Khwabo ki Shehzadi

(Shaikh SaddamShaikh Ashraf, Jalgaon)

 Roz Marra Ki Tarha Subha Ut Kar Main Kaam Ko Jane Ki Tayari Karne Laga Kaam Ko Jaate Huye Raaste Me Mujhe Ek Ajeeb Magar Jana Pehchana Sa Ahsas Huwa. Ajeeb Isliye K Is Ahsas K Hote Hi Dil E Jaise Khushyo Ki Lahar Dor Padi Aur Jana Pehchana Islye K Aesa Lag Raha Tha Jaise Koi Apna Mujhe Dekh Raha Hai Mere Kareeb Aarha Hai. Pata Nahi Aesa Kyu Mehsus Horaha Tha Me Is Ahsas K Darya Me Gote Lagate Huye Chala Jaraha Tha.

Me Apne Yaha K Railway Station Se Hokar Kaam Ko Jata Hu Me Wahi Se Jaraha Tha Time Dekhne K Liye Mene Apna Mobile Nikala Or Chalet Huye Time Dekhne Laga Patga Hi Nahi Chala Samne On Aarha Hai Or Mera Ek Baazu Kisi Larki Se Takra Gaya Mene Use Sorry Kaha Or Sorry Khte Huye Jab Mene Us K Chehre Ko Dekha To Wo Ahsas Muhe Phir Se Huwa Magar Is Bar Us Ahsas Ki Shiddat Zyada Thi Wo Larki Bar Barate Huye Aage Chaldi Me Bhi Aage Chaldiya Magar Wo Ahsas Mujhe Bar Bar Pichhe Murne Par Majbur Karraha Tha Or Yahi Waja Thi K Me Us K Piche Chal Pada Mene Dekha K Wo Railway Station Par Gai Or Platform Par Ek Suni Kursi Par Bait Gai Shayad Wo College Jarahi Thi Kyuki Hamare Yaha Se 25 Km Duri Par Jo Gaon Hai Waha Bht Bada College Hai Or Aksar Tulba Waha Local Train Se Jate Hai Me Apne Ek Dost K Bahane Waha Gaya Jo Wahi Kaam Karta Hai Mera Maksad Us Ahsas Ko Samajhna Tha Jo Mujhe Use Dekhkar Huwa Balk Use Milne Se Pehle Huwa. Me Use Dekhne Laga Usne Bhi Mujhe Dekha Foran Mene Apni Nazar Chura Liya Kuch Der Baad Mujh Se Raha Na Gaya Or Me Us K Pass Chala Gaya Or Mere Takrao Ki Use Mafi Mangne Laga Usne Kuch Der Mere Chehre Ko Dekhi Or Kaha
“ Aap Yahi Khne K Liye Mere Pichhe Aaye Hai ? “
Mane Haste Huye Kaha Nahi Aisa Nahi Hai Me Apne Dost Se Milne Aaya Tha Aap Dikhai Diye To Socha Maafi Manglu
Usne Kaha
“Aap Ne Pehle Bhi To Maafi Mangi Thi. Khair Hota Rahta Hai Ye Sab Koi Baat Nahi .“
Me Usk Chehre K Par Sakta Tha Aesa Lag Raha Tha Jaise Koi Soch Usk Kisi Shak Ko Bada Rahi Ho Thori Deri Baad Jaise Usne Mujhe Jaise Ignore Kardiya
Me Pareshan Tha Us Se Usi K Bare Kaise Puchta Or Agar Na Puchu To Us Ahsas Se Chutkara Kaise Pata Par Mene Shurwat Ki
“Aap College Jati Ho ? “
Usne Mujhe Phir Shak Ki Nigha Ho Se Dekha Or Pucha
Aap Ka Problem Kya Hai
Me Chup Hogaya Or Kuch Der Baad Mene Use Apne Ahsas K Bare Me Sab Kuch Bata Diya Use Laga Me Use Flirt Karraha Hu
