALLAH Kay Peghumber Hain Ur Nabeeyon Ki Mohar Khatimunnabeen Hain Ur ALLAH Her Cheese Say Waqif Hay, Ay Iman Waloon ALLAH Ka Bhoot Zikkar Kiya Karo.

ALLAH Nay Rasool E Mohammud (SWS) Ko KHATEEMUN NABEEN Bana Kar Bheja.Surah Shoora#13: Us Nay Tumharay Liya Deen Ka Wohi Rasta Mooqarar Kiya Jiska Hookam Nuh(AS) Ko Diya Tha Ur Jiski Hum Nay Tumhari Taraf Wahi Bhaije Hay Ur Jiska Ibrahim(AS), Moosa(AS) Ur Essa(AS) Ko Hokum Diya Tha-Deen Ka Qaiym Rakhna Ur Ismay Phot Na Dalana......

Yani Rasoole Mohammud (SWS) Wohi Pegham Duniya May Lay Kar Aay Jiska Hookam Unsay Pahlay Kay Pheghambaroon Ko Diya Gaya Tha. ALLAH Subhan Jub Kisi Phegumber Ko Duniya May Bhaijtay Thay To Unkay Sath ALLAH Ka Moojizah Hota Tha Laikin Phegumber Mohammud(SWS) Ko Koi Moojaza Nahi Diya Gaya Tha Unka Moojiza Ya QURAN UL FOORQ Hay Jo Kalame Ellahi Hay Ur Is Duniya Kay Kahtmay Tuk Qaim Rahay Ga-Kiyoonkay ALLAH Ko Abb Koi Phegumber Ya Nabi Nahi Bhaijna Jo Logon Ko Hidayat Ki Taraf Laay. Ya Quran Hi Abb Hidayat Nama Hay.

Bilfarz Agar Hum Ye Mann Bhi Lain Kay Pheghamber Essa(AS) Wapis Aain Gay To Unka Yaqeen Kaisay Aay Ga Kiyoonkay Kisi Nay Unki Asal Shakal Nahi Dekhi Ur Sirf Ahlay Iman Hi Asal Ur Jhoot Ka Pata Laga Saktay Hain To Ye Bhi Mushkil Hay. Essaiyon ,Yahoodiyoon Ur Musalmnoon ( Musalmanoono Kay Firqay Itnay Hain Kay Abhi Tak Jub Yahi Faisala Nahi Howa Kay Asal Musalman Koon Hay )May Say Phir Phegumber Essa(AS) Ko Phachanay Ga Koi Kaisay. Abb Chookay Hamaray Pass Kooch Aise Ahdiths Hain Jinni Ki Wajhay Say Hum Ya Baat Mannay Per To Mujboor Hain Kay Phegumber Essa Ainy Gay Per Us Ka Yaqeen Kaisay Hoga? Ye Soochany Ki Baat Hay! Wasay Yahoodi Ur Issai Bhi Unki Ammad Kay Moontazir Hain To Kiya Hum Unsay Tasdeeq Karain Gay.Unki Perwi Karain Gay Wo Jinhoonay Apni Gharz Kay Liya Pheghambaroon Ko Tuk Nahaq Qattal Kiya.

Bhoot Say Ulma Nay Bhi Quran Ki Aayatoon Ka Mafhoom Kooch Istarah Biyan Kiya Hay Takay Loogon Ko Yaqeen Ajay Kay Quran Bhi Yani ALLAH Subhan Tala Bhi Gawahi Day Rahay Hain Is Baat Ki.

Jubkay Quran May Wazha Aiya Howa Hay, Surrah Almaidah #109-119: Jis Din ALLAH Pheghambaroon Ko Jama Karay Ga Phir Unsay Poochay Ga..... Jub ALLAHsubhan Tala Essa(AS) Say Farmay Ga “Ay Essa Ibne Maryam ....Kiya Tum Nay Logon Say Ya Kaha Tha Kay ALLAH Kay Siwa Mujhay Ur Mari Walda Ko Mabood Moqarar Karo..”.... (Pheghumbare Essa )”Agar Maynay Aisa Kiya To Tujh Ko Maloom Hoga .....Jub Tak May Inmay Raha Unki Khabar Rakhta Raha Jub Toonay Mujhay Duniya Say Uttha Liya To Tu Inka Niggran Tha Ur Tu Her Chees Say Khberdar Hay.ALLAH Farmay Ga” Ajj Wo Din Hay Kay Rastbazoon Ko Unki Sacchai Hi Faida Day Gi” .

Is Ayyat Say To Yahi Samjh Atti Hay Kay Phegumber Essa(AS) Is Duniya Say Utthnay Kay Baad Abb Qiyamat Kay Din Hi Apni Ummat Ki Gawahi Daynay Aain Gay Surah Maryam #30-34: Ur Jis Din May (Pheghmber Essa(AS)) Paida Howa Ur Jis Din Maroon Ga Ur Jis Din Zinda Karkay Utthaiya Jaoon Ga Mujh Par Salamti Ho.

