Sunat-e-Rasool PBUH Aur Aaj Ki Duniya

(Mrs. Raza Feroz, Karachi)

Rasool ALLAH PBUH Ki Sunat Wo Kam Hai Jis Ko Ager Aik Aam Insan Apnay Roaz Marah Ki Zindagi Main Shamil Karay Tau Woh Is Duniya Aur Akhirat Dono Main Buhat Kuch Hasil Kare Ga.  Rasool ALLAH PBUH Ki Aik Sunat Jo Ager Aaj Ka Insan Apni Zindgi Main Shamil Kare Tau Us Ki Zindagi Main Be Shumar Nekiyan Shamil Ho Jayen Gi Aur Us Ko Es Neki Kay Badlay Main Buhat Sawab Hasil Ho Ga.

Rasool ALLAH PBUH Nay Farmaya
"KAY JAB TUM APNE MUSLMAN BHAI SAY MILO YA BAAT KARO TAU US KO SALAM KARO AUR ALLAH KI REHMAT US PER DO"

Aik Jagah Aur Farmaya
"APNE MUSLMAN BHAI SAY SALAM KARNE MAIN PEHAL KARO"

Yani Dekha Jaye Tau Aaj Ager Hum Apne CELL Phone Per Call Receive Kartay Waqt Rewaiti HELLO Na Bol Kar Salam Karen Tau Humain 10 Nekiyean Milen Gi Aur Sunna Wale Per ALLAH Ki Rehmat Nazil Ho Gi.

Ager Hum Yeh Amal Din Main 10 Bar Bhi Kartay Hain Tau Kuch Na Kar Kay Bhi 100 Nekiyan Humare Amal Naamy Main Shamil Ho Jayen Gin.

TAU KOSHISH KAREN KAY RASOOL ALLAH PBUH KI SUNATOON PER APNI ROZ MARRAH KI ZINNDAGI MAIN SHAMIL KAREN AUR US PAR AMAL PERA HO KAR BADLY MAIN JANAT-UL-FIRDOOS HASIL KAREN.

Mrs. Raza Feroz
About the Author: Mrs. Raza Feroz Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.