Usne Kaha
Dekhiye Mujhe Aap Se Or Aapki Feelings Se Koi Matlab Nahi Hai Aap Jaa Sakte Hai
Me Chalne Laga K Achanak Uski Aawaz Aai…………SUNYE
Dil Me To Ahsas Se Kohram Macha Hi Diya Tha K Ye Aawaz Sun Kar Dil Ki Dharkan Bar Gai Me Palta Usne Ishare Se Mujhe Apne Kareeb Bulaya Me Usk Kareeb Gaya Or Kaha
Maaf Kijye Mujhe Aap Ko Ye Sab Nahi Khna Chaahiye Tha
Usne Kaha “ Koi Baat Me Flirt Zaruru Tha Magar Shayad Sachhai Bhi Thi. Puchiye Kya Puchna Hai
Mene Kaha Kuch Nahi Bas Us Ahsas Ko Samajhna Tha Magar Samajh Nahi Paraha
Usne Kaha “ Aesa Hota Hai Har Tanha Dil Ko Kisi Ki Talash Hoti Hai “
Me Khamosh Raha Khna To Bht Kuch Tha Magar Kh Saka
Us Waqt Kaafi Der Tak Ham Karet Hai Ham Dono Ek Dusre Ki Baato Me Khogaye Pata Hi Nahi Chala Kab Uski Train Aakar Chali Gai Mujhe Waqt Ka Ahsas Ho Chukka Tha Magar Me Use Juda Nahi Hona Chahta Tha Or Shayad Wo Bhi Kyuki Usne Bhi College Jane Se Mana Kardi Thi Or Kaha K Wo Pura Din Mere Sath Rahegi Ham Pura Din Sath Hi Rahe Sham Ka Hogai Pata Hi Nahi Chala Sham K Waqt Uski Ek Frnd Mili Jisne Use Chalne K Liye Kaha Jate Huye Mene Usse Pucha
“ Kya Me Ye Samjhu K Mere Dil K Talash Puri Hogai “
Usne Dekha Or Kaha
“ AAP NE BHT DER KARDI YE MANZIL AB BE RASTA HOGAI AB YAHA KOI NAHI AASAKTA “
Ye Kahte Huye Uski Aankho Se Aansu K Do Bund Nikal Pade Or Wow Aha Se Cahli Gai Me Uski Aansu Me Ulajh Gay Uski Baato Ko Samajh Nahi Paraha Tha Hosh Sambhala To Wow Ha Nahi Thi Uski Frnd Se Pucha To To Bata K Use Uska Addres Nahi Mahloom Mene Use Har Jaga Dhunda Magar Wo Nahi Mili Afsos Tha K Mene Uska Naam Pata Bhi Nahi Jana Tha
Aankho Se Aansu Bhene Lage The Kaha Jau Kya Karu Kuch Samjh Nahi Aaraha Tha Kuch Samajh Pata K Mere Mobile Ka Alarm Baj Utha Or Me Jag Gaya Or Dekha K Me Apne Ghar Me Hu Apne Bistar Me Mera Dil Ab Bhi Dharak Raha Tha Jagne K Baad Me Puri Tara Uska Larki Chehra Bhul Gaya Tha Yaad Raha To Uski Aankho K Aansu K Do Bund Or Uski Wo Aawaz
Kuch Pal Liye Laga Wo Haqeeqak Hai Magar Wo Khwab Tha Or Me Muskrate Huye Be Sakhta Mere Lab Se Ye Sher Nikal Para
AE SADDAM IS GAM NAHI HAI KOI JAWAB
JAGTE ME SEH GAYA TO BAN AYA KHWAB
Aaj Bhi Wo Khwab Mujhe Khwab Nahi Balk Haqeeqat Lagta Hai Jaise Me Use Khwab Samajh Kar Bhulna Chahraha Hu.
 

Shaikh SaddamShaikh Ashraf
About the Author: Shaikh SaddamShaikh Ashraf Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.