Ya Ayyat Pheghamber Essa(AS) Ki Paidaish Ka Waqa Biyan Kar Rahi Hay Kay Jub Wo Paida Howay Thay Tub Hi Unhoonay Apnay Marnay Ki Tasdeeq Bhi Kardi Thi Ur Qayamat Kay Din Zinda Honay Ka Bhi Bata Diya Tha.

Surrah AL-Imran#55 : Us Waqt ALLAH Nay Farmaya Kay Essa(AS) May Tumhari Duniya May Rahnay Ki Moodt Poori Karkay Tumko Apni Taraf Uttha Loon Ga Ur Tumhay Kafirron Say Pak Kardoon Ga Ur Jo Loog Tumhari Perwi Karain Gay Unko Kafiroon Per Qayamt Tuk Faiq Rakhoon Ga Phir Tum Sab Meray Pass Loot Ka Aao Gay To Jin Bato May Tum Ikhtalaf Kartay Thay Us Din Tum May Unka Faisala Kardoonga.

Abb Phegumber Essa(AS) Koi Doosra Phegham To Laay Nahi Woh ALLAH Ka Wohi Phegham Day Rahay Thay Jiska Hookam Pheghumber Nuh Say Shroo Hokar Pheghamber Mohammud(SWS) Per Mukamil Howa. To Jo Loog Ayyat Kay Mootabiq Pheghamber Essa(AS) Ki Perawi Kar Rahay Thay Iska Mutlab Hay Wo Bhi Ussi Phegam Ki Perwi Kar Rahay Thay Ur Muhammud(SWS) Kay Annay Kay Baad Bhi Wohi Phegam Raha Ur Ajj Bhi Hamaray Darmayan Quranal Foorqan Ki Shakal May Moojod Hay. To Jo ALLAH Kay Ahkamat Ki Perwi Karay Ga Wohi Kamayb Hoga Ur Jo Bhi Iktalafat Hain Unka Faisla Qayamat Tak Kay Liya Rook Liya Gaya Hay.

Surrah Az-Zakhiraff #57- 62 : Ur Jub Maryam(AS) Kay Baetay Ka Hal......Wo To Hamaray Aisay Banday Thay Jin Per Humnay Fazal Kiya Ur Bani Israel Kay Liya Apni Qudrat Ka Namoona Bandiya. Ur Agar Hum Chahtay To Tum May Say Farishtay Bana Day Tay Jo Tumhari Jagha Zameen May Rehtay Ur “WO” Qiyamat Ki Nishanni Hain. To Ismay Shak Na Karo Ur Meray Peechay Chalo Yahi Seedha Rasta Hay Ur Shaitan Tum Ko Issay Rook Na Day Wo Tumhara Illaniya Dushman Hay.

In Ayaton Kay Parhany Say Pata Chalta Hay Kay Kuffar Ur Mushrakeen Hamesha Ki Tarah Phegumber Mohammud(SWS) Say Hujjat Kar Rahay Thay To ALLAH Nay Un Loogon Kay Liya Kaha Kay Ya Sab Loog Jhagraloo Hain. Innhi Ayatoon May ALLAH subban Nay Farmaya Kay ”WO” Qayamat Ki Nisshani Hain. Ur Is “WO” Ko Ulmay Ikram Phegumber Essa(AS) Say Mansoob Kartay Hain. Jubkay Yahan “WO” Say Moorad Farishtay Hain Kiyoonkay Iss Ayyat Say Pahlay ALLAH Subhan Nay Farmaya Kay Wo Agar Chahain To Farishtay Bana Daytay Laikin Fraishtay Qiyamat Ki Nishanni Hain.

Surrah Alfoorqan #20-22 : Jis Din Ya Farishtoon Ko Dekhain Gay Us Din Gunahgaroon Kay Liya Koi Khooshi Ki Baat Nahi Ur Jis Din Asman Abar Kay Sath Phat Jay Ga Ur Farishtay Nazil Hongay Ur Wo Kaffiroon Per Mushkil Hoga.

Surrah Al Inam#48 : Agar Hum Farishtay Nazil Karatay To Kam Hi Faisal Hojata Phir Unhain Moohalat Na Di Jati.

Yani Abb Agar ALLAH Subhan Farishtoon Ko Bhaijan Gay To Qiyamat Aay Gi Yani Farishtoon Ka Nazool Qiyamat Ki Nisshani Hay.

Surrah Nissan #157 : Ur Koi Ahlay Kittab Nahi Hoga Magar Unki Moot Say Pahlay Un Per Imman Lay Aay Ga Ur Wo Qiyamat Kay Din Un Per Gawaha Hongay.

Wasay To Is Ayyat Ka Mfahoom Ye Hay Kay Ahlay Kittab Sirf Wohi Loog Hain Jinhoonay Pheghamber Essa Ki Perwi Ki Thi Ur Unhi Per Wo Gawah Bhi Hongay . Laikn Agar Is Aayat Ka Ya Mafhoom Lain Kay Pheghamber Essa(AS) Ki Tabbai Moot Nahi Hoi Thi To Wo Is Duniya May Wapis Aakar Apni Tabbai Wafat Pain Gay . Ur Us Waqat Ahaly Kittab Imman Lay Aain Gay.

To Sawal Ya Hay Kay AHLAY KITTAB Koon Loog Hain Kiyoonkay .1: Agar Ya Soocha Jay Kay ALLAH Nay Taqreeban Lakh Kay Qareeb Phgumber Bhaijay Unmay Say Kooch Per Kittabain Ur Saheefay Bhi Uttray To Is Hissab Say Taqreeban Her Shaks Chahay Wo Kissi Bhi Firqay Ya Mazhab Ki Perwi Karta Ho. 2: Agar Ahaly Kittab Say Moorad Sirf Yahoodi Ur Essai Hain Kiyoonkay Pheghamber Essa(AS) Yahoodiyon Ki Tarf Maboos Howay Thay Ur Essai To Hain Hi Phegumber Essa (AS) Ki Perwi Karnay Walay Ur Unkay Janay Kay Baad Wo Bhi Mushrakeen Hogay Thay. Surrah Almaidah#17: Jo Loog Is Baat Kay Qail Hain Kay Essa Ibne Maryam ALLAH Hain(Naoozbillah) Woh Baishak Kaffir Hain. 3: Agar Muslims Ya Ur Doosray Mazhab Kay Mannay Walay . To Kiya Wo Loog Qiyamat Kay Din Phegumber Essa(AS) Per Imman Lain Gay Kiyoonkay Kahtay Hain Qayamat Kay Qareeb Koi Bhi Ahlay Imman Nahi Rahay Ga .Ur Phir Pheghumber Essa(AS) Apni Tabi Wafat Pain Gay.

Abb Agar Loog Qiyamt Kay Waqt Imman Lay Bhi To Koi Baat Banti Nahi Hay Kiyoonkay Unka Imman ALLAH Ko Manzoor Nahi. To Phir ALLAH Pheghumber Essa(AS) Ko Kiyoon Bhaijan Gay ? Kiyoonaky Abb Wahi Illahi Ka Silsil Band Hochooka Hay Ur Sirf Quran Say Hi RAHNOOMAI Laini Hay.

Surrahalinam#157: “Ya Iskay Siwa Kis Baat Kay Moontazir Hain Kay Inkay Pass Farishtay Aain Ya Khood Tumhara Parwardigar Aay Ya Tumharay Perwardigar Ki Nishaniyan Aajain Gi Jo Shaks Pahlay Iman Nahi Laiya Hoga Us Waqat Ussay Imman Lana Kooch Faida Nahi Day Ga Apany Iaman May Naik Amal Nahi Kiyay Honagay, Ay ! Pheghamber Kahdo Kay Tum Bhi Intizar Karo Ur Hum Bhi Intizar Kartay Hain.”

Abb Rasool Mohammud(SWS) Nay Quran Say Bahir To Kooch Kaha Nahi To Jo Baat Quran Say Bahir Ho Wo Ahdiths Nabwi Ho Nahi Sakti . Ghari Hoi Bay Booniyad Rawatain Hain. Isliay May Phir Ya Kahoon Gi QURAN Hi Hoorfay Akhir Hay Ur Jo Loog Uski Daleeel Bahir Say Latay Hain Wo Ghalat Hay . ALLAH Subhan Nay Farmaya Hay Surrah Al Inam #105-107: Ur Hum Nay Is Tarah Apni Ayatin Pher Pher Kar Biyan Kartay Hain Takay Kaffir Ya Na Kahain Kay Tum Seeekahy Howay Ho Ur Takay Samjhany Walay Logon Kay Liya Tashreeh Kardain Ur Jo Hookam Tumharay Perwardigar Ki Taraf Say Tumharay Pass Atta Hay Uski Perwi Karo Uskay Siwa Koi Mabood Nahi Ur Mushrikoon Say Kinara Karlo Ur Agar ALLAH Chata To Loog Shirk Na Kartay Ur Mohammud(SWS) Hum Nay Tumko In Per Nighban Moqarar Nahi Kiya Ur Na Tum Inkay Daroogha Ho.
ALLAH Smeeulbaseer.

SKhan
About the Author: SKhan Read More Articles by SKhan: 9 Articles with 9553 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.